Hain Saf Aara Sab Hooro Malak Naat Lyrics

Hain Saf Aara Sab Hooro Malak Naat Lyrics

हैं सफ़ आरा सब हूरों मलक

Shayar : Muhammad ilyas Attar Qadri
Naat Khwan: Ashfaq Attari, Mahmod Attari, Asad Raza Attari.

 

हैं सफ़ आरा सब हूरों मलक और ग़िलमां ख़ुल्द सजाते हैं
इक धूम है अ़र्शे आज़म पर, मेहमान ख़ुदा के आते हैं
Hain-Suf Aara Hoor-o-Malak Aur Ghilma(n) khuld Sajate Hain
Ik Dhoom Hai Arshe Azam Par, Mehman Khuda Ke Aate Hain

 

है आज फ़लक रौशन रौशन, हैं तारे भी जगमग जगमग
महबूब ख़ुदा के आते हैं, महबूब ख़ुदा के आते हैं
Hai Aaj Falak Roushan Roushan, Hain Bhi Jagmag Jagmag
Mahboob Khuda Ke Aate Hain, Mahboob Khuda Ke Aate Hain

 

जिब्रील ए अमीं बुराक़ लिए जन्नत से ज़मीं पर आ पहुंचे
बारात फ़िरिश्तो की आई, मेराज को दुल्हा जाते हैं
Jibreel-e-Amin Buraq Liye Jannat Se Zamin Par Aa Pahunche

Baarat Farishton Ki Aai, Meraj Ko Dulha Jaate Hain

 

दिवानो, तसव्वुर में देखो, असरा के दुल्हा का जल्वा
झुरमुट में मलाइक लेकर उन्हें मेराज का दुल्हा बनाते हैं
Deewano, Tasavvur Me Dekho, Asra Ke Dulha Ka Jalwa
Jhurmut Me Mala’ik Lekar Unhe Meraj Ka Dulha Banate Hain

 

अक़्सा में सवारी जब पहुंची, जिब्रील ने बढ़ के कही तकबीर
नबियों की इमामत अब बढ़ कर सुल्तान-ए-जहां फ़रमाते हैं
Aqsa Me Sawari Jab Pahunchi, jibreel Ne Badh Ke Kahi Takbeer
Nabiyon Ki Imamat Ab Badhkar Sultan-e-jahan Farmate Hain

 

वोह कैसा हसीं मंज़र होगा, जब दुल्हा बना सरवर होगा
उश्शाक़ तसव्वुर कर कर के बस रोते ही रह जाते हैं
Woh Kaisa Hasin Manzar Hoga, Jab Dulha Bana Sawar Hoga
Ushshaq Tasvvur Kar Kar Ke Bus Rote He Rah Jaate Hain

 

ये शह ने पाई सआदत है, ख़ालिक़ ने अता की ज़ियारत है
जब एक तजल्ली पड़ती है, मूसा तो ग़श खा जाते हैं
Ye Shah Ne Paai Sa’aadat Hai, Khaliq Ne Ata Ki Ziyarat Hai
Jab Ek Tajalli Padti Hai, Moosa To Ghash Kha Jaate Hain

 

मेराज की शब तो याद रखा, फ़िर हश्र में कैसे भूलेंगे
अत्तार! इसी उम्मीद पे हम दिन अपने गुज़ारे जाते हैं
Meraj Ki Shab To Yaad Rakha, Phir Hashr Me Kaise Bhoolenge
Attar ! Isi Ummid Pe Ham Din Apne Guzare Jaate Hain

 

Hain Saf Aara Sab Hooro Malak Naat Lyrics

 


Hindi And English lyrics

Qawwali |

Sabri Brothers | Nusrat Fateh Ali Khan | Rahat Fateh Ali Khan | Iqbal Afzal Sabri | Aziz Miyañ |Nazir Ejaz Faridi |  Ghous Muhammad Nasir | Maulvi Ahmad Hasan |

Naat-E-Paak|

Khalid Mahmud ‘Khalid’ Ajmal Sultanpuri Naat  | Ala Hazrat Naat | Akhtar Raza Khan| Raaz Ilaahabadi | Muhammad Ilyas Attari | Sayyad Nazmi Miyan

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *