Shukhan Lagan Me Hasab Nasab Me Lyrics

Shukhan Lagan Me Hasab Nasab Me Lyrics 

 

 

Sabse Aula O Aala Hamara Nabi
Sabse Bala O Wala Hamara Nabi

 

Shukhan Lagan Me Hasab Nasab Me
Karam Ni’am Me Hain Sabse ‘Aala.

 

Husan Dahan Me,
Adab Laqab Me,
Dharam Bharam Me,
Haiñ Sabse Aala.

 

Shukhan Lagan Me Hasab Nasab Me
Karam Ni’am Me Hain Sabse Aala.

 

Wohi Payamber
Bade Munawwar
Jo Haiñ Mutahhar
Sabhi Se Bartar.

Laboñ Ka Zevar
Haya Ki Chadar
Wafa Ke Paikar
Wo Mushq o Amber Se bhi Moa’attar.

 

Khuda e Akbar Se To Haiñ Asghar
Har Ik Payamber Se Haiñ Bulandtar.

 

Amal Ke Masdar
Husan Me Anwar
Shifat Me Azhar
Sabhi Ke Sarwar
Sabhi Ke Dilbar.

Wo Shaah-e-Abraar,
‘Aala Kirdaar,
Aala Me’aar Ka Haiñ Shahkaar.

 

Shukhan Lagan Me Hasab Nasab Me
Karam Ni’am Me Hai Sabse Aala

 

Maiñ Unki Guftar
Unki Raftaar
Unki Afkar
Unke Iqraar
Unke Atwaar
Unke Izhar
Unke Asraar
Unke Rukhsar
Unke Anwar
Unki Deewar
Unke Bazar
Unke Gulzar
Unke Har Yaar
Unki Talwar
Unke Deedar
Ka Huñ Beemar.
Hooñ Main Naadaar, Kitna Bekar
Unka Hi Pyaar Mujhko Darkar.

 

Haseen Rangat
Jameel Fitrat
Azeem Nisbat
Qareen e Qudrat
‘Ulu e Rif’at
Kamaal e Azmat
Naseem e Sohbat
Muhibb e Millat
Badi ‘e Sunnat
Shafi ‘e Ummat
Jalees e Barkat
Khaleeq e Zeenat
Na’eem Sarwat
Faheem e ‘Ulfat
Ata e Qudrat
Nida e Ummat
Wafa e Khalwat
Wafa e Jalwat
Sakha e Qurbat
Sakha e Bo’dat.

 

Unhi Ki Mehnat Ki He Badaulat
Mili Hai Nisbat Mili Ye Azmat.

Har Ek Aayat Ki Hai Riwayat
Har Ek Khiffat Ki Hai Diraayat.

 

Rafeeq e Jannat
Laboñ Ki Zeenat
Tumhari Mid’hat
Hai Sheeriñ Sharbat.

Teri Faqahat
Teri Sama’at
Teri Qayadat Ki Kya Azeemat.

 

Teri Haqiqat, Teri Aqeedat
Teri Fazeelat Ki Hai Zaroorat.

Teri Nafasat, Teri Wazahat
Teri Qarabat Ki Ho Ziyarat.

Teri Shafa’at Teri Ita’at
Teri Shaba’hat Ki Ho Basharat.

 

Mile Shakhawat,
Teri Imamat,
Teri Riyazat,
Teri Basarat,
Chhate Musafat,
Mile Qarabat,
Teri Ita’at Sada Inayat.

 

Jasad Sanad Me,
Zamañ Makañ Me,
Qadam Qadam Me Haiñ Sabse ‘Aala.

Balad Khirad Me,
Zabañ Gumañ Me,
Janam Umam Me Haiñ Sabse Aala.

 

Shukhan Lagan Me Hasab Nasab Me
Karam Ni’am Me Hain Sabse Aala.

Sabse Aula Wa Aala Hamara Nabi
Sabse Bala Wo Wala Hamara Nabi

 

Wohi Haiñ Quraañ
Wohi Hain Emaañ
Wo Mera Dil-Jaañ
Ho Jauñ Qurbañ
Har Ek Insañ Pe Unka Ehsañ
Sabhi Ka Armañ Unhi Ka Damaañ

 

Wo Paaswañ Haiñ
Wo Hukmrañ Haiñ
Yahañ Wahañ Haiñ
Kahañ Kahañ Haiñ!
Wo Saaebañ Haiñ
Wo Dastañ Haiñ
Amaañ Azaañ Haiñ
Ayañ Ayañ Haiñ.

 

Wo Zindagi Haiñ
Wo Tishnagi Hain
Wo Roushani Hain
Wo Chaashni Hain.

Wo Dillagi Hain
Wo Taazgi Hain
Wo Sarmadi Hain
Wo Aakhri Hain.

 

Sabhi Se Aala Buland o Bala
Tera Hawala Bada Nirala
Tera To Shaala Janaan Wala
Tera Ujala Huda Ka Aala.

 

Laqab Hai Aaqib, Kitab e Kaatib
Tere Munaqib Mere Mutalib
Teri Jabarib Ke Sab Kabaakib
Tamaam Sahib Ke Kya Maratib.

 

Tabeeb e Ummat
Habib e Ummat
Adeeb e Ummat
Khateeb e Ummat
Qarib e Ummat
Raqeeb e Ummat
Naseeb e Ummat
Haseeb e Ummat.

 

Hayaat Aala
Hamaat Aala
Jehaat Aala
Sifaat Aala.

Salaat Aala
Zaqaat Aala
Nuqaat Aala
Najaat Aala.

 

Karim o Akram
‘Aleem o ‘Aalam
Faheem o Afham
‘Azim o Aazam.

Ghaneem o Aghnam
Rahim o Arham
Naa’em o An’am
Shamim o Ashnam.

Shahar Dahar Me,
Chamak Damak Me,
Ilam Faham Me Haiñ Sabse Aala.

Nazar Qadar Me,
Palak Jhalak Me,
Wo Ham Me Tum Me Haiñ Sabse Aala.

 

Sukhan Lagan Me Hasab Nasab Me
Karam Me’am Me Haiñ Sabse Aala.

 

Our Pages

Hamd-E-Baari-T’aala 

Naat-E-Paak         

Rabiul Awwal Mutalliq Kalam

Manqabat Ghaus e Azam

Manqabat Ghareeb Nawaaz

Shayar

Naat Khwan:

         Qawwali