Barson Ke Intizar Ka Anjam Likh Diya

Barson Ke Intizar Ka Anjam Likh Diya Lyrics in hindi and english | बरसों के इंतिज़ार का अंजाम लिख दिया लिरिक्स


Barson Ke Intezaar Ka Anjaam Likh Diya

 

barsoñ ke intezaar ka anjaam likh diya,
kaagaz pe shaam kaat ke phir shaam likh diya.

 

bikhri padi theeñ toot ke kaliyañ zameen par,
tarteeb de ke maine tera naam likh diya.

 

aasañ nahiñ thi tarq e muhabbat ki dastaan,
do aansuoñ ne aakhiri paigaam likh diya.

 

humko kisi ke husn ne shayar bana diya,
hotoñ ka naam le na sake, jaam likh diya.

 

Allah! zindagi se kahañ tak nibhauñ maiñ,
jis bewafa ke saath mera naam likh diya

 

taqseem ho rahi theeñ khudai ki nemateiñ,
ik ishq bach gaya so mere naam likh diya.

 

Qaisar kisi ki den hai ye shayari meri,
uski ghazal pe kisne mera naam kih diya?


Barson Ke Intizar Ka Anjam Likh Diya Lyrics in Hindi

 

बरसों के इंतजार का अंजाम लिख दिया,
काग़ज़ पे शाम काट के फिर शाम लिख दिया।

 

बिखरी पड़ी थीं टूट के कलियां ज़मीन पर,
तरतीब देके मैंने तेरा नाम लिख दिया।

 

आसां नहीं थी तर्क-ए-मोहब्बत की दास्तां,
दो आंसुओं ने आख़िरी पैग़ाम लिख दिया।

 

हमको किसी के हुस्न ने शायर बना दिया,
होठों का नाम ले न सके, जाम लिख दिया।

 

अल्लाह! जिंदगी से कहां तक निभाऊं मैं,
जिस बेवफ़ा के साथ मेरा नाम लिख दिया।

 

तक़्सीम हो रही थीं खुदाई की नेमतें,
एक इश्क़ बच गया, सो मेरे नाम लिख दिया।

 

क़ैसर किसी की देन है यह शायरी मेरी
उसकी ग़ज़ल पे किसने मेरा नाम लिख दिया।

A Nusrat Fateh Ali Khan Qawwali Lyrics

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *