Mope Daya Karo Maharaja Khwaja

Mope Daya Karo Maharaja Khwaja Lyrics Hindi English | मोह पे दया करो महाराजा ख्वाजा दया करो महाराज.. 

Qawwal: Iqbal Afzal Sabri

 

हिन्दी लिरिक्स

Sahab ji Sultan ji Tum bade Ghareeb Nawaz
Apni karke raakhiyo so baañh pakde ki laaj.

 

Faqeer Maañgne Shaanoñ ke dar pe jaate Haiñ
Yahañ to Shaah bhi ban kar Faqeer aate Haiñ.

 

Tore Charan meiñ Aan padi huñ rakh le Mori laaj
Ai Usmañ ke raaj dulaare Waliyoñ ke sartaj

 

Mope Daya Karo maharaja Khwaja
Daya Karo maharaj ..

Mope Daya Karo maharaja Khwaja
Daya Karo maharaj ..

 

Alakh niranjan tere jaisa koi nahi hai Khwaja
Maula Ali ke raaj dulaare khol zara darwaza

Meri rasaayi tere Charan tak, Tera jagat pe raaj

Mope Daya karo mahraja Khwaja
Daya Karo maharaj ..

 

Des Arab se aaya chal ke
Shaah e umam ka bhes badal ke

 

Mope Daya karo mahraja Khwaja
Daya karo maharaj ..

 

Jab tak tere karam ka sadqa nahi milega
Din Raat tera Banda tujh se yahi kahega

 

Mope Daya karo mahraja Khwaja
Daya karo maharaj ..

 

Maula Ali ke raaj Kuñwar Bibi Zahra ke jaaye
Kab se khadi hun tore angna daaman ko phailaye

 

Mope Daya karo mahraja Khwaja
Daya karo maharaj ..

 

Janab e Fatima ki chaadar e tat’heer ka sadqa
Jo Asghar ke gale meiñ chhid gaya us teer ka sadqa
Janab e Aabid e beemar ki zanjeer ka sadqa
Aur apne Peer o Murshid Khwaja e Usman ka sadqa.. bas,

 

Mope Daya karo mahraja Khwaja
Daya karo maharaj ..

Mope daya karo maharaja
Khwaja

daya karo maharaja Khwaja..
daya karo maharaja Khwaja..

 

Khwaja Muhayyiuddeen ka sadqa

Khwaja Qutbuddeen ka sadqa

Shaikh Fareejuddeen ka sadqa

Sabir Alauddin ka sadqa

Khwaja Nazimuddin ka sadqa

Khusro, Naseeruddin ka sadqa

Khwaja Shamsuddin ka sadqa

Ghaus Qutab Abdaal ka sadqa

Peeraane uzzaman ka sadqa

De apne khuddaam ka sadqa

 

Khwaja
daya karo maharaja Khwaja..
daya karo maharaja Khwaja..

 

Khwaja ji tori nagri mein mero aadar kare na kouy
Dur dur kareñ saheliyaañ maiñ mud mud Dekhooñ touy

 

Khwaja
daya karo maharaja Khwaja..
daya karo maharaja Khwaja..

 

Har kas waseela Daarad o ma BeWaseela ei
Ma ra Waseela Neist BaJuz Aastane Tou

 

Khwaja
daya karo maharaja Khwaja..
daya karo maharaja Khwaja..

 

Taalib huñ Nawaazish ka kisi tarha nawaazo
Gar rahm ke laayak nahi thokar hi laga do

 

Ab
daya karo maharaja Khwaja..
daya karo maharaja Khwaja..

 

Huzur Khwaja Mueen e Aalam
Dhadakte Dil ka payaam le lo
Tumhare Qadmoñ Meiñ aagaye hain
Baghair daam o Ghulam le lo

 

Alakh niranjan tere jaisa koi nahi hai Khwaja
Maula Ali ke raaj dulaare khol zara darwaza
tere Charan tak Meri rasaayi, Tera jagat pe raaj

 

Mope Daya karo mahraja Khwaja
Daya Karo maharaj ..
Mope Daya karo mahraja Khwaja
Daya Karo maharaj ..

 

Chu sag am kameena sagaane tou
Wa ze Jumla be qadr awwale
Wa darab ke juz dara ta ke tou
Wa dare digar guzare na sud

 

Ab Daya karo mahraja Khwaja
Daya Karo maharaj ..
Mope Daya karo mahraja Khwaja
Daya Karo maharaj ..

 

Main dukhiyari dard ki maari kuchh bhi nahi hai paas
Mujh Dukhiya ki tum bin khwaaja kaun sune ardaas
Chaahe dar dar bheek mañgaao
Chaahe dharo sar taaj

 

Mope Daya karo mahraja Khwaja
Daya Karo maharaj ..
Mope Daya karo mahraja Khwaja
Daya Karo maharaj ..

 

Alakh niranjan tere jaisa koi nahi hai Khwaja
Ai Usmañ ke raaj dulaare khol zara darwaza
Khwaja
khol zara darwaza, Khwaja ..
khol zara darwaza,

 

Hind Nagar meiñ tere jaisa koi nahi hai raaja
Sona ka to jakad hai sar par, chaañdi ka darwaza

 

Khwaja khol zara darwaza
Khwaja khol zara darwaza..

 

Jhukaye sar khade haiñ tere dar pe
tere matwaale
Ye wo haiñ jinke dil meiñ rote rote
pad gaye chhale

 

Khwaja khol zara darwaza
Khwaja khol zara darwaza..

(Sargam)

Khwaja khol zara darwaza
Khwaja khol zara darwaza..

 

Sab mujh pe sitam dhaa leñ
Ye zulm o sitam waale,

Maiñ shauk se tadpuñga
Sab shauk se tadpa leñ.

 

Dastoor mohabbat ka
chhoda hai na chhoduñga,

Ajmer ki galiyon ko
chhoda hai na chhoduñga,

Muh Khwaja ki ulfat se
Moda hai na moduñga.

 

Duniya hai meri dushman
Jeene na mujhe degi,

Do ghooñt aqeedat mein
Peene na mujhe degi.

 

Mai Sabri Banda hun
Qaayal huñ wafaoñ ka,

Kis tarhe karuñ shikwa
Duniyañ ki jafaoñ ka.

 

Paimaane Wafa poora
Karne ka irada hai,

Khwaja ki Aqeedat mein
Marne ka irada hai.

 

Duniya hai meri dushman
Jeene na mujhe degi,

Do ghooñt aqeedat se
Peene na mujhe degi.

 

Is jeene se kya haasil
Behtar hai ke mar jaauñ,

Is tarhe zamaane mein
Kuchh naam to kar Jaauñ.

 

Jab chaar ke kaañdhoñ par
Ut’thegi meri mayyat,

Ho jaaye ga Hungama
Cheekhegi sabhi khalqat.

 

Ajmer ki galiyon mein
Jab guzre ga janaaza,

Boluñga kafan phaad ke
Khwaja khol zara darwaza.
Khwaja khol zara darwaza..

20:00

Tumri bhikaaran hai dukhiyari
De do muraadeñ man ki saari
Phiruñ maiñ kab tak maari maari
Buri bhali huñ jaisi, tihaari

 

khol zara darwaza.
Khwaja khol zara darwaza..

 

Apne seene mein liye soz e dawaam aaye hain
Peish karne ko Aqeedat ka salaam aaye hain
Tere darbaar meiñ Sabir ke Ghulam aaye hain

 

khol zara darwaza.
Khwaja khol zara darwaza..

 

Is nishani ke kabhi sag nahi maare jaate
Umr bhar mere gale mein rahe patta tera
Haath phailaane mein mauhtaj ko ghairat kya hai
Sharm itni hai ke kahlata hun Banda tera

 

khol zara darwaza.
Khwaja khol zara darwaza..

 

Ai sarwe naazneen e man az man che Deeda ee
Yak baar mehre az mane miskeeñ bureeda ee
Aare ba seem o zar hama kas Banda mee sham az
Ma Banda e tou em ke be zar khareeda ee

 

Dua bhi meri be asar ho gayi hai
Meri zindagi purkhatar ho gayi hai
Khuda ke liye ek nigah e karam ho
Sada dete dete Khwaja, Sahar ho gayi hai

 

khol zara darwaza.
Khwaja khol zara darwaza..

 

Tore Charan meiñ Aan padi hun
Rakh le Meri laaj
Mujh pe Daya karo mahraja Khwaja
Daya Karo maharaj ..

 

Mope Daya karo mahraja Khwaja
Daya karo maharaj..
Mope Daya karo mahraja Khwaja
Daya karo maharaj..

More Manqabat Ghareeb Nawaz

 

  • Comment में राय दीजिए
  • Share कीजिए

Hindi And English lyrics

| Qawwali |

| Sabri Brothers | Nusrat Fateh Ali Khan | Rahat Fateh Ali Khan | Iqbal Afzal Sabri  |  Aziz Miyañ | Ghous Muhammad Nasir

| Naat-E-Paak|

| Khalid Mahmud ‘Khalid’ | Ajmal Sultanpuri Naat  | Ala Hazrat NaatAkhtar Raza Khan| Raaz Ilaahabadi | Muhammad Ilyas Attari | Sayyad Nazmi Miyan

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *