Likh Fatima Zehra Ki Sana Aur Zyada Lyrics | Mir Hasan Mir 2024

Likh Fatima Zehra Ki Sana Aur Zyada Lyrics | Mir Hasan Mir 2024

 

Sana e Fatima Zehra New Manqabat Bibi Fatima Mir Hasan Mir 2024

 

Ya Fatima Zehra

Ya Fatima Zehra

Ya Fatima Zehra

Ya Fatima Zehra

 

Sayeda, Tahira, Raziya, Marziya

Sayeda, Tahira, Raziya, Marziya

 

Likh Fatima Zehra Ki Sana Aur Zyada

Kar Dega Karam Tujhpe Khuda Aur Zyada

Kausar Ko Ata Kar Ke Sada Di Ye Khuda Ne

Banta Hai Khadiza Ka Sila Aur Zyada

Likh Fatima Zehra Ki Sana Aur Zyada

 

Maa Ne Kaha Karni hai Mujhen Mazlisen Zehra

Beta Zara Mehnat Se Kama Aur Zyada

Likh Fatima Zehra Ki Sana Aur Zyada

 

Aasar-e-Nidamat Jo Padhe Hurr Ki Jabiñ Par

Shabbir Ne Rumaal Kasa Aur Zyada

Likh Fatima Zehra Ki Sana Aur Zyada

 

Menhdi Se Mulaqat Ho Yuñ Waqt Ki Chakki

Ae Bibi Zara Tez Chala Aur Zyada

Likh Fatima Zehra Ki Sana Aur Zyada

 

Wo Dekh Dua Deti Hain Hussnain Ki Madar

Matam Me Zara Haath Utha Aur Zyada

Likh Fatima Zehra Ki Sana Aur Zyada

 

Matam Ki Ibadat Ho Ya Sajde ki Ibadat

Dil Dono Namazon Me Laga Aur Zyada

Likh Fatima Zehra Ki Sana Aur Zyada

 

Raahib Ki Taraf Dekh Ke Shabbir Pukareñ

Ye Saat Pisar Kaafi Hain Ya Aur Zyada

Likh Fatima Zehra Ki Sana Aur Zyada

 

Ik Noor Nazar Aayega Hamrah Ali Ke

Meraj Ka Parda Jo Utha Aur Zyada

Likh Fatima Zehra Ki Sana Aur Zyada

 

Jo Khud Ko Samajhti Hai Kaneez e Dar e Zehra

Us Sar Pe Zaroori Hai Rida Aur Zayada

Likh Fatima Zehra Ki Sana Aur Zyada

 

Maukib Se Koi Pyasa Nahi Jaye Takallum Jyada

Zabbaroñ Ko Awaz Laga Aur Zyada

Likh Fatima Zehra Ki Sana Aur Zyada

 

Sana Khwan: Mir Hasan Mir

Poet: Janab Mir Takallum

 

Sana e Fatima Zehra New Manqabat Bibi Fatima Mir Hasan Mir 2024

Our Pages


Manqabat Shahidan e Karbala Nohey Lyrics 

Manqabat Mola Ali As Lyrics 

Manqabat Imam Hussain As Lyrics

Manqabat Bibi Sakina Sa Lyrics 

Manqabat Bibi Fatima Sa Lyrics 

Manqabat Mola Abbas As Lyrics 

 

Noha Khwan

Farhan Ali Waris

Mesum Abbas

Mir Hasan Mir 

Nadeem Sarwar