Rahmat Laqab Hai Aur Jo Bekas Nawaaz Hai Naat Lyrics

Rahmat Laqab Hai Aur Jo Bekas Nawaaz Hai Naat e Paak Lyrics in Hindi and English

Shayar: Janab Khalid Mahmud ‘Khalid’

 

اردو لرکس کے لئے یہاں ٹچ کریں

Qatah | क़तः

Faiz Sarkar ﷺKa Nirala Hai
Naam Bhi Unka LaajWala Hai
Unke Hi Dam-Qadam Ki Barkat Se
Bazm e Kaunain Meiñ Ujala Hai

फ़ैज़ सरकार का निराला है
नाम भी उनका लाजवाला है
उनके है दम क़दम की बरकत से
बज़्म ए कौनैन में उजाला है।

 

Naat e Paak | नात ए पाक

Rahmat Laqab Hai Aur Jo Bekas Nawaaz Hai
Mujh Ko To Bas Usi Ki Ghulami Pe Naaz Hai
रहमत लक़ब है और जो बेकस नवाज़ है,
मुझको तो बस उसी की ग़ुलामी पे नाज़ है

 

Mei’yaar e Bandagi Hai Unhi Ki Har Ik Ada
Ishq e Rasool e Paak Hi Rooh e Namaz Hai
मेयार ए बंदगी है उन्हीं की हर इक अदा
इश्क़ ए रसूल ए पाक ही रूहे नमाज़ है

 

Az Farsh Taa Ba-Arsh Hai Me’raaj Hi Ki Dhoom
Kya RooBaRü e Aayina, Aayina Saaz Hai
अज़ फर्श ता ब-अर्श है मेराज ही की धूम
क्या रूबरू ए आइना, आईना-साज है।

 

Mera Mushaahida Bhi Hai Aur Tajurba Bhi Hai
Jo Aapka Ghulaam Hai, Woh Sarfaraz Hai
मेरा मुशाहिदा भी है और तजुर्बा भी है
जो आपका गुलाम है, वोह सरफराज है।

 

Haalaat Khwaah Kuchh Bhi Hoñ, Lekin Hooñ Mut’mayin
Hai Laaj Jis Ke Haath Woh Banda-Nawaz Hai
हालात ख्वाह कुछ भी हों लेकिन हूं मुत्मइन
है लाज जिसके हाथ वोह बंदा-नवाज़ है।

 

Koi Bhi Mera Ghair Nahiñ Kaayenaat Meiñ
Ye Nisbat e Rasool e Mohabbat-Nawaz Hai
कोई भी मेरा गैर नहीं काएनात में
ये निस्बत ए रसूल ए मोहब्बत-नवाज़ है।

 

Sadqa Hai Aapka Ke Woh Hum Se Bhi Hai Qareeb
Warna Khuda-e Paak Bada BeNiyaaz Hai
सदक़ा है आपका के वोह हम से भी है क़रीब
वरना ख़ुदा ए पाक बड़ा बेनियाज़ है।

 

Ai Idda’Aa e Nisbat e Sarkar Hoshiyar!
Kotaahi e Amal Ka Bhala Kya Jawaaz Hai
ऐ इद्दाआ़ ए निस्बत ए सरकार होशियार!
कोताही ए अमल का भला क्या जवाज़ है।

 

Khalid, Agar Mila To Mila Shughl e Naat Se
Maqbool e Baargah e Khuda Jo Gudaaz Hai
ख़ालिद, अगर मिला तो मिला, शुग़्ल ए नात से
मक़बूल ए बारगाह ए ख़ुदा जो गुदाज़ है।

  • Comment में राय दीजिए
  • Share कीजिए

Hindi And English lyrics

Qawwali |

Sabri Brothers | Nusrat Fateh Ali Khan | Rahat Fateh Ali Khan | Iqbal Afzal Sabri | Aziz Miyañ |Nazir Ejaz Faridi |  Ghous Muhammad Nasir | Maulvi Ahmad Hasan |

Naat-E-Paak|

Khalid Mahmud ‘Khalid’ Ajmal Sultanpuri Naat  | Ala Hazrat Naat | Akhtar Raza Khan| Raaz Ilaahabadi | Muhammad Ilyas Attari | Sayyad Nazmi Miyan

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *