Dai Halima God Mein Teri Chand Utarne Wala Hai Qawwali Lyrics
Qawwal: Sabri Brothers
Compoded By: Maqbool Sabri
हिंदी में लिरिक्स के लिए यहां टच कीजिए
Aaa…
Mohammad ﷺ se pehle tha Aalam nirala
Lagaaya tha shaitaañ ne Zulmat ka taala
Kahiñ Teer o Nashtar, kahiñ Tegh o Bhala
Dushambe ka Din tha Sahar ka ujaala
To Makke meñ paida hua Kamli wala
Hañsat Mohammad ﷺ aabat hai
Mora hañsteyi gharwa bas jayi
Dagar-Dagar kutwa chamke
Añgnayya meñ Noor barasjayi
Hoor-o-Malayak jhum uthe
Haq ne jaari Farmaan kiya
Registan e Arab ko jisne
Rashke Baharistaan kiya
Bole Farishte tune Maula
Kaisa ye Samaan kiya
Ke
Poora Toone aaj hamari
Roohoñ ka Saamaan kiya
Jashn Manayo Kudrat ne
Har mushkil ko aasaan kiya
Arsh ne ye Khush Khabri bheji
Zameeñ ne ye Elaan kiya
Ke Abdulla ke Ghar se Jahaañ me
Noor bikharne waala hai …
Abdulla ke ghar se jahaañ me
Noor bikharne waala hai
Dai Halima god mein teri
chaand utarne waala hai …
Taqdeer Halima ki jaagi
Rahmat ke baadal chhaate haiñ
Jag! Jagmag-Jagmag howat hai
tashreef Mohammad laate haiñ …
Abdulla ke ghar se jahaañ me
Noor bikharne waala hai
Dai Halima goad mein teri
chaand utarne waala hai …
( Samaat Farmayeñ: Jab ye khabar suni
Ke duniyañ meñ, Aaqa e naam daar Huzur e Akram Pur-noor Sallallaho Alaihi wasallam, duniyañ meñ tashreef laa rahe hain, Malaayak, Jinn o Insaañ, Zameen o Aasmaan, Chaañd-Sitaare, kahkashaañ. Ye tamaam k tamaam, kis tarah khushiyañ mana rahe the, Samaat farmaayeñ)
Khush Hue Jinn o basher
Sun ke ye nek khabar
bahre taazim o adab
Jhuk gaye Shams-o-Kamar
Hoor o Ghilamaan sabhi
Huye qurban sabhi
Arsh se Farsh talak
Roushni aur Chamak
Baam armaañ ke saje
Rooh ke saaz baje
Jhoom uthi Arshe bareeñ
Gun-guna uthi Zameeñ
Lah-laha uthe Chaman
Hañs pade Koh o Daman
Naach uthi baade Saba
Ho gayi mast Faza
Ban gayi Reg e Arab
Chashma e Jalwa e Rab
Aur Khajooroñ ki qataar
Khema e fasl e Bahaar
Reit Gauhar ki tarha
Seem aur Zar ki tarah
Jaan mausam me padi
Kya suhaani hai ghadi
Chaand ne hañs ke kaha
Bahre tazeem jhuka
Sun le maula yeh Dua
Kar de rah uski panah
Uske Kadamon mein bichha
Jispe tu khud hai fida …
Kehkashañ bol uthi
Maula Arman hai yahi
Uski mein Raah banooñ
Uski Thokar mein rahooñ
Mere upar wo chale
Aayeñ Din mere bhale
Zindagi phoole phale
Uski Na’lain tale ….
(Raat! Raat kya kahti hai!)
Raat kehti hai Khuda
Uski Zulfoñ meñ basa
Chaañdni ko hai lagan
Choom looñ uska Badan
Uski Chaadar maiñ banooñ
Uska Bistaar maiñ banooñ
(Kyuñ ke)
Phool ko uski Talab
Shakh ko uska Adab
Bahre Kulzum ko khushi
Bazme Anjum ko khushi
Mauj e Darya ko khushi
Regh e Sehra ko khushi
Aab o Dil, Sheesha o Sang
Nik’hat o Khushbu o Rang
Maahi o Mor o Parind
Murgh o Taaoos o Charind
Ye,
Sab Talabgaar hue
Uske Beemaar hue…
Uski Ummeed liye
Hasrat e Deed liye
Sab haiñ be-taab yahañ
Sab haiñ be-khwaab yahañ
Sab ki Aankhoñ meñ wohi
Sab ki Roohoñ meñ wohi
Wohi Mehboob e Khuda
Jis pe har Shai hai fida
Wo hi Sardaar e Jahaañ
Sarwar e Kaun o Makaañ
Aamna Goud teri
Haq ne Jalwoñ se bhari
Ae Halima tu machal
Naaz kar, jhum ke chal
Wo nabi pyaara nabi
Muntazir jiske sabhi
Aane waala hai wohi …
To,
Jhoom ri Duniyañ Tera Muqaddar
Aaj Sañwarne waala hai
Dai Halima Goud meñ Teri
Chand utarne wala ha hai..
Aayega wo Mehboob-e-Khuda
Wo Humdam Daawar aayega
Duniya jis par Naaz karegi
aisa Payambar aayega …
Ae pyaasi Makhlook na ghabra
Tujh tak Saaghar aayega
Leke Mai e Kausar ka pyaala
Saaqi e Kausar aayega
Zulmat par Yalghaar ki khatir
Maah e Munawwar aayega
Kaañdhe par Kamali dale
Kaunain ka Sarwar aayega….
Zulmat par Yalghaar ki khatir
Maah e Munawwar aayega
Kaañdhe par Kamali dale
Allah ka Dilwar aayega….
Aamna Teri Qismat par
Har Maañ ka Muqaddar Rashk kare
Kyuñ ke..
Tere ghar ke Joole meñ
Kaunain ka Sarwar aayega…
Baar e Gunah se bojhal insaañ
Hashr ke Din ki fikr na kar
Teri Shafa’at hogi Yaqeenan
Shafaye Mahshar aayega…
Barah Rabi ul Awwal ka Din
Sub’ho ke thande saaye
Aur,
Shor hua Aafaq meiñ Har su
Lo wo Mohammad ﷺ aaye ….
Aayega wo Shaha jo sabki
Jholi bharne waala hai
Dayi Haleema God me
Teri Chand utarne wala hai
- Comment में राय दीजिए
- Share कीजिए
You might also like :-
Ya Mohammad Noor e Mjassam Ya Habibi
Ya sahib al Jamal wa Ya Sayyad ul bashar
Mera Koi Nahi Hai Tere Siwa Maiñ Banke Sawali Aaya Huñ. Bheek Mile Aaqa
Man bole man Shaah-e Zaman Kali Kali Kamli Hai Noor Ka Badan
Nazan Hai Jis Pe Husn Wo Husn-e Rasool Hai
Mere Dil Meiñ Hai Yaad e Mohammad ﷺ
Urdu, Hindi And English lyrics
| Naat-E-Paak|
| Khalid Mahmud ‘Khalid’ | Ajmal Sultanpuri Naat | Ala Hazrat Naat | Akhtar Raza Khan| Raaz Ilaahabadi | Muhammad Ilyas Attari | Sayyad Nazmi Miyan
| Qawwali |
| Sabri Brothers | Nusrat Fateh Ali Khan | Rahat Fateh Ali Khan | Iqbal Afzal Sabri | Aziz Miyañ |Nazir Ejaz Faridi | Ghous Muhammad Nasir | Maulvi Ahmad Hasan |