Kabhi To Raaz Khulega Noha Lyrics | Ya Ali Ya Fatima | Mesum Abbas

Kabhi To Raaz Khulega Noha Lyrics | Ya Ali Ya Fatima

 

 

Ya Zehra, Ya Zehra
Ya Zehra, Ya Zehra

 

Khamosh Raheñ Kab Tak
Ye Zulm Saheñ Kab Tak,
Ham Sach Na Kaheñ Kab Tak
Bas Ashk Piye Kab Tak,
Kisne Ye Zulm Dhaye
Ye Baat Kyun Chhupayeñ,
Ham Kyuñ Na Mimbaroñ Se
Ye Daastañ Sunayeñ.

Haye….
Kabhi To Raaz Khulega
Zamana Sara Kahga
Haye! Mazloom Hai Zehra

Ya Fatima, Ya Fatima
Ya Fatima, Ya Fatima

 

Logoñ Ne Tujhe Baad Payamber Ke Sataya,
Afsos Tere Ghar Ko Hi Zindan Banaya,
Jageer Teri Chheen Li Darbar Bulaya,
Pahlu Bhi Tera Zakhmi Hua – Ya Zehra
Jalta Hua Darwaza Gira – Ya Zehra.

Haye….
Kabhi To Raaz Khulega
Zamana Sara Kahga
Haye! Mazloom Hai Zehra

Ya Fatima, Ya Fatima
Ya Fatima, Ya Fatima

 

Rota Huñ Ke Kis Jurm Ki Ummat Ne Saza Di,
Attharah (18) Baras Me Hui Baaloñ Me Safedi
Taa-Marg Na Pahlu Se Hata Haath Kabhi Bhi
Kyuñ Zakhm Zamane Ne Diye – Ya Zehra
Tazim Teri Bhool Gaye – Ya Zehra

Haye….
Kabhi To Raaz Khulega
Zamana Sara Kahega
Haye! Mazloom Hai Zehra

Ya Fatima, Ya Fatima
Ya Fatima, Ya Fatima

 

Ummat Ye Bataye Ke Sitamgaar Hui Kyuñ,
Makhdooma-e-Kaunain Dil-Afgaar Hui Kyuñ,
Beti Wo Mohammad Ki Azdar Hui Kyuñ,
Har Dil Ne Yehi Nauha Padha – Ya Zehra
Ye Kahte Huye Pursa Diya – Ya Zehra.

Haye….
Kabhi To Raaz Khulega
Zamana Sara Kahega
Haye! Mazloom Hai Zehra

Ya Ali Ali, Ya Ali Ali
Ya Ali, Ya Fatima
Ya Ali, Ya Fatima

 

Nazdeek Tha Shahzadi Ka Jab Waqt-e-Shahadat,
Kyuñ Karni Padi Fatima Zehra Ko Wasiyat,
Jab Raat Ho Aadhi To Uthana Meri Mayiyat,
Ye Sunke Ali Rone Lage – Ya Zehra
Dil Thaam Ke Fir Kahne Lage – Ya Zehra

Haye….
Kabhi To Raaz Khulega
Zamana Sara Kahega
Haye! Mazloom Hai Zehra

Ya Ali, Ya Fatima
Ya Ali, Ya Fatima

 

Thi Kon Si Majboori Batayi Jo Ali Ne,
Chalees (40) Jagah Qabr Banayi Jo Ali Ne,
Dafnayi Nahiñ Laash Chhupayi Jo Ali Ne,
Kha’if The Musalmañ Se Ali – Ya Zehra
Dekhe Na Teri Qabr Koi – Ya Zehra.

Haye….
Kabhi To Raaz Khulega
Zamana Sara Kahega
Haye! Mazloom Hai Zehra

Ya Ali, Ya Fatima
Ya Ali, Ya Fatima

 

Ik Zakhm To Ye Bhi Tha Kaleje Me Ali Ke,
Jo Log Muhammad Ke Janaze Me Nahiñ The,
Kya Khaak Wo Zehra Ke Janaze Ko Uthate,
Un Logoñ Se Bezar Hai Dil – Ya Zehra
Badle Ka Talabgar Hai Dil – Ya Zehra.

Haye….
Kabhi To Raaz Khulega
Zamana Sara Kahega
Haye! Mazloom Hai Zehra

Ya Ali, Ya Fatima
Ya Ali, Ya Fatima

 

Dil Soch Ke Rota Hai Nabi-Zaadi Wo Mañzar,
Jab Dekha Dam-e-Ghusl Tera Zakhm Tadapkar,
Yuñ Cheekh Ke Roye The Ali Sabr Ke Paikar,
Rote Huye Kahte The Ali -Ya Zehra
Mazloom Nahiñ Tujhsa Koi – Ya Zehra.

Haye….
Kabhi To Raaz Khulega
Zamana Sara Kahega
Haye! Mazloom Hai Zehra

Lanat Be-Shumar
Lanat Be-Shumar
Lanat Be-Shumar

 

Haq Jisne Bhi Khaya Hai Tera Uspe Bhi Lanat,
Dil Jisne Dukhaya Hai Tera Uspe Bhi Lanat,
Khooñ Jisne Bahaya Hai Tera Uspe Bhi Lanat,
Mujrim Tere Qatil Haiñ Sada – Ya Zehra
Bhooleñge Nahiñ Ham Ye Jafa – Ya Zehra.

Haye….
Kabhi To Raaz Khulega
Zamana Sara Kahega
Haye! Mazloom Hai Zehra

Ya Fatima Ya Fatima
Ya Fatima Ya Fatima

 

Kya Ye Hai Mohabbat Ka Sharafat Ka Qareena,
Haider Se Adaabat Thi Ke Zehra Se Tha Keena,
Purse Ke Liye Aaye Nahiñ Ahle Madina,
Aulad-e-Nabi Roti Rahi – Ya Zehra
Zainab Ye Buka Karti Rahi – Ya Zehra.

Haye….
Kabhi To Raaz Khulega
Zamana Sara Kahega
Haye! Mazloom Hai Zehra

Ya Fatima, Ya Fatima
Ya Fatima, Ya Fatima

 

Tareekh Ki Sachhayi Ko Duniya Ne Chhupaya,
Siddiqa Ki Baatoñ Ko Kisi Ne Nahiñ Mana,
Darbar Me Sach Kisne Kaha Kon Tha Jhoota,
Ghasib Ko Khuda Dega Saza  – Ya Zehra
Kahte Haiñ Yehi Ahle Aza – Ya Zehra

Haye….
Kabhi To Raaz Khulega
Zamana Sara Kahega
Haye! Mazloom Hai Zehra

Ya Fatima, Ya Fatima
Ya Fatima, Ya Fatima

 

Din Raat Dua Haq Se Kareñ Mesum-o-Mazhar,
Sach Baat Na Kahne Se Dareñ Mesum-o-Mazhar,
Nauha Teri Turbat Pe Padheñ Mesum-o-Mazhar,
Zalim Hai Jahañ Rab To Nahiñ – Ya Zehra
Hai Rab Ki Adalat Pe yaqiñ – Ya Zehra

Haye….
Kabhi To Raaz Khulega
Zamana Sara Kahega
Haye! Mazloom Hai Zehra

Ya Fatima, Ya Fatima
Ya Fatima, Ya Fatima

 

Noha Khwan: Mesum Abbas
Lyrics: Mazhar Abidi

 

Manqabat Fatima Zahra Lyrics


Our Pages


Manqabat Shahidan e Karbala Nohey Lyrics 

Manqabat Mola Ali As Lyrics 

Manqabat Imam Hussain As Lyrics

Manqabat Bibi Sakina Sa Lyrics 

Manqabat Bibi Fatima Sa Lyrics 

Manqabat Mola Abbas As Lyrics 

 

Noha Khwan

Farhan Ali Waris

Mesum Abbas

Mir Hasan Mir