Ek Yazeed Tha Hussain Hai Lyrics

Ek Yazeed Tha Hussain Hai Lyrics By Yafsheen Ajmal Shaikh

Ya Hussain Ya Hussain
Ya Hussain Ya Hussain

Sardar Hussain, Lajpal Hussain
Sardar Hussain, Lajpal Hussain

 

Ye Na Pooch Kya Hussain Hai
Fazl E Kibriya Hussain Hai
Kya Bataun Kya Hussain Hain
Mera Mudd’aa Hussain Hai

Ye Na Pooch Kya Hussain Hai
Fazl E Kibriya Hussain Hai

 

Baat Hai Bas Itni Muktasar
Ik Yazeed Tha, Hussain Hai
Fazl E Kibriya Hussain Hai

Fazl E Kibriya Hussain Hai

 

Wo Jiske Naam Pe Nabz E Hayaat Chalti Hai
Zami.N Zikr Hi Kya Kaynat Chalti Hai
Ye Baat Zahan Me Rakhiye Ke Jabr Ke Agey
Hussain Chalaaye To Baat Chalti Hai

Ik Yazeed Tha Hussain Hai
Fazl E Kibriya Hussain Hai

 

Yazeed Naqsh E Joro Jafa Banata Hai
Hussain Usme Fateh Karbala Banaata Hai
Yazeed Aaj Bhi Bante Hain Log Koshish Se
Hussain Khud Nahin Banta Khuda Banata Hai

Ek Yazeed Tha Hussain Hai
Fazl E Kibriya Hussain Hai
Kya Bataun Kya Hussain Hain
Mera Mudd’aa Hussain Hai

 

Murtaza Ka Hai Wo Shahkaar
Aale Mustafa Hussain Hai

 

Shah Ast Hussain, Badshah Ast Hussain !
Deen Ast Hussain Deen Panah Ast Hussain !
Sardaad Na Daad Dast Dar Daste Yazeed !
Hakka Ke Binaye La-Ilah Ast Hussain !!

Ye Na Pooch Kya Hussain Hai
Fazl E Kibriya Hussain Hai

 

Haider Ki Khak E Paa Rukh E Maa Par Lagi Hui
Unki Lagan Hai Dil Ko Barabar Lagi Hui
Mera Kafan Ho Tare Adab Se Buna Hua
Ho Saat iltimaas Ki Jhalar Lagi Hui
Zehra Hussain Aur Hasan Ka Ghulam Hun
Mere Ali Ki Mohar Hai Mujh Par Lagi Hui
Takkar Na Le Nabi Ki Shariyat Se Hosh kar
Dozakh Me Jhokti Hai Ye Thokar Lagi Hui.

Aal E Mustafa Hussain Hai
Fazl E Kibiriya Hussain Hai
Ye Na Pooch Kya Hussain Hai
Fazl E Kibriya Hussain Hai

 

Karbala Me Aakhiri Namaz
Kar Gaya Ada Hussain Hai

Mitti Me Mil Gaye Hain Irade Yazeed Ke
Lahra Raha Hai Aaj Bhi Parcham Hussain Ka

 

Kar Gaya Ada Hussain,
Kar Gaya Ada Hussain

Ye Na Pooch Kya Hussain Hai
Fazl E Kibriya Hussain Hai

 

Ya Hussain, Ya Hussain

Arfaqaab Ki Hain Jannatein
Kyon Ke Aapka Hussain, Hai

Ye Na Pooch Kya Hussain Hai
Fazl E Kibriya Hussain Hai

 

Ya Hussain, Ya Hussain

 

Recited By : Yashfeen Azmal Sheikh
Originally Perfomed By: Khalid Hasnain Khalid


Our Pages


Naat-E-Paak         

Manqabat Ghaus e Azam

Manqabat Ghareeb Nawaaz

Naat Khwan:

         Qawwali         

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *