Rahmat Laqab Hai Aur Jo Bekas Nawaaz Hai Lyrics Urdu

Rahmat Laqab Hai Aur Jo Bekas Nawaaz Hai Naat e Paak Lyrics in Urdu and English

رحمت لقب ہے اور جو بیکس نواز ہے

کلامِ خالد محمود خالد نقشبندی


हिन्दी लिरिक्स के लिए यहां टच करें

قطعہ

فیض سرکار کا نکالا ہے
نام بھی ان کا لاج والا ہے
ان کے ہی دم قدم کی برکت سے
بزمِ کونین میں اجالا ہے
Faiz Sarkar Ka Nirala Hai
Naam Bhi Unka LaajWala Hai
Unke Hi Dam-Qadam Ki Barkat Se
Bazm e Kaunain Meiñ Ujala Hai

 

Naat e Paak | نعتِ پاک

رحمت لقب ہے اور جو بیکس نواز ہے
مجھ کو تو بس اسی کی غلامی پہ ناز ہے
Rahmat Laqab Hai Aur Jo Bekas Nawaaz Hai
Mujh Ko To Bas Usi Ki Ghulami Pe Naaz Hai

 

معیارِ بندگی ہے انہیں کی ہر اک ادا
عشقِ رسولِ پاک ﷺ ہی روحِ نماز ہے
Mei’yaar e Bandagi Hai Unhi Ki Har Ik Ada
Ishq e Rasool e Paak Hi Rooh e Namaz Hai

 

از فرش تا بہ عرش ہے معراج ہیں کی دھوم
کیا روبروئے آئینہ آئینہ ساز ہیں
Az Farsh Taa Ba-Arsh Hai Me’raaj Hi Ki Dhoom
Kya RooBaRü e Aayina, Aayina Saaz Hai

میرا مشاہدہ بھی ہے اور تجربہ بھی ہے
جو آپ ﷺ کا غلام ہے وہ سرفراز ہے
Mera Mushaahida Bhi Hai Aur Tajurba Bhi Hai
Jo Aapka Ghulaam Hai, Woh Sarfaraz Hai

 

حالات خواہ کچھ بھی ہوں لیکن ہوں مُطمئن
ہے لاج جس کے ہاتھ وہ بندہ نواز ہے
Haalaat Khwaah Kuchh Bhi Hoñ, Lekin Hooñ Mut’mayin
Hai Laaj Jis Ke Haath Woh Banda-Nawaz Hai

 

کوئی بھی میرا غیر نہیں کائنات میں
یہ نسبتِ رسول ﷺ محبت نواز ہے
Koi Bhi Mera Ghair Nahiñ Kaayenaat Meiñ
Ye Nisbat e Rasool Mohabbat-Nawaz Hai

 

صدقہ ہے آپ کا کہ وہ ہم سے بھی ہے فریب
ورنہ خدائے پاک بڑا بےنیاز ہے
Sadqa Hai Aapka Ke Woh Hum Se Bhi Hai Qareeb
Warna Khuda-e Paak Bada Be-Niyaaz Hai

 

اے ادعائے نسبتِ سرکار ہوشیار
کوتاہئِ عمل کا بھلا کیا جواز ہے
Ai Idda’Aa e Nisbat e Sarkar Hoshiyar!
Kotaahi e Amal Ka Bhala Kya Jawaaz Hai

 

خالد اگر ملا تو ملا شغلِ نعت سے
مقبول بارگاہِ خدا جو گداز ہے
Khalid, Agar Mila To Mila Shughl e Naat Se
Maqbool Baargah e Khuda Jo Gudaaz Hai

Khalid Mahmud ‘Khalid

  • Comment में राय दीजिए
  • Share कीजिए

Hindi And English lyrics

Qawwali |

Sabri Brothers | Nusrat Fateh Ali Khan | Rahat Fateh Ali Khan | Iqbal Afzal Sabri | Aziz Miyañ |Nazir Ejaz Faridi |  Ghous Muhammad Nasir | Maulvi Ahmad Hasan |

Naat-E-Paak|

Khalid Mahmud ‘Khalid’ Ajmal Sultanpuri Naat  | Ala Hazrat Naat | Akhtar Raza Khan| Raaz Ilaahabadi | Muhammad Ilyas Attari | Sayyad Nazmi Miyan

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *