Khwaja Piya Hindal Wali Manqabat Lyrics

Khwaja Piya Hindal Wali Lyrics Manqabat Khwaja Ghareeb Nawaz 

 

Qawwal :  Ghaus Muhammad Nasir

 

Khwaja Piya Hindal Wali ..
Khwaja Piya Hindal Wali ..

 

Har Ek Ada Noor Ke Saañche Meiñ Dhali Hai
Khwaja Teri Tasveer Hai Ya Shakl-e Ali Hai,

Kyuñ Kar Na Mo’attar Ho Jahañ Teri Mahak Se
Tu Gulshan-e Sarkar-e Madina Ki Kali Hai,

Ai Taajwaro Aao Muqaddar Mera Dekho
Kaañsa Hai Mere Haath Meiñ Khwaja Ki Gali Hai.

 

Khwaja Piya Hindal Wali ..
Khwaja Piya Hindal Wali ..

 

Machi Hai Dhoom Tere Naam Ki Khwaja Zamane Meiñ

Har Ek Duniya Ki Shai Maujood Hai Tere Khazane Meiñ

Sakhawat Ban Ke Lauñdi Rahti Hai Tere Gharaane Meiñ

Kisi Ko Der Hi Lagti Nahi Maqsad Ke Paane Meiñ

Lagaayi Der Kyuñ Khwaja Meri Bigdi Banane Meiñ

 

Tumko Khaaliq Ki Qasam, Shaan-e Abuzar Ki Qasam

Chaar Yaaraane Nabi Saaqi-e Kausar Ki Qasam

Qasim, Abbas Dilaabar, Ali Asghar Ki Qasam

De Do Khwaja Tumheñ Aulaad-e Payambar Ki Qasam.

 

Khwaja Mera Khwaja Hai, Deta Hai Dilaata Hai
Jo Maañgne Aata Hai Khaali Nahiñ Jaata Hai.

 

Khwaja Piya Hindal Wali ..
Khwaja Piya Hindal Wali ..

 

Jab Kisi Ne Tumheñ Ek Baar Pukaar Khwaja
Tere Sadqe ! Diya Sau Baar Sahara Khwaja

 

Khwaja Piya Hindal Wali ..
Khwaja Piya Hindal Wali ..

 

Machi Hai Dhoom Tere Naam Ki Khwaja Zamane Meiñ

Har Ek Duniya Ki Shai Maujood Hai Tere Khazane Meiñ

Sakhawat Ban Ke Lauñdi Rahti Hai Tere Gharaane Meiñ

Kisi Ko Der Hi Lagti Nahi Maqsad Ke Paane Meiñ

Lagaayi Der Kyuñ Khwaja Meri Bigdi Banane Meiñ.

 

Khwaja Piya Hindal Wali ..
Khwaja Piya Hindal Wali ..

 

Apne Qadmoñ Se Juda Kar Ke Tamaasha Na Bana
Kahegi Khalq Ke Apna Bana Ke Chhod Diya.

 

Khwaja Piya Hindal Wali ..
Khwaja Piya Hindal Wali ..

 

Ai Haaji Shreef Ke Noor-e Nazar
Khwaja Usmaan Ke Lakhte Jigar
Sajjada Nasheen-e Nabi o Ali
Sultan-ul-Hind Ghareeb Nawaz

 

Khwaja Piya Hindal Wali ..
Khwaja Piya Hindal Wali ..

 

Tere Darbaar Meiñ Har Qaum Ko Aate Dekha
Bandagi Se Sare Tasleem Jhukaate Dekha
Durr-e Maqsood Har Ek Shakhs Ko Paate Dekha
Haath Khaali Kabhi Is Dar Se Na Jaate Dekha.

 

Tum To Har Ek Ki Faryaad Suna Karte Ho
Koi Takhsees Nahiñ, Sab Ko Diya Karte Ho
Koi Apna Ho Ya BeGaana A’taa Karte Ho
Sab Ka Hi Daamaan-e Ummeed Bhara Karte Ho.

 

Sadqa-e PanjTan-e Paak Meri Bhi Sun Lo
Bhar Do Bhar Do Mera Kashkol-e Gadaayi Bhar Do.

 

Khwaja Piya Hindal Wali ..
Khwaja Piya Hindal Wali ..

 

Muinuddin Wali-e Shah-e Iraq o Hijaaz
Teri Janab Meiñ Mahmood Se Hazaroñ Ayaz
Har Ek Samt Se Bas Aa Rahi Hai Ye Aawaaz
Manam Ghareeb dayaaro tui Ghareeb Nawaz.

 

Hamari Kuchh Bhi Na Thi Haqeeqat
Tumhare Dar Se Mili Hai Izzat
Kharab Hone Na Deejo Khwaja
Tumhare Dar Ke Bane Hue Haiñ

 

Khwaja Piya Hindal Wali ..
Khwaja Piya Hindal Wali ..

 

Ham Chhod To Sakte Hi Nahi Aapke Dar Ko
Achchhe Raheñ Nazdeeq Bure Jaayeñ Kidhar Ko

 

Khwaja Piya Hindal Wali ..
Khwaja Piya Hindal Wali ..

 

Khuda Ne Hind Ka Sultan Be-Misaal Kiya
Ghareeb Aaya To Saayil Ko Maala-Maal Kiya.

Jo Bigdi Ban Nahi Sakti Use Khwaja Banate Haiñ
Khuda Ko Dena Padta Hai, Jise Khwaja Dilaate Haiñ

 

Khwaja Piya Hindal Wali ..
Khwaja Piya Hindal Wali ..

 

Khwaja Mera Khwaja Hai, Deta Hai Dilaata Hai
Jo Maañgne Aata Hai Khaali Nahiñ Jaata Hai

 

Khwaja Piya Hindal Wali ..
Khwaja Piya Hindal Wali ..

Khwaja Piya Hindal Wali ..
Khwaja Piya Hindal Wali ..

Khwaja Piya Hindal Wali ..
Khwaja Piya Hindal Wali ..

 

More Manqabat Ghareeb Nawaz

 

  • Comment में राय दीजिए
  • Share कीजिए

Hindi And English lyrics

Our Pages


Shayar

Naat Khwan:

         Qawwali         

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *