Mustafa Ki Gali Dekhkar Lyrics | मुस्तफ़ा की गली देखकर

Mustafa Ki Gali Dekhkar Lyrics

 

जालियों की चमक देखकर
शहर की दिलकशी देखकर
भूल जाओगे ख़ुल्द-ए-बरीं
मुस्तफ़ा की गली देखकर

Jaliyon Ki Chamak Dekhkar
Shahar Ki Dilkashi Dekhkar
Bhool Jaoge Khuld-e-Bariñ
Mustafa Ki Gali Dekhkar

 

आख़िरत भी संवर जाएगी
ज़िंदगी भी निखर जाएगी
रुह निकले बदन से मेरे
काश! रुए नबी देखकर

Aakhirat Bhi Sawar Jayegi
Zindagi Bhi Nikhar Jayegi
Rooh Nikle Badan Se Mere
Kash! Rooye Nabi Dekhkar

 

महव-ए-हैरत हैं अलहे अदब
सोचकर गुम हैं अहले क़लम
रश्के गुफ़्तार अहमद रज़ा
आपकी शायरी देखकर

Mahaw-e-Hairat Haiñ Ahle Adab
Sochkar Gum Haiñ Ahle Qalam
Rashke Guftar Ahmad Raza
Aapki Shayari Dekhkar

 

फ़तिमा बी के सरताज हैं
और आक़ा के दामाद हैं
रश्क करते हैं अहले सुनन
शाने मौला अली देख कर

Fatima Bi Ke Sartaj Haiñ
Aur Aaqa Ke Damaad Haiñ
Rashk Karte Hain Ahle Sunnan
Shane Mola Ali Dekhkar

 

नौशा-ए-अर्श-ए-रब्बुल उ़ला
ख़ुश्क रोटी है फिर भी ग़िज़ा
बादशाही भी क़ुर्बान है
आपकी सादगी देखकर

Nausha-e-Arsh-e-Rabbul Ula
Khushk Roti Hai Phir Bhi Ghiza
Badshahi Bhi Qurban Hai
Aapki Sadgi Dekhkar

 

जब बुलावा मेरा आएगा
क्या बताऊं मैं अज़मत रज़ा
ख़ुद ख़ुशी भी मचल जाएगी
मेरे रुख़ पे ख़ुशी देखकर

Jab Bulawa Mera Aayega
Kya Batauñ Maiñ Azmat Raza
Khud Khushi Bhi Machal Jayegi
Mere Rukh Pe Khushi Dekhkar

Recited by: Azmat Bhagalpur

Mustafa Ki Gali Dekhkar Lyrics In Hindi And English

 

Our Pages

Hamd-E-Baari-T’aala 

Naat-E-Paak         

Rabiul Awwal Mutalliq Kalam

Manqabat Ghaus e Azam

Manqabat Ghareeb Nawaaz

Shayar

Naat Khwan:

         Qawwali