Salami Karbala Mein Lyrics | सलामी कर्बला में लिरिक्स

Salami Karbala Mein Kya Qayamat Ki Ghadi Hogi Lyrics in Hindi | Ya Hussain Ya Hussain Lyrics | सलामी कर्बला में क्या कयामत की घड़ी होगी | سلامی کربلا میں

Qawwali : Nusrat Fateh Ali Khan
Kalaam : Purnam Allahabadi

Manqabat Shahidan e Karbala | Nohay Lyrics|


Salami Karbala Mein Lyrics in Hindi, salami karbala mein lyrics in english


اردو میں سلامی کربلا میں پڑھیے


Salami Karbala Mein Lyrics |सलामी कर्बला में लिरिक्स

 

Shaheed-e-Karbala Ki Mominoñ Jab Yaad Aati hai,
Tadap Jaati Hai Duniya, Khoon Ke Aansoon Bahaati Hai,
शहीदे कर्बला की मोमिनो जब याद आती है
तड़प जाती है दुनिया खून के आंसू बहाती है

Ya Hussain Ya Hussain ..
या हुसैन या हुसैन ..

 

Shah Hast Hussain, Baadshah Hast Hussain
Deen Ast Hussain, Deen Pana Hast Hussain

Sar Daad Na Daad Dast Dar Dast-e-Yazeed
Haqqa Ke Binaaye La-ila Hast Hussain

शाह हस्त हुसैन, बादशाह हस्त हुसैन
दीं अस्त हुसैन, दीं पनाह हस्त हुसैन

सर दाद, न दाद दस्त, दर दस्ते यज़ीद
हक्का के बिनाए ला-इलाह हस्त हुसैन

 

Sajde Mein Sar Kataane Ko Aakhir Kata Dia
Lekin Khuda Ke Naam Ka Danka Baja Dia
सजदे में सर कटाने को आख़िर कटा दिया
लेकिन ख़ुदा के नाम का डंका बजा दिया

Ya Hussain Ya Hussain ..
या हुसैन या हुसैन ..

 

Deed Ki Gar Talaash Hai Sar Ko Jhuka Namaaz Mein,
Dil Se Khudi Ko Bhool Kar Khud Ko Mita namaaz mein
दीद की गर तलाश है सर को झुका नमाज़ में
दिल से ख़ुदी को भूल कर ख़ुद को मिटा नमाज में

Aayega Tujh Ko Jab Nazar Roo-e-Khuda Namaaz Mein
Pahle Hussain Ki Tarah Sar Ko Kata Namaaz Mein,
आएगा तुझको जब नज़र रूए ख़ुदा नमाज़ में
पहले हुसैन की तरह सर को कटा नमाज़ में,

Aur Keh, और कह,
Ya Hussain Ya Hussain ..
या हुसैन या हुसैन..

 

Kis Ki Majaal Ai Hussain Jis Ko Ho Tujh Se Ham-Sari,
Baap Ke Ghar Imamateñ, Naana Ke Ghar Payambari,
किसकी मजाल ऐ हुसैन, जिसको हो तुझसे हमसरी
बाप के घर इमामतें, नाना के घर पयंबरी,

Shakl-e-Hussain Dekh Kar Haq Bhi Kahega Hashr Mein,
Ai Mere Mustafa Ke Laal Ummat-e-Mustafa Bari
शक्ल ए हुसैन देखकर हक़ भी कहेगा हश्र में
ऐ मेरे मुस्तफ़ा के लाल उम्मते मुस्तफ़ा बरी

Ya Hussain Ya Hussain ..
या हुसैन या हुसैन..

Salami Karbala Mein Kya Qayamat Ki Ghadi Hogi..
सलामी कर्बला में क्या क़यामत की घड़ी होगी..

 

Salaami Karbala Mein Kya Qayamat Ki Ghadi Hogi
Chhuri Shabbir Ki Gardan Pe Jis Dam Chal Rahi Hogi
सलामी कर्बला में क्या क़यामत की घड़ी होगी
छुरी शब्बीर की गर्दन पे जिस दम चल रही होगी

 

Kaleja Thaam Kar Peer-e-Falak Bhi Rah Gaya Hoga.
Kaleje Per Ali Akbar Ke Barchhi Jab Lagi Hogi
कलेजा थाम कर पीर ए फ़लक भी रह गया होगा
कलेजे पर अली अकबर के बर्छी जब लगी होगी

 

Mujhe Jaane Do Paani Bhar Ke Ye Abbas Kahte The,
Kayi Din Ki Pyaasi Hai Sakina Ro Rahi Hogi
मुझे जाने दो पानी भर के ये अब्बास कहते थे
कई दिन की प्यासी है सकीना रो रही होगी

 

Luti Hai Jaise Duniya Karbala Mein Ibn-e-Haider Ki,
Kisi Mazloom Ki Duniya Na Duniya Mein Luti Hogi
लुटी है जैसे दुनिया कर्बला में इब्ने हैदर की
किसी मज़लूम की दुनिया ना दुनिया में लुटी होगी

 

Mohammad ﷺ Ke Nawaase Ne Jo Ki Teighoñ Ke Saaye Mein,
Bashar To Kya Farishtoñ Se Na Aise Bandagi Hogi
मोहम्मद के नवासे ने जो की तेग़ों के साए में
बशर तो क्या फरिश्तों से ना ऐसी बंदगी होगी

 

Nabi Se Peshtar Mahshar Meiñ Ummat Bakhshwane Ko
Hussain Ibn-e Ali Aayeñge Duniya Dekhti Hogi
नबी से पेशतर महशर में उम्मत बख़्शवाने को
हुसैन इब्ने अली आएंगे, दुनिया देखती होगी

 

Hamare Khoon Ke Badle Meiñ Ummat Bakhsh De Ya Rab,
Khuda Se Hashr Mein Ye Iltijaa Shabbir Ki Hogi
हमारे ख़ून के बदले में उम्मत बक्श दे या रब
ख़ुदा से हश्र में यह इल्तिजा शब्बीर की होगी

 

Bade Ghamkhwar Haiñ Woh Gham Na Kar Bakhshish Ka Ai ‘Purnam’,
Karam Se PanjTan Ke Hashr Meiñ Bakhshish Teri Hogi
बड़े ग़मख़्वार हैं वोह ग़म न कर बख़्शिश का ऐ पुरनम
करम से पंजतन के हश्र में बख़्शिश तेरी होगी

 

Ya Hussain Ya Hussain ..
या हुसैन या हुसैन ..

 

Jab Jaan Tan Se Nikle Lab Par Mere Ho, Kya..
जब जान तन से निकले लब पर मेरे हो, क्या..

Ya Hussain Ya Hussain ..
या हुसैन या हुसैन ..

 

Ishq Ki Ibtada Hai Kaun !
Husn Ki Intaha Hai Kaun !
इश्क की इब्तिदा है कौन ! हुस्न की इंतहा है कौन !

Ya Hussain Ya Hussain ..
या हुसैन या हुसैन ..


Manqabat Shahidan e Karbala | Nohay Lyrics|

Urdu, Hindi and English Lyrics

Naat-E-Paak|

Khalid Mahmud ‘Khalid’ Allama Saim Chishti  | Ajmal Sultanpuri Naat  | Ala Hazrat Naat | Akhtar Raza Khan| Raaz Ilaahabadi | Muhammad Ilyas Attari | Sayyad Nazmi Miyan

| Qawwali |

Sabri Brothers | Nusrat Fateh Ali Khan | Rahat Fateh Ali Khan | Iqbal Afzal Sabri | Aziz Miyañ Ghous Muhammad Nasir | Maulvi Ahmad Hassan Akhtar

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *