Hazrat e Abbas Noha Lyrics | Nadeem Sarwar 2023 – 1445

Hazrat e Abbas Noha Lyrics 

 

Jaan Alamdar – Alamdar Alamdar
Jaan Alamdar – Alamdar Alamdar

 

Sher Aaram Kare Jab To Asad Hota Hai
Jaan Alamdar – Alamdar Alamdar

 

Sher Aaram Kare Jab To Asad Hota Hai
Soche Hamle Ka To Zarghaam Kaha Jata Hai
Hota Zaigham Hai Banata Hai Wo Jab Mansooba
Jab Nazar Gaare Gazanfar jo Daboche Hamza
Rok De Saans Hadaf Ki To Hai Abbas Magar
Kar De Tukde Shikaar Apna To Haider Haider

 

Abbas e Alamdar ×2
Abbas e Alamdar ×2
Abbas e Alamdar ×2
Abbas e Alamdar ×2

 

Hazrat e Abbas Alamdar …Alamdar
Lashkar e Shabbir Ka Saalaar …Alamdar

 

Abbas Hai Ba Wafa
Abbas Hai La Fatah
Jaise Ali Haider e Karrar Alamdar

Abbas e Alamdar ×2
Abbas e Alamdar ×2

 

Aisa Na Saalaar Dubara Hua
Aisa Na Sardar Dubara Hua
Kaise Jarifah Keh Lashkar Me The
Aisa Na Jarrar Dubara Hua ..Alamdar

 

Maidañ Me Jama Raha
Aadah Me Data Raha
(Maidañ Me Jama Raha)
(Aadah Me Data Raha)
Dekha Na Aisa Koi Ji-Daar ..Alamdar

 

Abbas e Alamdar ×2
Abbas e Alamdar ×2

 

Hazrat e Abbas Alamdar ..Alamdar
Lashkar e Shabbir Ka Saalaar ..Alamdar

 

Alamdar Hai Ba Wafa ..Alamdar
Alamdar e Karbala ..Alamdar

 

Hazrat e Abbas Alaihissalam
Jitna Bada Naam Hai Waisa Hi Kaam
Jitna Buland Aapka Maula Maqaam
Aapke Mashkoor Hain Sare Imam Alamdar

Dil Dil Me Basa Hua
Ghar Ghar Me Saja Hua
(Dil Dil Me Basa Hua)
(Ghar Ghar Me Saja Hua)
Paak Alam Aur Alamdar ..Alamdar

 

Abbas e Alamdar ×2
Abbas e Alamdar ×2

 

Hazrat e Abbas Alamdar ..Alamdar
Lashkar e Shabbir Ka Saalaar ..Alamdar

 

 

Abbas Hai Ba Wafa
Abbas Hai La Fatah
Jaise Ali Haider e Karrar ..Alamdar

 

Abbas e Alamdar
Abbas e Alamdar

 

Aisa Jari Sher Hai Sher e Ali
Sher Bhi Is Sher Se Darte Hain ji
Isko Zarurat Nahi Talwaar Ki
Ghaiz Ki Kaafi Hai Nazar Ek Hi ..Alamdar

 

Lakhon Se Ruka Nahi
Faujon Se Daba Nahi
(Lakhon Se Ruka Nahi)
(Faujon Se Daba Nahi)
Naam Hai Abbas, Khabardar! ..Alamdar

 

Abbas e Alamdar ×2
Abbas e Alamdar ×2

 

Hazrat e Abbas Alamdar ..Alamdar
Lashkar e Shabbir Ka Saalaar ..Alamdar

 

Alamdar Hai Ba Wafa – Alamdar
Alamadar e Karbala – Alamdar

 

Jung Ki Khatir To Na Ghazi Gaya
Uska To Dil Mashk e Sakina Me Tha
Pyaas Pe Shadaat Ki Quraañ Hua
Warna Ye Naulakh Ka Lashkar Tha Kya ..Alamdar

Paani Jo Na La Saka
Dariya Pe hi Jo So Gaya
(Paani Jo Na La Saka)
(Dariya Pe hi Jo So Gaya)
Pyaasi Sakina Ka Wo Ghamkhwar ..Alamdar

 

Abbas e Alamdar ×2
Abbas e Alamdar ×2

 

Hazrat e Abbas Alamdar ..Alamdar
Lashkar e Shabbir Ka Saalaar ..Alamdar

 

Abbas Hai Ba Wafa
Abbas Hai La Fatah
Jaise Ali Haider e Karrar ..Alamdar

 

Abbas e Alamdar
Abbas e Alamdar

 

Parcham e Abbas Pe Aaya Karo
Saye Me Iske Sada Baitha Karo
Chahte Ho Gar Dua Manzoor Ho
Nauha Sakina Ka Sunaya Karo ..Alamdar

Parcham Se Jude Raho
Ghazi Se Wafa Karo
(Parcham Se Jude Raho)
(Ghazi Se Wafa Karo)
Milke Kaho Sare Azadar ..Alamdar

 

Abbas e Alamdar ×2
Abbas e Alamdar ×2

 

Hazrat e Abbas Alamdar ..Alamdar
Lashkar e Shabbir Ka Saalaar ..Alamdar

 

Alamdar Hai Ba Wafa ..Alamdar
Alamdar e Karbala ..Alamdar

 

Jab Hua Shabbir Se Ghazi Juda
Khaima e Shadaat Me Kohraam Tha
Zinab o Kulsoom Ki Goonji Sada
Haye Re Abbas Mera Na Raha .. Alamdar

Ham Sab Pe Fida Hua
Ghazi Ab Nahi Raha
(Ham Sab Pe Fida Hua)
(Ghazi Ab Nahi Raha)
Aal e Muhammad Ka Madadgar ..Alamdar

 

Abbas e Alamdar ×2
Abbas e Alamdar ×2

 

Hazrat e Abbas Alamdar ..Alamdar
Lashkar e Shabbir Ka Saalaar ..Alamdar

 

Hazrat e Abbas noha lyrics
Hazrat e Abbas noha lyrics nadeem sarwar

 

Jaan Alamdar Alamdar Alamdar
Jaan Alamdar Alamdar Alamdar
Jaan Alamdar Alamdar Alamdar
Alamdar…

 

Our Pages


Manqabat Shahidan e Karbala Nohey Lyrics 

Manqabat Mola Ali As Lyrics 

Manqabat Imam Hussain As Lyrics

Manqabat Bibi Sakina Sa Lyrics 

Manqabat Bibi Fatima Sa Lyrics 

Manqabat Mola Abbas As Lyrics 

 

Noha Khwan

Farhan Ali Waris

Mesum Abbas

Mir Hasan Mir