Ye Sab Tumhara Karam Hai Aaqa Lyrics

Ye Sab Tumhara Karam hai Aqa Lyrics

Qawwal: Sabri Brothers

Lyrics: Khalid Mahmud Sahab

| हिंदी लिरिक्स |


Sharab-e-ishkq se Alhamdulillah
Diloñ ke jaam roshan kar rahe haiñ

Mohammad Mustafa ka naam lekar
Hum apna naam roshan kar rahe haiñ


https://youtu.be/6JzgJ0dJRfE


Mujhe to maañgna aata nahin
Maiñ kya maañguñ

Meri talab ka shahe do sara
bharam rakhiye

 

Ye sab tumhaara karam hai aaqa

Ye sab tumhaara karam hai aaqa
Ke baat ab tak bani huyi hai

Maiñ is karam ke kahañ tha qabil
Huzur ki Banda parwari hai

Ye sab tumhaara karam hai aaqa

Ye sab tumhaara karam hai
Karam hai aaqa

 

Jahañ jahañ bhi gaye hain
karam hi karte gaye

Kisi ne maañgna na maañgna ho
jholi bharte gaye

Ye sab tumhara karam hai aaqa
K baat ab tak bani huyi hai

 

Unki yaadoñ ka hai ye Faiz
barabar dekho
Maiñ fakeeri me bhi hooñ
kitana tawañgar dekho!

Be amal paal rahe haiñ mere aaqa mujh ko
Dekhne walo zara mera muqaddar dekho!

 

Khusha nasib mujhe gham ata kiya tumne
Karam kiya mujhe apna bana liya tumne

Jahañ kahiñ mere qadmo meiñ laghzisheñ aayiñ
Nisar jaaooñ wahiñ aasra diya tumne

Isi ada pe to sab mar mite haiñ deewane
Khata huyi to khata ko chhupa liya tumne

 

Ye sab tumhaara karam hai aaqa
K baat ab tak bani huyi hai

Main is karam ke kahañ tha qabil
Huzoor ki banda parwari hai

Ye sab tumhara karam hai aaqa

 

Kisi ka ehsaan kyuñ uthayeñ
Kisi ko haalat kyuñ batayeñ

Tumhi se maañgeñ ge tum hi do ge
Tumhare Dar Se hi lau lagi hai

Ye sab tumhara karam hai aaqa
Ke baat ab tak bani huyi hai

Maiñ is karam ke kahañ tha qabil, huzur ki Banda parwari hai

Ye sab tumhaara karam hai aaqa

 

Amal ki mere asaas kya hai
Bajuz nidamat ke paas kya hai

Rahe Salaamat tumhaari nisbat
Mera to bas aasra yahi hai

Ye sab tumhara karam hai aaqa
K baat ab tak bani huyi hai

 

Maiñ is Karam k kahañ tha qabil
Huzur ki Banda parwari hai

 

Tajalliyoñ ke kafeel tum ho
Muraade qalbe Khaleel tum ho

Khuda ki roshan daleel tumho
Ye sub tumhaari hi roshni hai

Maiñ is karam ke kahañ tha qabil
Huzur ki Banda parwari hai

Ye sab tumhaara karam hai aaqa

 

Yahi hai Khalid asaase rahmat
Yehi hai Khalid binaaye azmat

Nabi ka irfaan zindagi hai
Nabi ka farmaan bandagi hai

Maiñ is karam ke kahañ tha qabil
Huzur ki Banda parwari hai

Ye sab tumhaara karam hai aaqa
Ke baat ab tak bani huyi hai


More Qawwalis

Sabri Brothers

Rahat Fateh Ali Khan

Nusrat Fateh Ali Khan

Aziz Miyañ

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *