Waqt e Akhir Huzoor Aa Jana Lyrics – Asad Raza Attari

Waqt e Akhir Huzoor Aa Jana Lyrics – Asad Raza Attari

 

Aaqa, aaqa, aa jana

meri aankh mein samana
Madni madine Wale
Bane dil Tera thikana
Madani madine Wale

 

Ye mareez mar raha hai
tere hath mein Shifa hai

Ae Tabeeb jald aana
Madani madine Wale

 

Waqt e aakhir huzur aa Jana
apna jalva mujhe dikha Jana

 

Mere Madhfan mein Roushani ke liye
aake ek bar muskura Jana
Ek Muddat se pyasi Hein Aankhen
jaam e Deedar inhe pila Jana

 

Ya Mohammad salle ala
ya Muhammad salle ala
ya Muhammad salle ala

 

Sakaraat ka aalam hai
Shah dam hai labon par
Tashrif sirhane ab layiye aaqa

 

Dam Mera tere rubaru nikale
Hasrat e dil meri Mita Jana
Waqt e aakhir huzur aa Jana

 

Arz kar dena Mera unse salam
Jab madine mein ae saba Jana
Waqt e aakhir huzur aa Jana

 

Teri furqat mein kab talak Jhelun
Dard ki kar mere dawa Jana
Waqt e aakhir huzur aa Jana

 

Log kahte hain mera koi nahin
Aap mere hain ye bata Jana
Waqt e aakhir huzur aa Jana

 

La ke tashrif khwab e Ahmad mein
Apni chaadar bhi kar ata Jana
Waqt e aakhir huzur aa Jana


Our Pages


Naat-E-Paak         

Manqabat Ghaus e Azam

Manqabat Ghareeb Nawaaz

Naat Khwan:

         Qawwali