Ishq Mein Tere Koh e Gham Sar Pe Liya Jo Ho So Ho

Ishq Mein Tere Koh e Gham Sar Pe Liya, Jo Ho So Ho Lyrics | Ghazal Qawwali Lyrics

Kalaam : Hazrat Shah Niyaz Beniyaz r.a


हिंदी में पढ़िए | اردو میں پڑھیے


Ishq Mein Tere Koh e Gham

 

Ishq Mein Tere Koh e Gham Sar Pe Liya, Jo Ho So Ho
Aish o Nishat-e-Zindagi Chhod Diya, Jo Ho So Ho

 

Poochho Na Mujh Kharaab Se Yaaro Salah-e-Kaar Tum
Apne To Ab Rahe Nahin Hosh Baja, Jo Ho So Ho

 

Mujh Se Mareez Ko Tabeeb, Tu Haath Apna Mat Laga
Isko Khuda Pe Chhod Do Bahr-e-Khuda, Jo Ho So Ho

 

Aql Ke Madrase Se Uth, Ishq Ke Maikade Mein Aa
Jaam-e-Fana o Be Khudi Ab To Piya Jo Ho So Ho

 

Laag Ki Aag Lagte Hi, Pamba Namat Woh Jal Gaya
Rakht-e-Wajood-e-Jaan o Tan Kuchh Na Bacha, Jo Ho So Ho

 

Deeda o Dil Ba-ham Hain Ek Soojh Mein Aur Boojh Mein
Aañkhoñ Ke Saamne Ayaañ, Dil Meiñ Basa Jo Ho So Ho

 

Hijr Ki Jo Museebateñ Arz Keeñ Uske Saamne
Naaz o Ada Se Muskura Kahne Laga, Jo Ho So Ho

 

Hasti Ki Is Sarai Meiñ Raat Ki Raat Jo Basey
Sub’he Adam Hui Numood, Paaoñ Utha Jo Ho So Ho

 

Duniya Ke Neik o Bad Se Kaam Humko ‘Neyaz’ Kuchh Nahi
Aap Se Jo Guzar Gaya Phir Use Kya, Jo Ho So Ho

Book: Deewan-e-Neyaz

         Qawwali         

“Ishq me tere kohe gham” is a beautiful, heart touching, amorous ghazal form of poetry. Written by Hazrat Khwaja Qutub Shah Niyaz Be Niyaz Bareilvi Rahmatullah Alihi. It is sung by different qawwals/ singers including the Legendary Abida Parveen

Tags : Ishq mein tere kohe gham lyric, kohe gum sir pay liya, isk me tere gajal, urdu, hindi, english written writing Roman Urdu, kalam e shah Niyaz Beniyaz Bareilvi in Roman urdu

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *