Noor e Khuda Hai Husn-e Saraapa Rasool Ka

Noor e Khuda Hai Husn e Saraapa Rasool Ka Lyrics

Qawwal : Nusrat Fateh Ali Khan

 

اردو میں پڑھیں

हिंदी में पढ़ें


bemisl hai, kya shaukat e raanaayi hai!

khaaliq bhi fida khalq bhi shaidaayi hai
khaaliq ne mohabbat ke niraale rukh se
sarkar ke chehre ki qasam khaayi hai

 

Noor-e Khuda Hai Husn-e Saraapa Rasool Ka

Noor-e Khuda Hai Husn-e Saraapa Rasool Ka

 

sar se paa tak noor
unka sab gharaana noor ka
unki nasl e paak mein hai
bachcha bachcha noor ka

Noor-e Khuda Hai Husn-e Saraapa Rasool Ka ..

 

dono jahaañ ka noor Muhammad ﷺ ke roop meiñ
Allah ka zahoor Muhammad ﷺ ke roop mein

Noor-e Khuda Hai Husn-e Saraapa Rasool Ka ..

 

lab noor jabeen noor
dahan noor nazar noor

Noor-e Khuda Hai Husn-e Saraapa Rasool Ka ..

 

gesu ki chamak noor
amaame ki damak noor
hai khaak ka ghar khaak
magar noor ka ghar noor

 

Noor-e Khuda Hai Husn-e Saraapa Rasool Ka
Khud Hi Khuda e Paak Hai Shaida Rasool Ka

 

Allah ne paas bula hi liya
bin dekhe khuda bhi rah na saka

Khud Hi Khuda e Paak Hai Shaida Rasool Ka ..

 

takhleeq karke aapko allah ne kaha
mera habib meri tarah lajawaab hai

Khud Hi Khuda e Paak Hai Shaida Rasool Ka ..

 

Yeh Aasmaañ Yeh Chaañd Sitaare Unhi Se Haiñ
Jitne Haiñ Dilnasheen Nazaare Unhi Se Haiñ

Teesoñ Kalaam e Paak Ke Paare Unhi Se Hain
Takhleeq e Kayanaat Hai Sadqa Rasool Ka

 

Jab Kuch Nahi Tha Sirf Khuda Hi Ki Zaat Thi
Is Din Ka Tha Wajood Na Maujood Raat Thi

Jeene Ka Tazkara Tha Marne Ki Baat Thi
Us Waqt Bhi Tha Noor-e Mujalla Rasool Ka

 

Hazrat Umar Ki Dekhiye Taqdeer Yuñ Bani
Nikle The Qatl Karne Ki Neeyat Se Jis Ghadi

Talwaar Chhut Ke Haathoñ Se Qadmoñ Mein Gir Padi
Dekha Unhoñ Ne Jab Rukhe Zeiba Rasool Ka

 

Aati Hai Jab Yeh Baat Hamaare Khayaal Mein
Milta Nahi Hai Waaqaya Koi Misaal Mein

Kya Mo’ajiza Hua Tha Ke Teyees Saal Mein
Saare Jahaañ Ne Padh Liya Kalma Rasool Ka

 

Pal Bhar Mein Jaise Wo Bhi Koi Mo’ajiza Hua
Hairat Se Aasmaan Use Dekhta Raha

Saara Gharoor Qila’a-e Khaibar Ka Mit Gaya
Jab Murtaza Ko Mil Gaya Jhanda Rasool Ka

 

Aisi Misaal De Na Sakegi Yeh Kaayenaat
Jaañ Di Diya Na Dast Yazeedi Mein Apna Haath

Khud Bhi Hua Shaheed Bahattar Ke Saath Saath
Kitna Azeem Tha Wo Nawaasa Rasool Ka

 

sar daad na daad dast dar dast e yazeed
haqqa ke bina e la ilaah ast Hussain

Kitna Azeem Tha Wo Nawaasa Rasool Ka ..

 

Noore Khuda Hai Husn-e Saraapa Rasool Ka

  • Comment में राय दीजिए
  • Share कीजिए

Hindi And English lyrics

Qawwali |

Sabri Brothers | Nusrat Fateh Ali Khan | Rahat Fateh Ali Khan | Iqbal Afzal Sabri | Aziz Miyañ |Nazir Ejaz Faridi |  Ghous Muhammad Nasir | Maulvi Ahmad Hasan |

 

Naat-E-Paak|

Khalid Mahmud ‘Khalid’ Ajmal Sultanpuri Naat  | Ala Hazrat Naat | Akhtar Raza Khan| Raaz Ilaahabadi | Muhammad Ilyas Attari | Sayyad Nazmi Miyan

1 thought on “Noor e Khuda Hai Husn-e Saraapa Rasool Ka”

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *