Aastañ Hai Ye Kis Shah e Zeeshan Ka

Aastañ Hai Ye Kis Shah e Zeeshan Ka Lyrics in Urdu, Hindi and English

हिन्दी में लिरिक्स

اردو میں پڑھیے

Qawwal: Ustad Nusrat Fateh Ali Khan Sahab ki Qawwali ke Lyrics Video ke neeche likhe gaye hain.

Shayar: Hazrat Peer Naseeruddin ‘Naseer’ Golarvi 

Aastan Hai Yeh Kis Shah e Zeeshan Full Lyrics | Manqabat Shahe Jilan

 

Aastan Hai Yeh Kis Shah e Zeeshan Ka Marhaba Marhaba!
Qalb Haibat Se Larzaañ Hai Insaan Ka
Marhaba Marhaba!
Hai Asar Bazm Par Kis Ke Faizan Ka
Marhaba Marhaba!
Ghar Basaane Meri Chashm e Veraan Ka
Marhaba Marhaba!

Chaañd Nikla Hasan Ke Shabistaan Ka
Marhaba Marhaba!

 

Sar Ki Zeenat Amama Hai Irfaan Ka
Marhaba Marhaba!
Jubba Tan Par Muhammad ﷺ Ke Ehsaan Ka
Marhaba Marhaba!
Rañg Aañkhoñ Meiñ Zahra Ke Faizan Ka
Marhaba Marhaba
Roop Chehre Pe Ayaat e Quran Ka
Marhaba Marhaba !

Saj Ke Baitha Hai Naushaah Jeelan Ka Marhaba Marhaba!

 

Bazm e Kaun o Makaañ Ko Sajaya Gaya
Aaj Salle Ala
Saayebañ Rahmatoñ Ka Lagaya Gaya
Aaj Salle Ala
Ambiya, Auliya Ko Bulaya Gaya
Aaj Salle Ala
Ibn e Zahra Ko Doolha Banaya Gaya
Aaj Salle Ala

Urs Hai Aaj Mahboob e Sub’han Ka
Marhaba Marhaba! ..

 

Aasmañ Manzilat Kis Ka Aivaan Hai
Wah Kya Shaan Hai!
Aaj Khalq-e-Khuda Kis Ki Mahman Hai
Wah Kya Shaan Hai!
La Takhaf Kis Ka Mash’hoor Farman Hai
Wah Kya Shan Hai!
Bil Yaqeeñ Wo ShahinShaah-e-Jeelaan Hai
Wah Kya Shan Hai!

Haq Diya Jis Ko Qudrat Ne Eilaan Ka
Marhaba Marhaba!

 

Har Taraf Aaj Rahmat Ki Barsaat Hai
Wah Kya Baat Hai!
Aaj Khulne Pe Qufl-e-Mohimmaat Hai
Wah Kya Baat Hai!
Chaar Soo Jalwa Araayi-e-Zaat Hai
Wah Kya Baat Hai !
Koi Bharne Pe Kashkol-e-Haajaat Hai
Wah Kya Baat Hai !

Jaagne Ko Muqaddar Hai Insan Ka,
Marhaba Marhaba !

 

Koi Mahv-e-Fughañ, Koi Khaamosh Hai,
Ab Kise Hosh Hai
Saaz-e-Mutrib Ki Lai Naghma Bardosh Hai,
Ab Kise Hosh Hai
Aql Hairat Ke Parde Meiñ Ruposh Hai,
Ab Kise Hosh Hai
Bazm Ki Bazm Masti Dar-Aaghosh Hai,
Ab Kise Hosh Hai

Pee Ke Saaghar Ali Ke Khumistaan Ka,
Marhaba Marhaba!

 

Kya Haseeñ Manzar-e-Jood o Ikraam Hai,
Daawat-e-Aam hai
Ahl-e-Dil Ki Nazar Masti Aashaam Hai,
Daawat-e-Aam hai
Hashr Tak Muddat-e-Gardish-e-Jaam Hai,
Daawat-e-Aam hai
Dast-e-Jibreel Masroof-e-It’aam Hai, Daawat-e-Aam Hai

Khaao Sadqa Ali Shaah-e-Mardaan Ka,
Marhaba Marhaba!

 

Shamm-e-Tauheed Dil Meiñ Jala Kar Piyo,
Dil Laga Kar Piyo
Shaah-e-Bat’ha Ki Khairat Paa Kar Piyo,
Dil Laga Kar Piyo
Shaikh Ke Aastane Pe Aa Kar Piyo,
Dil Laga Kar Piyo
Aañkh Mehr-e-Ali Se Mila Kar Piyo,
Dil Laga Kar Piyo

Khud Pilaane Pe Saqi Hai Jeelan Ka,
Marhaba Marhaba!

 

Hai Ajab Husan Ka Baañkpan Saamne,
Ik Chaman Saamne
Ahl e Tat’heer Haiñ Khaima Zan Saamne,
PanjTan Saamne
Hai Ye Roo-e-Hasan Ki Phaban Samne,
Ya Hasan Samne
Jalwa Farma Haiñ Ghaus-e-Zaman Samne,
Zaufigan Samne
Dekhiye Kya Bane Chashm-e-Hairan Ka,
Marhaba Marhaba!

 

Gulshan-e-Mustafa Ki Phaban Aur Hai,
Ye Chaman Aur Hai
Shah-e-Abraar Ki Anjuman Aur Hai,
Ye Chaman Aur Hai
Boo-e Gul-Dasta-e Panjtan Aur Hai,
Ye Chaman Aur Hai
Shaan e Aal e Husain o Hasan Aur Hai,
Ye Chaman Aur Hai

Sarmadi Rang Hai Is Gulistan Ka,
Marhaba Marhaba!

 

Faqr Ki Saltanat Turfa Saamaan Hai,
Rahmat Aivaan Hai
Is Ke Zer-e-Nageeñ Qalb-e-Insaan Hai,
Ijz Unwaan Hai
Kis ka Dast-e-Nazar Kaasa Gardaan Hai,
Aql Hairaan Hai
Ik Wali Zaib-e-Aurang-e-Irfaan Hai,
Waah Kya Shaan Hai!

Sar Jhuke Hai Yahañ, Meer o Sultan Ka,
Marhaba Marhaba!

 

Har Ghadi Mehrbaañ Zaat-e-Baari Rahe,
Faiz Jaari Rahe
Khaak Bosi Pe Baad-e-Bahaari Rahe,
Faiz Jaari Rahe
Aalam-e-Kaif Meiñ Bazm Saari Rahe,
Faiz Jaari Rahe
Bekhudi Teri Mastoñ Pe Taari Rahe, Faiz Jaari Rahe

Meñh Barasta Rahe Tere Ehsaan Ka,
Marhaba Marhaba!

 

Arsh-e-Asraar Tak Jis Ki Parvaaz Hai,
Turfa Andaaz Hai
ILm-e-Laahoot Ka Hasil E’jaaz Hai,
Turfa Andaaz Hai
Zohd o Taqwa Meiñ Yakta o Mumtaaz Hai,
Turfa Andaaz Hai
Aabru-e-Chaman Taa Qaamat-e-Naaz Hai,
Turfa Andaaz Hai

Peer Mehr-e-Ali Qutb-e-Daouraan Ka, Marhaba Marhaba!

 

Golre Ki Zameeñ Kitni Mas’ood Hai,
Khitta-e-Jood Hai
Peer Mehr e Ali Jis Meiñ Maujood Hai,
Khitta-e-Jood Hai
Kya Haseeñ Manzar e Shan e Maabood Hai,
Khitta e Jood Hai
Har Aayaaz Iska Humghosh e Mahmood Hai,
Khitta e Jood Hai

Auj Paya Hai Birjees o Kaiwaan Ka,
Marhaba Marhaba!

 

Tere Deewane Hazir Hain Sarkar Mein,
Aaj Darbar Meiñ
Sar Jhukaaye Janab-e-Gohar-Baar Meiñ,
Aaj Darbar Meiñ
Ban Ke Saa’il Teri Bazm-e-Anwaar Mein,
Aaj Darbar Meiñ
Yusuf-e-Misr-e-Dil Tere Baazaar Mein,
Aaj Darbar Meiñ

Jashn Hai Kya Dil-Afroz Irfan Ka,
Marhaba Marhaba!

 

Dar-baDar Muft Ki Thokareñ Khaaye Kyoñ, Haath Phailaaye Kyoñ?
Maañgne Kooy-e-Aghyaar Meiñ jaaye Kyoñ,
Haath Phailaaye Kyoñ?
Uske Naamoos-e-Ghairat Pe Harf Aaye Kyoñ,
Haath Phailaye Kyoñ?
Dil Qana’at Se Ki Zau Se Na Chamkaye Kyoñ,
Haath Phailaye Kyoñ?

Jo Namak-Khwar Ho Peer-e-Peeran Ka,
Marhaba Marhaba!

 

Shaah-e-Jeelañ ki Chaukhat Salamat Rahe,
Ta Qayamat Rahe
Naqsh e Paa Ka Chaman Pur Karamat Rahe,
Ta Qayamat Rahe
Khal’at-e-Ijtibaa Zeib-e-Qaamat Rahe,
Ta Qayamat Rahe
Sar Pe Waliyoñ Ka Taaj-e-Imamat Rahe,
Ta Qayamat Rahe

Silsila Ghaus-e-Azam Ke Faizaan Ka,
Marhaba Marhaba!

 

Waris-e-Khaatam-ul-Mursaleeñ Aap Haiñ,
Bilyaqeeñ Aap Haiñ
Qasr-e-Zahra Ka Naqsh-e-Haseeñ Aap Hain,
Bilyaqeeñ Aap Haiñ
Deen-e-Bar’haq ke Muhi-o-Mueeñ Aap Hain,
Bilyaqeeñ Aap Haiñ
Bazm-e-Irfaañ Ke Masnad Nasheeñ Aap Hain,
Bilyaqeeñ Aap Haiñ

Har Wali TifL Hai Iss Dabistaan Ka,
Marhaba Marhaba!

 

Mazhar e Zaat e Rab e Qadeer Aap Haiñ,
Dastgeer Aap Haiñ
Karwaan e Karam Ke Ameer Aap Haiñ,
Dastgeer Aap Haiñ
Shah e Baghdad Peeran e Peer Aap Haiñ,
Dastgeer Aap Haiñ
Is Naseer e Haziñ Ke Naseer Aap Haiñ,
Dastgeer Aap Haiñ

Koi Hamsar Nahiñ Aap Ki Shaan Ka
Marhaba Marhaba !

 

Yahan se neechey Ustad Nusrat Fateh Ali Khan Sahab ki qawwali ke lyrics likhe gaye hain

 

Allah Re! Kya Bargah e Ghaus e Jaleeñ Hai
Gardan Ko Jhukaae Hue Ek Ek Wali Hai
Har Gaam Pe Sajde Ki Tamanna Hai Jibeeñ Ko
Ye Kis Ka Dar e Naaz Hai, Ye Kis Ki Gali Hai

Astaan hai ye..

Aastañ Hai Ye Kis Shah e Zeeshan Ka Marhaba Marhaba!
Aastañ Hai Ye Kis Shah e Zeeshan Ka Marhaba Marhaba!

Aastañ Hai Yeh KisKa,
Aastañ Hai Yeh KisKa..

 

Sajde Jahañ Pe Karte Haiñ Aa Aa Ke Farishte

Aastañ Hai Yeh KisKa
Aastañ Hai Yeh KisKa…

 

Malaayik Sar Jhukhate Haiñ, Wali Aañkheiñ Bichhaate Haiñ Dekho

Aastañ Hai Yeh KisKa
Aastañ Hai Yeh KisKa..

Aastañ Hai Yeh Kis Shah e Zeeshan Ka Marhaba Marhaba! ..

Eeñ Barghah e Hazrat e Ghaus us Saqalain ast
Naqade Kamare Haidar o Nasl e Hasanain ast
Maañ Darsh Husaini Nasab ast o Pidare Oo
Zaulaad e Hasan Yani Kareem ul Abawain ast

Aastañ Hai Yeh Kis Shah e Zeeshan Ka Marhaba Marhaba! ..

 

Jhukhi Bahr e Ibadat Jab Shah e Baghdad Ke Dar Par
Ajab Tauqeer e Sajda Apni Peshani Meiñ Dekhi Hai

Aastañ Hai Yeh Kis Shah e Zeshan Ka Marhaba Marhaba! ..

 

Qalb Haibat Se Larzaañ Hai Insaan Ka
Marhaba Marhaba!
Hai Asar Bazm Par Kis Ke Faizan Ka
Marhaba Marhaba!
Ghar Basaane Meri Chashm e Veraan Ka
Marhaba Marhaba! …
Chaañd Nikla Hasan Ke Shabistaan Ka
Marhaba Marhaba! …

Chaañd Nikla.. Wo Nikla
Chaañd Nikla.. Wo Nikla…

Marhaba Marhaba ..
Wo, Wo Chaañd Nikla.. Wo Nikla
Chaañd Nikla.. Wo Nikla ..

Chaañd Nikla Hasan Ke Shabistaan Ka
Marhaba Marhaba!

 

Sar Ki Zeenat Amama Hai Irfaan Ka
Marhaba Marhaba!
Jubba Tan Par Muhammad ﷺ Ke Ehsaan Ka
Marhaba Marhaba!
Rañg Aañkhoñ Meiñ Zahra Ke Faizan Ka
Marhaba Marhaba
Roop Chehre Pe Ayaat e Quran Ka
Marhaba Marhaba !…

Roop Chehre Pe Ayaat e Quran Ka
Roop Chehre Pe Ayaat e Quran Ka

Roop Chehre Pe Ayaat e Quran Ka
Marhaba Marhaba !…
Saj Ke Baitha Hai Naushaah Jeelan Ka Marhaba Marhaba ….

 

Nagar Nagar Meiñ Karo Munaadi
Hai Shaah e Jeelañ Ki Aaj Shadi

Saj Ke Betha Hai Naushaah Jeelan Ka ..

 

Sare Waliyoñ Ko Mehmañ Bulaya Gaya
Gaus e Azam Ko Doolha Banaya Gaya

Wo Wo
Saj Ke Baitha Hai Naushaah Jeelan Ka Marhaba Marhaba ….

 

Meerañ Ke Ghar Hai Shaadi, Aaye Wali Nabi Sab
Taiba Se Mustafa ﷺ Bhi Tashreef Laa Rahe Haiñ

Saj Ke Baitha Hai Naushaah Jeelan Ka Marhaba Marhaba ..

 

Nazroñ Ko Shoq e Deed Hai
Mañgtoñ Meiñ Jashan e Eid Hai

Saj Ke Baitha Hai Naushaah Jeelan Ka Marhaba Marhaba ..

 

Bazm e Kaun o Makaañ Ko Sajaya Gaya
Aaj Salle Ala
Saayebañ Rahmatoñ Ka Lagaya Gaya
Aaj Salle Ala
Ambiya, Auliya Ko Bulaya Gaya
Aaj Salle Ala
Ibn e Zahra Ko Doolha Banaya Gaya
Aaj Salle Ala

Ibn e Zahra Ko Doolha Banaya Gaya..
Ibn e Zahra Ko Doolha Banaya Gaya..

Ibn e Zahra Ko Doolha Banaya Gaya
Aaj Salle Ala ….

Urs Hai Aaj Mahboob e Sub’han Ka
Marhaba Marhaba! ..

 

Aao Deewano Muraadeñ Apni Apni Maañg Lo

Urs Hai Aaj Mehboob e Sub’han Ka
Marhaba Marhaba! …

 

Jholiyañ Har Sawali Ki Bhar Jayeiñgi
Dar Sakhi Ka Khula Hai A’taa Ke Liye

Urs Hai Aaj Mehboob e Subhan Ka
Marhaba Marhaba! .,.

 

Aasmañ Manzilat Kis Ka Aiwaan Hai
Wah Kiya Shaan Hai!
Aaj Khalq e Khuda Kis Ki Mahman Hai
Wah Kya Shaan Hai!
La Takhaf Kis Ka Mash’hoor Farman Hai
Wah Kya Shan Hai!
Bil Yaqeeñ Wo ShahinShaah e Jeelan Hai
Wah Kya Shan Hai!

Haq Diya Jis Ko Qudrat Ne Eilaan Ka
Marhaba Marhaba! …

 

Har Taraf Aaj Rahmat Ki Barsaat Hai
Wah Kya Baat Hai!
Aaj Khulne Pe Qufl e Mohimmaat Hai
Wah Kya Baat Hai!
Chaar Soo Jalwa Araayi e Zaat Hai
Wah Kya Baat Hai !
Koi Bharne Pe Kashkol e Haajaat Hai
Wah Kya Baat Hai !

Koi Bharne Pe Kashkol e Haajaat Hai ..
Koi Bharne Pe Kashkol e Haajaat Hai ..

 

Aao Faqeeroñ Aao Jholi Ko Apni Bhar Lo

Koi Bharne Pe Kashkol e Haajaat Hai…
Koi Bharne Pe Kashkol e Haajaat Hai ..

 

Ye Waqt Hai Karam Ka
Sarkar Karam Farmate Haiñ, Aao

Koi Bharne Pe Kashkol e Haajaat Hai…
Koi Bharne Pe Kashkol e Haajaat Hai ..

Koi Bharne Pe Kashkol e Haajaat Hai
Wah Kiya Baat Hai !
Jaagne Ko Muqaddar Hai Insan Ka Marhaba Marhaba ! …

 

Gulshan e Mustafa Ki Phaban Aur Hai
Ye Chaman Aur Hai
Shah e Abraar Ki Anjuman Aur Hai
Ye Chaman Aur Hai
Boo e Gul Dasta e Panjtan Aur Hai
Ye Chaman Aur Hai
Shaan e Aal e Husain o Hasan Aur Hai
Ye Chaman Aur Hai

Shaan e Aal e Husain o Hasan Aur Hai…
Shaan e Aal e Husain o Hasan Aur Hai…

Shaan e Aal e Husain o Hasan Aur Hai
Ye Chaman Aur Hai
Sarmadi Rang Hai Is Gulistan Ka, Marhaba Marhaba! ..

 

Golre Ki Zameeñ Kitni Mas’ood Hai
Khitta e Jood Hai
Peer Mehr e Ali Jis Meiñ Maujood Hai
Khitta e Jood Hai

Peer Mehr e Ali, Peer Mehr e Ali …
Peer Mehr e Ali, Peer Mehr e Ali …

 

Ik Silsila e Noor Hai Har Saañs Ka Rishta
Eemaan Mera Hubb e Nabi, Mehr e Ali Hai

Peer Mehr e Ali, Peer Mehr e Ali …
Peer Mehr e Ali, Peer Mehr e Ali …

 

Koi Kisi Ka, Koi Kisi Ka, Mere,

Peer Mehr e Ali, Peer Mehr e Ali …
Peer Mehr e Ali, Peer Mehr e Ali …

 

Majnooñ Ko Mili Laila, Yousuf Ko Zulaikha
Aur Mujh Ko Mere,

Peer Mehr e Ali, Peer Mehr e Ali …
Peer Mehr e Ali, Peer Mehr e Ali …

 

Khayal Apna Apna Pasand Apni Apni
Mere to Haiñ,

Peer Mehr e Ali, Peer Mehr e Ali …
Peer Mehr e Ali, Peer Mehr e Ali…

Peer Mehr e Ali Jis Meiñ Maujood Hai
Khitta e Jood Hai

 

Golre Ki Zameeñ Kitni Mas’ood Hai
Khitta e Jood Hai
Peer Mehr e Ali Jis Meiñ Maujood Hai
Khitta e Jood Hai
Kya Haseeñ Manzar e Shan e Maabood Hai
Khitta e Jood Hai
Har Aayaaz iska Humghosh e Mahmood Hai
Khitta e Jood Hai

Auj Paya Hai Birjees o Kaiwaan Ka Marhaba Marhaba!

 

Shamm e Tauheed Dil Meiñ Jala Kar Piyo
Dil Laga Kar Piyo
Shah e Bat’ha Ki Khairat Paa Kar Piyo
Dil Laga Kar Piyo
Shaikh Ke Aastane Pe Aa Kar Piyo
Dil Laga Kar Piyo
Aañkh Mehr e Ali Se Mila Kar Piyo
Dil Laga Kar Piyo …

Aañkh Mehr e Ali Se Mila Kar Piyo..
Aañkh Mehr e Ali Se Mila Kar Piyo..

Aañkh Mehr e Ali Se Mila Kar Piyo
Dil Laga Kar Piyo …

Khud Pilaane Pe Saqi Hai Jeelan ka
Marhaba Marhaba! …..

 

Hai Ajab Husan Ka BaañkPan Samne
Ik Chaman Samne
Ahl e Tat’heer Haiñ Khaima Zan Samne
PanjTan Samne
Hai Ye Roo-e Hasan Ki Phaban Samne
Ya Hasan Samne
Jalwa Farma Haiñ Ghaus e Zaman Samne
Zaufigan Samne

Dekhiye Kya Bane Chashm e Hairan Ka, Marhaba Marhaba!

 

Shah e Jeelañ ki Chaukhat Salamat Rahe
Ta Qayamat Rahe

Shah e Jeelañ ki Chaukhat Salamat Rahe…
Shah e Jeelañ ki Chaukhat Salamat Rahe…

Shah e Jeelañ ki Chaukhat Salamat Rahe,
Ta Qayamat Rahe
Naqsh e Paa Ka Chaman Pur Karamat Rahe,
Ta Qayamat Rahe
Khal’at e Ijtibaa Zaib e Qaamat Rahe,
Ta Qayamat Rahe
Sar Pe Walion Ka Taaj e Imamat Rahe
Ta Qayamat Rahe

Sar Pe Walion Ka Taaj e Imamat Rahe
Sar Pe Walion Ka Taaj e Imamat Rahe
Ta Qayamat Rahe

Silsila Ghaus e Azam Ke Faizaan Ka, Marhaba Marhaba! …

 

Mazhar e Zaat e Rab e Qadeer Aap Haiñ
Dastgeer Aap Haiñ
Karwaan e Karam Ke Ameer Aap Haiñ
Dastgeer Aap Haiñ
Shah e Baghdad Peeran e Peer Aap Haiñ
Dastgeer Aap Haiñ ..

Shah e Baghdad Peeran e Peer Aap Haiñ…
Shah e Baghdad Peeran e Peer Aap Haiñ..

 

Dastgeera Kar Mehr Tu Mehr Ali Te
Tere Baaj Hai Kaun Allah Raasiyañ Daa

Shaah e Baghdad Peeran e Peer Aap Haiñ…
Shaah e Baghdad Peeran e Peer Aap Haiñ..

 

Mehr Hai Sari Ali Di, Shak Na Rah Gaya
Ik Zara
Karam Keeta Gaus e Azam Saddaañ Sardeyañ Waaleyañ

Shaah e Baghdad Peeran e Peer Aap Haiñ…
Shaah e Baghdad Peeran e Peer Aap Haiñ..
Dastgeer Aap Haiñ …..

Is Naseer e Haziñ Ke Naseer Aap Haiñ
Dastgeer Aap Haiñ ….

Koi Hamsar Nahiñ Aap Ki Shaan Ka
Marhaba Marhaba ! …

Aastañ Hai Yeh Kis Shah e Zeshan Ka Marhaba Marhaba! ..

More Manqabat Ghaus e Azam     दीगर मनक़बत गौस ए आज़म

  • Comment में राय दीजिए
  • Share कीजिए

Our Pages


Naat-E-Paak         

More Manqabat Ghaus e Azam

Manqabat Ghareeb Nawaaz

Naat Khwan:

         Qawwali         

1 thought on “Aastañ Hai Ye Kis Shah e Zeeshan Ka”

  1. Is qawali se behtar mene aj tak kahi suni Allah karee peer sahab ko dunya wa akhirat ki tamam khushia ata farmaye ….ye qawak sun kar rooh taza hojati hai.

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *