Nazan Hai Jis Pe Husn Lyrics | Sabri Brothers

Nazan Hai Jis pe Husn Qawwali By Sabri Brothers Lyrics

Qawwal : Sabi Brothers

Shayar: Moulana Kausar Niyazi

हिंदी लिरिक्स के लिए यहां टच करें |


Please Read, Listen and Enjoy it with Your Heart and Soul. 

 


Husn ki Jaan Ho Gaya Hoga

Yaani Eemaan Ho Gaya Hogaaa

Jab Bana Hoga Wo Qade Mauzooñ

Saaya Qurbaan Ho Gaya Hoga

 

Nazañ Hai Jis Pe Husn

 

Naazañ Hai Jis pe Husn Wo Husn-e-Rasool Hai

Naazañ Hai Jis pe Husn Wo Husn-e-Rasool Hai

Aaa..

Naazan Hai Jis pe Husn Wo Husn-e-Rasool Hai

 

Dekho.. Husn-e-Rasool hai

Dekho..Husn-e-Rasool .. Husn-e-Rasool

Husn-e-Rasool Husne.. Husne

Husn-e-Rasool Hai.. Hai.. Hai Hai

Husn-e-Rasool Hai.. Hai.. Hai Hai

 

Nazan Hai Jis pe Husn Wo Husn-e-Rasool Hai…

Naazañ Hai Jis pe Husn Wo Husn-e-Rasool Hai..

Naazañ Hai Jis pe Husn

 

Uñgliyañ Uthne Lagiñ Door se, Wo Aa Pahuñcha

Gardaneñ jhukne lagiñ Sajde ki Khatir Har Jaa

Log Kehne Lage Hai Saaya-e-Zaat-e-Yaktaañ

Aadmi Humne to, Is Shaan ka Dekha na Suna

Aadmi Hota to Is Maah ke Saaya Hota

Jiska Saaya Nahi Wo Noor-e-khuda Hai, Ba-khuda

Bajd Ke Haal Meiñ Phir Jhoom ke Rizwañ Bola

 

Naazañ Hai Jis pe Husn Wo Husn-e-Rasool Hai

Nazan Hai Jis pe Husn Wo Husn-e-Rasool Hai

 

Aaa….

Ae Jaane-Man, Jaanaan-e-Man

Bar man nigar, Sultan-e-Man

Rukh Tera Jalwe-Mehr-e-Gan

Khat tere Sooraj ki Kiran

Lab Tere Gul-Barg*-e-Saman

[*gul-barg=Barg-e-Gul = Petal of a Flower]

Sa’at Tere Shamm-e-Lagan

Juz Gham tere Kya hai Chaman

Banda Tere Sun Le Agan

Baazu Tere Mauj-e-Laban

Ae Saaqi-e-Sheeni-Badan

Ae Sheen Saqi, Sheen* Tan

[*sheen=Beautiful]

Gulgooñ Qabaa, Gul Pairahan

GulBarghe Lab, Ghuncha Dahan

Gesu Tere Mushk-e Khutan

Qad Zulman-e-Baagh-e-Iram

Sar-ta-Qadam Noor-e-Phigan

Tu Intashaar-e-Jaan-e-Man

Ban kar Bahaar Aayi Dulhan

 

Hooreñ Kahti thiñ ke Hum Lene Ko Jaaya Karte

Aap har Roz Isi Tarha se Aaya Karte

Peshvaayi ke liye Dhoom Machaya karte

Aap ko Takht-e-Zumurrud Pe Bithaya Karte

Apne Kapdoñ ko Paseene meiñ Basaya Karte

Unke Qadmoñ ko hum Aañkhoñ se Lagaya Karte

Apni Bigdi Huyi Taqdeer Banaya Karte

Saamne Hum ye Khade Hoke Sunaya Karte

 

Naazañ Hai Jis pe Husn Wo Husn-e-Rasool Hai

Naazañ Hai Jis pe Husn Wo Husn-e-Rasool Hai

 

Aaa..

Gaye to Aur bhi lekin, na Ta-Arsh-e-Bariñ Pahuñche

Bashar ki to Haqeeqat Kya, Malayak tak, nahi Pahuñche

Dare Jannat pe Jab Pahuñche Nabi Kahne lagiñ Hooreñ..

 

Naazañ Hai Jis pe Husn, Wo Husn-e-Rasool Hai

Naazañ Hai Jis pe Husn Wo Husn-e-Rasool Hai

Naazañ Hai Jis pe Husn Wo Husn-e-Rasool Hai

Naazañ Hai Jis pe Husn

 

Aaa..

Meraj ki Shab, Gaye Arsh pe Jab,

Maulana Muhammad Sayyadena

Ye Hoor-o-Malak meiñ Shor utha,

Ae salle-ala, Ae salle-ala

Dariya-e-Mohabbat Josh meiñ tha

Har Samt se Aati thi ye Sada

 

Naazañ Hai Jis pe Husn Wo Husn-e-Rasool Hai

Najan Hai Jis pe Husn

Naazañ Hai Jis pe Husn Wo Husn-e-Rasool Hai

Haañ..

Nazan Hai Jis pe Husn

 

Husn-e-Yusuf, Dam-e-Isa, Yad-e-Beyza-Daari

Hun che Khoobaañ Hama Darang to Tanha-dari!

Naazañ Hai Jis pe Husn Wo Husn-e-Rasool Hai

 

Aaa..he ri naazañ

Naazañ Hai Jis pe Husn Wo Husn-e-Rasool Hai

Ye Kahkashaañ to Aapke Qadmoñ ki Dhool Hai

Haañ..

Ye Kahkashaañ to Aapke Qadmoñ ki Dhool Hai

 

Aaa..

Ae Rahrawan-e-Shauk Yahañ Sar Ke Bal Chalo

Ae Rahrawan-e-Shauk Yahañ Sar Ke Bal Chalo

 

Na Badhe Adab ki Had Se

Ye Dayar-e-Mustafa hai

Meri Bekhudi Se kah do

Ye Maqam Hosh Ka Hai

 

Yahañ Sar Ke Bal Chalo..

 

Adab-Gaah-est Zer-e-Aasmañ, Az-Arsh Nazuk-tar
Nafas gum kar dareeñ Aayad, Junaid-o-BaYazeedi jañ

Yahañ Sar Ke Bal Chalo..

 

Qadam Qadam Pe Namaazeñ

Nazar Nazar meiñ Salaam

Yahañ Sar Ke Bal Chalo..

 

Madine Jaane ka jis dam Iraada maine kiya

To hañsta Khelta Ek Kaafile ke Saath Chala

Chubhe the Paañw meiñ Kaañte to Thak ke Baitha Tha

Paas Aakar mere Saalaar-Kaafile ne kaha

Sar Ke Bal Chalo…

Yahañ Sar Ke Bal Chalo..

 

Ae Rahrawan-e-Shauk Yahañ Sar Ke Bal Chalo

Yahañ Sar Ke Bal Chalo..

 

Naqaab Uthegi, Bujhegi Nazar Ki Pyas, Chalo

Bus, Sar Ke Bal Chalo

Yahañ Sar Ke Bal Chalo

 

Ae Rahrawan-e-Shauk Yahañ Sar Ke Bal Chalo

Kyuñ ke,

Taiba Ke Raaste Ka to Kaañta Bhi Phool Hai …

 

Haañ….

Har ek Qadam Pe Ismeñ, Zururi Hai Eh’tiyaat

Kyuñ ke,

Ishq-e-Butaañ Nahiñ hai, Ye Ishq-e-Rasool Hai …

 

Aañ…

Mimbar Ho Ya Ke Daar, Na Jaayegi Yaad-e-Yaar

Na jaayegi Yaade Yaar

Ae Dil ye Ahl-e-Ishq-o-Wafa ka Usool Hai

 

Baatil ke Saamne Na Jhukaauñga Sar Kabhi

Meri Nazar meiñ Ruswa-e-Ibn-e-Batool hai..

 

Aañ…

Zahid Khayaal-e-Pairawi-e-Mustufa Rahe

Phir Uske Baad Teri Ibaadat Qubool hai..

 

Aa…

Aaeen-e-Mustafa ke Siwa Hall-e-Mushkilaat

Ye Aql ka Fareb, Nigaahoñ ki Bhool Hai..

 

Aañ..

Us par Nuzool-e-Rahmat-e-Parvardigaar Ho

Kausar Firaaq-e-Yaar Mein..

Kausar Firaaq-e-Dost Meñ Jo Dil Malool Hai

 

Naazañ Hai Jis pe Husn Wo Husn-e-Rasool Hai

Nazan Hai Jis pe Husn. Aaa..

  • Comment में राय दीजिए
  • Share कीजिए

Our Pages

Hamd-E-Baari-T’aala 

Naat-E-Paak         

Rabiul Awwal Mutalliq Kalam

Manqabat Ghaus e Azam

Manqabat Ghareeb Nawaaz

Shayar

Naat Khwan:

         Qawwali         

1 thought on “Nazan Hai Jis Pe Husn Lyrics | Sabri Brothers”

  1. Pingback: Ya Sahib Al Jamaal Lyrics Qawwali By Sabri Brothers - Sabri brothers SufiLyrics.Live

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *