Meri Ummeed Hai Tu Mera Sahara Tu Hai Lyrics

Meri Ummeed Hai Tu Mera Sahara Tu Hai Lyrics

Qawwal : Iftekhar Amrohi

 

हिन्दी लिरिक्स

Sub’ha Ki Baat Hai Na Shaam Ki Hai
Saari Raunaq Tumhare Naam Ki Hai,
Rashk Hota Hai Jispe Shaahoñ Ko
Shaan Wo Aap Ke Ghulam Ki Hai.

 

Jinki Peshani Ko Haasil Hai Ibaadat Ka Shaoor
Raayegaañ Ek Bhi Sajda Nahi Hone Dete.

 

Paiham Shakistagi Se SañwarTi Hai Zindagi
Daaman Na Chaak Ho To Junooñ Motabar Nahiñ.

 

Kabhi Dimaag, Kabhi Dil, Kabhi Nazar Meiñ Raho
Ye sab Tumhare Liye Haiñ Kisi Bhi Ghar Meiñ Raho.

 

Tumhare Chehre Se Raushan Hai Meri Tanhayi
Kahañ Charaagh Jala Hai Kahañ Ujaala Hai.

 

Khuli Chhatoñ Ke Diye Kab Ke Bujh Gaye Hote
Koi To Hai Jo Hawaaoñ Ke Par Qatarta Hai.

 

Koi Rishta Bana Kar Mutmayin Hona Nahi Achcha
Mohabbat Aakhri Dam Tak Taalluk Aazmaati Hai.

 

Apni Nazar Ke Teer Ka Tumko Pata Nahiñ
Jis Dil Ke Aar Paar Hai, Wo Dil Yahi To Hai.

 

Khwaaboñ Ke Daayre Se Nikalna Pada Hameñ
Ai Waqt Tere Saath Badalna Pada Hameñ.

 

Unka Khayal Raat Bhi Tanhaayiyoñ Me Tha
Misle Charaagh Raat Bhi Jalna Pada Hamen.

 

Naye Khwaboñ Se Kaho Laut Jaayeñ
Meri Aañkhoñ Meiñ Koi So Raha Hai.

 

Wo Jo Haiñ Saaf Aayine Ki Tarah
Dil Wohi Phoolte Haiñ Phalte Haiñ.

 

Apni Manzil Wo Paa Nahiñ Sakte
Raaste Roz Jo Badalte Haiñ.

 

Meri Ummeed Hai Tu, Mera Sahara Tu Hai..

Meri Ummeed Hai Tu, Mera Sahara Tu Hai..

Maine Har Haal Meiñ Hai Jisko Pukaara Tu Hai..
Maine Har Haal Meiñ Hai Jisko Pukaara Tu Hai..

 

Tamaam Umr Yahi Sochne Meiñ Beet Gayi
Tere Baghair Meri Zindagi Adhoori Hai.

Maine Har Haal Mein Hai Jisko Pukaara Tu Hai ..
Maine Har Haal Mein Hai Jisko Pukaara Tu Hai ..

 

Kaise Kah Duñ Maiñ Mera Muqaddar Hai Kharab
Wo Muqaddar Hai Mera Jiska Sitara Tu Hai ..

 

Jo Tumne Kah Diya Wo Mujhe Maanna Pada
Jo Tu Ne Likh Diya Wo Meri Taqdeer Ho Gayi.

Wo Muqaddar Hai Mera Jiska Sitara Tu Hai..
Wo Muqaddar Hai Mera Jiska Sitara Tu Hai..

 

Soo-e Falak Uthi Na Soo-e Baam o Dar Gayi
Dekha Tumhi Ko Aur Tumhi Tak Nazar Gayi.

Wo Muqaddar Hai Mera Jiska Sitara Tu Hai..
Wo Muqaddar Hai Mera Jiska Sitara Tu Hai..

 

Doob Jaane Ka Tasawwur Hi Nahi Hai Jisme
Kashti-e Dil Ke Liye, Aisa Kanara Tu Hai ..
Kashti-e Dil Ke Liye, Aisa Kanara Tu Hai ..

 

Tere Andaaz o Karam Teri Mohabbat Ke Nisar
Apna Kah Kah Mujhe Jis Ne Pukara Tu Hai ..
Apna Kah Kah Mujhe Jis Ne Pukara Tu Hai ..

 

Sach To Ye Hai Mere Mahboob Sare Roze Azal
Sach To Ye Hai Mere Mahboob Sare Roze Azal …

 

Nijaat Ki To Koi Justju Nahiñ Mujhko
Tera Karam To Bahaane Talaash Karta Hai.

Sach To Ye Hai Mere Mahboob Sar-e Roz-e Azal
Qais Kah Kah Ke Mujhe Jisne Pukara Tu Hai ..

 

Meri Ummeed Hai Tu, Mera Sahara Tu Hai..

More Manqabat Ghareeb Nawaz

  • Comment में राय दीजिए
  • Share कीजिए

Hindi And English lyrics

Qawwali |

Sabri Brothers | Nusrat Fateh Ali Khan | Rahat Fateh Ali Khan | Iqbal Afzal Sabri | Aziz Miyañ Ghous Muhammad Nasir

Naat-E-Paak|

Khalid Mahmud ‘Khalid’ Ajmal Sultanpuri Naat  | Ala Hazrat Naat | Akhtar Raza Khan| Raaz Ilaahabadi | Muhammad Ilyas Attari | Sayyad Nazmi Miyan

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *