Ya Mohammad Noor e Mujassam Lyrics

Ya Mohammad Noor e Mujassam Lyrics

Qawwal: Sabri Brothers (Ghulam Farid Sabri and Maqbool Ahmad Sabri)

Poet: Adeeb Raipuri

Lyrics of Ya Mohammad Noore Mujassam Qawwali By Sabri Brothers
Mohammad Noor-e-Mujassam
हिंदी लिरिक्स के लिए यहां टच कीजिए

 

اردو میں پڑھنے کے لئے یہاں ٹچ کیجیے

Saare aalam ke liye tu hi faqat chaara saaz
Aye k tu bandaye aajiz k liye Banda Nawaaz

Aankh ro ro ke talab Karti hai rahmat teri
Dil dhadakta hai to aati hai yahi ek aawaz

 

Aye … ke tera jamaal hai
Raunaq e mahfil e wujud

Aye … ke teri namood hai
Jalwa taraaz e hast o bood

 

Ya.. de to daade lazzat e
Zikr e …
Zikr e to shauqe man wujud

Tujh pe durud aur Salaam
Tujh pe Salaam aur durud,

Salle ala Nabi e na
Salle ala Mohammadin

 

Ya Muhammad Noor e Mujassam
Ya Habeebi Ya Maulaayi

Tasweer e kamale Mohabbat
Tanveer e jamaal e khudaayi

 

Do jahan fida tere naam par
Hai sukooñ faza tera naam bhi

Teri zaat par ho durood bhi
Teri naam par ho Salaam bhi

Mujhe apni taabisheñ kar ata
Tu mera hai maahe tamaam bhi

Hai luti luti meri Subha bhi
Hai bujhi bujhi meri shaam bhi

 

Ya Muhammad Noor e Mujassam
Ya Habeebi Ya Maulaayi

Tasweer e Kamale Mohabbat
Tanveer e Jamaal e khudaayi

 

Tera Wasf Bayaañ Ho Kis-se
Teri Kaun Karega Badayi

 

Ya wara fa’ana laka zikrak

Teri kaun karega badayi

 

Ya rahmate kul khairul bashar

Teri kaun karega badayi

 

Tara wasf bayaañ ho kis-se
Teri kaun karega badayi

 

Khuda ne kheiñch ke naksha Rasool e Akram ka
Ye keh diya tera saani nahin jawaab nahi

Teri kaun karega badayi

 

Wash-Shams rukhe zeba hai tera
Tu Noor fishan e aalam hai

 

Aye man mohan, Taiba dhani,
kausain ke rajish bareeñ

Chandar mukat, sooraj baran
Nirkaar jyoti, man hari

Mukhde ko tere dekh kar
Prabhu ne ye aasha kari

Aye chehra e zebaaye to
Rashk e butaane aazari

 

Har Chand wasfat meeñ kunam
Dar husne jaañ baala tari

 

Ruhul ameeñ se ek din
Kehne lage shahe umam

Tumne to dekha hai jahaañ
Bat laao to kaise hain ham

Khush ho ke yu kehne lage
Aye Shah tere Rukh ki qasam

 

Aafaaq ha gar deeda am
Mehr e butaañ bar zeeda am

Bis yaar khoobaañ deeda am
Lekin to cheeze deegari

Tu Noor fishan e aalam hai

 

Wash-Shams rukhe zeba hai tera
Tu Noor fishan e aalam hai

Wal-Lail hai teri zulfe duta
Tu raahte jaane aalam hai

 

Kaamat ka nahiñ saaya hai tere
Ye aql hi kya jo tujhe samjhe

Tu laakh Bashar apne ko kahe
Kuchh aur gumaane aalam hai

Kyuñ…

Jalwe tere us waqt bhi the
Kam bhi nahi the

Ye jab ki hai baateñ
Ke  jab aadam bhi nahin the

 

Khayal aaya rab ko
ke dekhooñ ga khud ko

To khud mein se khud
ek tasweer dhaali

Jo dekha to khud
ho gaya us pe shaida

Wo tasweer apne
muqabil saja li

 

Fir ..
Muraqqa kiya us ko
har har ada se

Fir …
Rakha naam uska
Mohammad ﷺ khuda ne

 

Khud hi apna jalwa, khudi uska taalib
Wo tasweer apne muqabil saja Lee

Khud hi apna jalwa, khudi uska taalib

 

Aap-hi maata, aap-hi pita
Aap-hi Godan haara

Aapni goud mein aap-hi khele
ban ban ke nand laala

Kahet Nawaab Tori sooratiya
laakhan mein Anmol

Jab ke soorat aap banaawe
aap-hi laha-lot hui jaayi

 

Yaare manwa kamaale raanaayi
Khud tamaasha o khud tamaashayi

Khud hi apna jalwa khud hi uska taalib

 

Dil Sheifta-e sayyad-e makki Madani hai
Kya husn-e muqaddar mera Allah o ghani hai!

Nakkash-e azal ne kaha tasweer bana kar
Aisi koi tasveer banegi na bani hai

Teri kaun karega badhayi.

 

Tera wasf bayaañ ho kis-se
Teri kon kon karega badai

Is garde safar me gum hai
jibreel e ameeñ ki rasaayi

 

Ya Mohammad Noor e mujassam
Ya habeebi ya maulaayi

Tasvire kamaale Mohabbat
Tanveer e jamaal khudaayi

 

Ye Rang e Bahaar e Gulshan
Ye Gul Aur Gul Ka Joban

Tere Noor e Qadam Ka Dhoban
Is Dhoban Ki Raanaayi

 

Ya Mohammad Noor e mujassam
Ya habeebi ya maulaayi

Ma ajmalaka teri soorat
Ma ahsanaka teri seerat

Ma akmalaka teri azmat
Teri zaat me gum hai khudaee

 

Ya Mohammad Noor e mujassam
Ya habeebi ya maulaayi

Tasvir-e Kamaal-e Mohabbat
Tanveer e Jamaal-e Khudaayi

Ya Muhammad Noor e mujassam…

————

 

(The following verses are not sung in the qawwali)

 

Teri Ek Nazar Ke Talib Tere Ek Sukhan Pe Qurbañ
Ye Sab Tere Deewane Ye Sab Tere Shaihdaai

 

Ay Mazhar-e Shaan-e Jamali Ay Khwaja o Banda-e Ali
Mujhe Hashr Mein Kaam Aa Jaaye Mera Zauq-e Sukhan Aaraayi

 

Tu Raees-e Roz-e Shafa’at Tu Ameer-e Lutf o Inaayat
Hai Adeeb Ko Tujhse Nisbat Ye Ghulam Hai Tu Aaqaayi

You might also like:-

Ya sahib al Jamal wa Ya Sayyad ul bashar


Sare La Makan Se Talab Hui


Mera Koi Nahi Hai Tere Siwa Maiñ Banke Sawali Aaya Huñ. Bheek Mile Aaqa


Man bole man Shaah-e Zaman Kali Kali Kamli Hai Noor Ka Badan


Nazan Hai Jis Pe Husn Wo Husn-e Rasool Hai


Mere Dil Meiñ Hai Yaad e Mohammad ﷺ


  • Comment में राय दीजिए
  • Share कीजिए

Hindi And English lyrics

Naat-E-Paak|

Khalid Mahmud ‘Khalid’ Ajmal Sultanpuri Naat  | Ala Hazrat Naat | Akhtar Raza Khan| Raaz Ilaahabadi | Muhammad Ilyas Attari | Sayyad Nazmi Miyan

 

Qawwali |

Sabri Brothers | Nusrat Fateh Ali Khan | Rahat Fateh Ali Khan | Iqbal Afzal Sabri | Aziz Miyañ |Nazir Ejaz Faridi |  Ghous Muhammad Nasir | Maulvi Ahmad Hasan |

1 thought on “Ya Mohammad Noor e Mujassam Lyrics”

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *