Mere Dil Mein Ishq e Huzoor Hai
Qawwal: Ustad Rahat Fateh Ali Khan
Naghma e Salle Ala Vird e Zubañ Rahta Hai
Har Ghadi Saamne Rahmat Ka Sama Rahta Hai
Jab Madine Ke Dar o Baam Nazar Aate Haiñ
Dil-e Betab Ko Phir Hosh Kahañ Rahta Hai
Mere Dil Mein Ishq e Huzoor Hai
Mere Dil Mein Ishq e Huzoor Hai
Main Jahañ Mein Sabse Ameer Hooñ
Mere Dil Mein Ishq e Huzoor Hai
Tujh Me Hoor o Qusoor Rahte Haiñ
Maine Maana Zurur Rahte Haiñ
Mere Dil Ka Tawaf Kar Jannat
Mere Dil Me Huzur Rahte haiñ
Mere Dil Mein Ishq e Huzoor Hai
Mere Dil Mein Ishq e Shah e Kaunain Ki Daula Hai Badi
Hooñ to Naadan Maiñ Lekin Meri Qeemat Hai Badi
Mere Dil Mein Ishq e Huzoor Hai
Main Jahan Mein Sabse Ameer Hooñ
Mujhe Taajdaari Se Kya Gharaz
Main Dar e Nabi Ka Faqeer Hooñ
Na To Mera Koi Kamal Hai
Na Dakhal Hai Isme Ghuroor Ka
Mujhe Rakhte Hain Wo Nigaah Meiñ
Ye Karam Hai Mere Huzoor Ka
Mujhe Tajdari Se Kya Gharaz
Maiñ Dar e Nabi Ka Faqeer Hooñ
Mujh Par Mere Aaqa Ka Ehsaan Bada Hai
Sarkar Ke Mangtoñ Mein Mera Naam Likha Hai
Maiñ Dar e Nabi Ka Faqeer Hooñ
Mujhe Haq Ne Bakshi Hai Bartari
Meri Thokaroñ Mein Sikandari
Yeh Jahaan Nigah Mein Kyun Jache
Main Gada Hoon Apne Huzoor Ka
Maiñ Dar e Nabi Ka Faqeer Hooñ
Gada e Shaah e Arab Hooñ, Faqeer e Raah Nahiñ
Faqeer Wo Hoon Ke Nazroñ Meiñ Baadshah Nahiñ
Maiñ Dar e Nabi Ka Faqeer Hooñ
Phaile Hue Haathoñ Ko Hakarat Se Na Dekh
Har Ek Ke Aage Ye Gadagar Nahiñ Hote
Maiñ Dar e Nabi Ka Faqeer Hooñ
Mujhe Tajdari Se Kya Gharaz
Maiñ Dar e Nabi Ka Faqeer Hooñ
Mujhe Mehr o Maah Se Ho Kaam Kya
Tere Naksh e Paa Pe Main Hoon Fida
Mujhe Kya Rehayi Se Waasta
Teri Zulf Ka Maiñ Aseer Hooñ
Zulfeñ To Sabhi Ki Haiñ Magar, Wallail Nahiñ Haiñ
Is Liye…
Teri Zulf Ka Maiñ Aseer Hoon
Mujhe Kya Rehayi Se Waasta
Teri Zulf Ka Maiñ Aseer Hoon
Ye A’taa Hai Ishqe Huzur Ki
BeTalab Mujhko Diye Jaata Hai, Dene Wala
Haath UthTe Nahi Jholi Meri Bhar Jaati Hai
Ye A’taa Hai Ishq e Huzur Ki
Bin Maañge Diya Aur Itna Diya
Daaman Meiñ Hamare Samaya Hai
Ye A’taa Hai Ishq e Huzur Ki
Mujhe BeHunar Dekh Kar Mustafa Ne
Kamaal Apni Madha Sarayi Ka Bakhsha
Ye A’taa Hai Ishq e Huzur ki
Mujhe Jisne Aisi Hayat Di
Jo Na Bujh Sake Wo Charag Hooñ
Jo Na Mit Sake Wo Lakeer Hooñ
Main Ghulam e Panjtan e Paak Hoon
Maiñ Ghulam e Panjtan.. Maiñ Ghulam e Panjtan
Mujh Pe Kitna NIYAZI Karam Ho Gaya
Duniya Kahne Lagi Pan jtan Ka Gada
Is Gharane Ka Jab se Maiñ Naukar hua
Sabse Achchi Meri Naukari Ho Gayi
Maiñ Ghulam e Panjtan.. Maiñ Ghulam e Panjtan
Parwah Kisi Ki Nahiñ, Har Ik Se Ghani Hooñ
BaaWasta e Damaane Rasool e Madani Hooñ
Maiñ Ghulam e Panjtan.. Maiñ Ghulam e Panjtan
Maddah e Muhammad Hooñ
Aqeeqe Yamani Hooni
Maiñ Shaifta-e-Aal-e-Rasool-e-Madani Hooñ
Aye Noor! Maiñ PurNoor us Noor e Ali Se
Panjab Ka Panjabi Hooñ,
Qismat Ka Dhani Hooñ
Maiñ Ghulam e Panjtan.. Maiñ Ghulam e Panjtan
Main Ghulam E Panjtan e Paak Hoon
Main Dar e Butool Ki Khaak Hoon
Main Hassan Hussain Ka Hoon Gada
Main Sag e Janaab e Ameer Hoon
Jise Kahiye Jood o Karam Ki Jaa
Wo Hai Dar, Jahañ Meiñ Huzur Ka
Usi Dar Se Mujhko Khuda Mila
Usi Aastaañ Ka Faqeer Hooñ
Maiñ Hooñ Saajid e Dare Mustufa
Ye Mere Huzur Ki Hai A’taa
Kahañ Unka Dar Kahañ Mera Sar!
Maiñ To Ik Ghulaam e Hakeer Hooñ
Mere Dil Mein Ishq e Huzoor Hai
Main Jahañ Mein Sabse Ameer Hooñ
Hindi And english lyrics
| Naat-E-Paak | Ajmal Sultanpuri Naat | Ala Hazrat Naat |
| Qawwali | Sabri Brothers || Rahat Fateh Ali Khan |
| Sufi Song | Khailash Kher |