Mere Khwaja Ne Aisa Karam Kar Diya

Mere Khwaja Ne Aisa Karam Kar Diya Lyrics

Qawwal : Iqbal Afzal Sabri

 

हिन्दी लिरिक्स

Haram Aur Dair Ke Katbe Padhe, Ye Kisko Fursat Hai
Yahañ Hadde Nazar Tak, Sirf Unwane Mohabbat Hai.

 

Ek Haseeñ Ko Dekhna Aur Dekh Ke Sar Ko Jhuka Lena
Ibaadat Ki Ibaadat Hai, Zyarat Ki Zyarat Hai.

 

Haram Meiñ Maiñ Karuñ Sajde, Butoñ Ko Main Jhukauñ Sar
Zara Sa Waqt Itne Kaam Itni Kis Ko Fursat Hai.

 

Kamli Waale Ka Jalwa Hai Pesh e Nazar

 

Kamli Waale Ka Jalwa Hai Pesh e Nazar
Mujhko Dair o Haram Ki Zarurat Nahiñ..

 

Kamli Waale Ka Jalwa Hai Peishe Nazar
Mujhko Dair o Haram Ki Zarurat Nahiñ ..

 

Ho Kamli Waale Ka Jalwa..
Kamli Waale Ka Jalwa..

 

Jisko Na Yaqeeñ Aaye, Ajmer Meiñ Wo Dekhe

Kamli Waale Ka Jalwa..
Kamli Waale Ka Jalwa..

 

Haidar Ka Poot Aaya, Zahra Ka Jaaya Aaya
Sar Par Khuda Ka Saaya, Haryaala Bana Aaya

Desh Arab Se Aaya Chalke
Shaahe Umam Ka Bhes Badal Ke.

Kamli Waale Ka Jalwa..
Kamli Waale Ka Jalwa..

 

Kamli Waale Ka Jalwa Hai Pesh-e Nazar
Mujhko Dair o Haram Ki Zarurat Nahiñ

Mere Khwaja Ne Aisa Karam Kar Diya
Ab Kisi Ke Karam Ki Zarurat Nahiñ …

 

Nisbat Bhi Kaisi Cheez Hai Daamaan-e Yaar Se
Be Fikr Ji Raha Huñ Har Ek Aitbaar Se.

 

Mere Khwaja Ne Aisa Karam Kar Diya
Ab Kisi Ke Karam Ki Zarurat Nahiñ…

 

Rakhi Hai Laaj Aapne Har Har Maqaam Par
Yuñ Hi Karam Rahe Mere Khwaja Ghulam Par.

 

Mere Khwaja Ne Aisa Karam Kar Diya
Ab Kisi Ke Karam Ki Zarurat Nahiñ …

 

Ab Is Se Badh Ke Karam Ki Daleel Kya Hogi!
Maiñ Doobta Huñ Samandar Uchhal Deta Hai.

 

Mere Khwaja Ne Aisa Karam Kar Diya
Ab Kisi Ke Karam Ki Zarurat Nahiñ …

 

Hameñ Maaloom Hai, Hum Se Suno
Mahshar Meiñ Kya Hoga?
Sab Usko Dekhte Hoñge Wo Hum Ko
Dekhta Hoga

Jahannum Ho Ke Jannat Jo Bhi Hoga Faisla Hoga
Ye Kya Kam Hai Hamara Aur Unka Saamna Hoga

 

Janaat Ke Zikr Se Mujhe Tadpa Raha Hai Kyuñ
Dil Mera Is Khyal Se Bahla Raha Hai Kyuñ

Hoor o Malak Ke Husn Pe Lalcha Raha Hai Kyuñ
Zahid Tu Apni Khuld Pe Itra Raha Hai Kyuñ

 

Sar e Hashr Hai, Nafsi Nafsi Ka Aalam
Ke Ab Bakhshishoñ Ka Maqaam Aa Raha hai

Mujhe Dekh Kar Yuñ Mohammad ﷺ Kaheñge
Wo Dekho Humara Ghulam Aa Raha Hai.

 

Mere Khwaja Ne Aisa Karam Kar Diya
Ab Kisi Ke Karam Ki Zarurat Nahiñ …

 

Ishq-e Khwaja Se Kitna Qareene Meiñ Huñ
Jaise maiñ Rahmatoñ Ke Safeene Meiñ Huñ

Mere Khwaja Ki Galiyañ Salamat Raheñ
Aisa lagta hai jaise Madine Meiñ Huñ.

 

Mere Khwaja Ne Aisa Karam Kar Diya
Ab Kisi Ke Karam Ki Zarurat Nahiñ …

 

Ziddi The Apni Baat Ke Hum Bhi Ade Rahe
Makhmoor Hoke Dar Pe Unhi Ke Pade Rahe
Nashtar Khalish Ke Dil Meiñ Hamare Gade Rahe.

 

Yuñ To Mukhaalifoñ Ne Bahut Zor Lagaye
Lekin Hamare Naam Ke Jhande Gade Rahe.

 

Mere Khwaja Ne Aisa Karam Kar Diya
Ab Kisi Ke Karam Ki Zarurat Nahiñ …

 

Mera Eemañ Hai Jab Hashr Meiñ Jaauñga
Garmi-e Hashr Se Maiñ Na Ghabrauñga,

Khwaja-e Khwajgañ Ke Waseele Se Maiñ
Daaman e Mustafa ﷺ Meiñ Amaañ Paauñga

 

Mere Khwaja Ne Aisa Karam Kar Diya
Ab Kisi Ke Karam Ki Zarurat Nahiñ …

 

Rashq-e Jannat Hai Khwaja Ki Har Ek Gali
Jis Se Phaili Hai Islam Ki Raushni
Chaahe Shirqi Kaho Ya Kaho Bid’ati
Ishq-e Khwaja Hai Ab To Meri Zindagi.

 

Mere Khwaja Ne Aisa Karam Kar Diya
Ab Kisi Ke Karam Ki Zarurat Nahiñ …

 

Khwaja Ne Humko Saahib-e Eemaan Kar Diya
Khwaja Ne Humko Aamil-e Qur’aan Kar Diya

Sachchayi Ki Taraqqi Ka Saamaan Kar Diya
Kalma Padha Ke Sab Ko Musalman Kar Diya.

 

Mere Khwaja Ne Aisa Karam Kar Diya
Ab Kisi Ke Karam Ki Zarurat Nahiñ …

 

Kya Gharaz Mujhko Aaghaaz o Anjaam Se
Maiñ To Wa Basta Huñ Khwaja Ke Naam Se,

Mera Iqbal Hai Maiñ Gunahgar Huñ
Phir Bhi Khwaja Ke Dar Ka Namak-Khwaar Huñ.

 

Mere Khwaja Ne Aisa Karam Kar Diya
Ab Kisi Ke Karam Ki Zarurat Nahiñ …

 

Nigaah-e Garm Se Mujhko Na Dekh Ai Dozakh
Khabar Bhi Hai Tujhe, Kiska Gunahgar Huñ Maiñ!

Rahmatul Hind Hai Khwaja Saare Waliyoñ Ka Wali Hai
Jiska Daada Bhi Ali Hai, Jiska Naana Bhi Ali Hai

Maiñ Bura Huñ Ya Bhala Khwaja Ka Kahlaata Huñ

Ab Dekhiye Kya Hota Hai Sar e Hashr
Rahmat Meiñ Kami Hai Na Gunaahoñ Meiñ Kami Hai.

 

Mere Khwaja Ne Aisa Karam Kar Diya
Ab Kisi Ke Karam Ki Zarurat Nahiñ …

 

Khuld To Khuld Hai Jaanta Huñ, Magar
Kya Batauñ Ke Maiñ Dil Se Majboor Huñ,
Baagh-e Jannat Mera Baagh e Ajmer Hai
Mujh Ko Baagh-e Iram Ki Zarurat Nahi.

 

Baagh-e Jannat Mera Baagh e Ajmer Hai
Mujh Ko Baagh-e Iram Ki Zarurat Nahiñ …

 

Kaaba-e Dil Hai Mera, Tera Aastaañ
Tu Salaamat Rahe, Khwaja-e Khwajgañ,

Maiñ Pujaari Tera, Tu Hai Mera Sanam
Ab Kisi Bhi Sanam Ki Zarurat Nahiñ.

 

Maiñ Pujaari Tera, Tu Hai Mera Sanam
Ab Kisi Bhi Sanam Ki Zarurat Nahiñ …

 

Ye Haiñ Ibn-e Sakhi, Shaan Inki Badi
Ek Nazar Bas Karam Ki Hua Chaahiye,

Ye Jo Dene Pe Aayeñ To Kya Poochhna
Phir Yahañ Pesh o Kam Ki Zarurat Nahi.

 

Ye Jo Dene Pe Aayeñ To Kya Poochhna
Phir Yahañ Peish o Kam Ki Zarurat Nahi ..

 

Kaaba e Dil Hai Mera, Tera Aastañ
Tu Salaamat Rahe Khwaja e Khwajgañ

Maiñ Pujaari Tera, Tu Hai Mera Sanam
Ab Kisi Bhi Sanam Ki Zarurat Nahiñ.

 

Maiñ Pujaari Tera, Tu Hai Mera Sanam
Ab Kisi Bhi Sanam Ki Zarurat Nahiñ …

 

Ye Haiñ Ibn-e Sakhi, Shaan Inki Badi
Ek Nazar Bas Karam Ki Hua Chaahiye,

Ye Jo Dene Pe Aayeñ To Kya Poochhna
Phir Yahañ Pesh o Kam Ki Zarurat Nahi.

 

Ye Jo Dene Pe Aayeñ To Kya Poochhna
Phir Yahañ Pesh o Kam Ki Zarurat Nahi ..

 

Mere Khwaja Ne Aisa Karam Kar Diya
Ab Kisi Ke Karam Ki Zarurat Nahiñ …

 

Ho Mere Khwaja Ka Karam Hai ..
Mere Khwaja Ka Karam Hai ..

 

Chaar Disha Meiñ Dhoom Machi Hai
Khwaja Piya Ki Aaj Chhati Hai,

Hoor o Malaayak Jhoom Rahe Haiñ
Aur Chaukhat Ko Choom Rahe Haiñ.

 

Mere Khwaja Ka Karam Hai ..
Mere Khwaja Ka Karam Hai ..
Mere Khwaja Ka Karam Hai ..
Mere Khwaja Ka Karam Hai ..

More Manqabat Ghareeb Nawaz

  • Comment में राय दीजिए
  • Share कीजिए

Hindi And English lyrics

Qawwali |

Sabri Brothers | Nusrat Fateh Ali Khan | Rahat Fateh Ali Khan | Iqbal Afzal Sabri | Aziz Miyañ |Nazir Ejaz Faridi | Ghous Muhammad Nasir

Naat-E-Paak|

Khalid Mahmud ‘Khalid’ Ajmal Sultanpuri Naat  | Ala Hazrat Naat | Akhtar Raza Khan| Raaz Ilaahabadi | Muhammad Ilyas Attari | Sayyad Nazmi Miyan

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *