Bakhsh De Lyrics – Owais Raza Qadri

Bakhsh De Lyrics – Owais Raza Qadri

 

Adal Karen te thar-thar kanbar unchiyan shana wale

Fazl Karen te bakhshe jawan main warge muh kaale

 

Behad zaleel-o-khwar hun mola tu bakhsh de

Tauba,meri tauba, meri tauba, tu bakhsh de

 

Main aaj be-qarar hun mola tu bakhsh de

Isyan ke zer-e-baar hun, mola tu bakhsh de

Maghmoom o dil figaar hun mula tu bakhsh de

Sharminda kirdgar hun mola tu bakhsh de

 

Main zaar hun, nizaar hun mola tu bakhsh de

Main zaar hun, nizaar hun mola tu bakhsh de

Tauba meri tauba, Tauba meri tauba

 

Maine bhula diya mujhe marna hai ek din

Mar kar andheri qabr me jana hai ek din

Aamaal ka hisaab bhi dena hai ek din

Han ! Pul-siraat se bhi guzarna hai ek din

 

Muzrim hun, na bakar hun mola tu bakhsh de

Muzrim hun, na bakar hun mola tu bakhsh de

Behad zaleel-o-khwar hun mola tu bakhsh de

Tauba meri tauba, meri tauba, tu bakhsh de

 

Kuchh rakh saka lihaaj bhi na mamnu’aat ka

Kya kya na irtikaab kiya munkaraat ka

Haasil na ho saka mujhe irfan zaat ka

Afsos ! main ghulam raha khwahishaat ka

 

Nadan hu gawar hu mola tu bakhsh de

Nadan hu gawar hu mola tu bakhsh de

Tauba meri tauba, tauba meri tauba

 

Is darza badh gayi mere dik ki ye murdagi

Main la saka na apne amal me bhi umdagi

Aur kar saka na bhi ada haq-e-bandagi

barbad kar gaya hun khuda apni zindagi

 

Zahir me deen-daar hun mola tu bakhsh de

Zahir me deen-daar hun mola tu bakhsh de

Tauba meri tauba, meri tauba, tu bakhsh de

 

koi na dekh le yehi dhadka mujhe laga

Tu dekhta rah mujhe ahsaah na raha

Main bad-lihaaj afw pe bhoola raha sada

Be-sharm ban gaya mujhe aayi na kuchh haya

 

Main wo siyah kar hun mola tu bakhsh de

Main wo siyah kar hun mola tu bakhsh de

Tauba meri tauba, Tauba meri tauba

 

Iqraar hai mujhe mere mola main hun layeen

Mayoos par nahin teri rahmat se ae rahim

Khaali na bhej dar se tere ae mere karim

Mere gunah bhi bakhsh teri shan hai azim

 

Main bhi ummidwar hun mola tu bakhsh de

Main bhi ummidwar hun mola tu bakhsh de

Behad zaleel-o-khwar hun mola tu bakhsh de

Tauba meri tauba, meri tauba, tu bakhsh de

 

Kartoot dekhta hun to uthta hai dil me haul

Rahmat pukarti hai ki mus’haf zara tu khol

La-takna tu bhi tujh ko milega khuda ka qaul

Sare gunah dhulenge bas ik baar ubaid bol

 

Ya rab main sharmshar hun mula tu bakhsh de

Ya rab main sharmshar hun mula tu bakhsh de

Tauba meri tauba, tauba meri tauba

Tauba meri tauba, tauba meri tauba

 

Shayar: Owais Raza Qadri

Naat Khwan: Owais Raza Qadri

 

Bakhsh De Lyrics – Owais Raza Qadri

shab e barat 2022 naat lyrics 15 rajab ki naat likhi hui


Our Pages


Naat-E-Paak         

Manqabat Ghaus e Azam

Manqabat Ghareeb Nawaaz

Naat Khwan:

         Qawwali         

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *