Saba Ne Sirf Chhera Tha Lyrics
सबा ने सिर्फ छेड़ा था तराना ग़ौसे आज़म का
Manqabat Khwan:Usman Harooni
Shayar: Usman Harooni
सबा ने सिर्फ छेड़ा था तराना ग़ौसे आज़म का
नज़र के सामने था आस्ताना ग़ौसे आज़म का
Saba Ne Sirf Chhera Tha Tarana Ghause Azam Ka
Nazar Ke Samne Tha Aastana Ghause Azam Ka
कभी कश्ती तिरा देना कभी मुर्दे जिला देना
ज़माना याद रक्खेगा ज़माना ग़ौसे आज़म का
Kabhi Kashti Tira Dena Kabhi Murde Jila Dena
Zamana Yaad Rakhega Zamana Ghause Azam Ka
अली के लाडले हैं फ़ातिमा के दिल के टुकड़े हैं
जो महबूब ए ख़ुदा हैं वो हैं नाना ग़ौसे आज़म का
Ali Ke Laadle Hein Fatima Ke Dil Ke Tukde Hein
Jo Mahboob e Khuda Hain Wo Hai Nana Ghause Azam Ka
ये क़िस्मत जाग जायेगी मुसीबत भाग जायेगी
मुहब्बत से कभी नारा लगाना ग़ौसे आज़म का
Ye Qismat Jaag Jayegi Musibat Bhaag Jayegi
Mohabbat Se Kabhi Nara Lagana Ghause Azam Ka
मेरी माँ ने दुआएँ दे के मुझको ये नसीहत की
हमेशा ज़िक्र ऐ बेटा सुनाना ग़ौसे आज़म का
Meri Maa Ne Duayen De Ke Mujhko Ye Nasihat Ki
Hamesha Zikr Ae Beta Sunana Ghause Azam Ka
जो दिल से ग़ौसे आज़म को पुकारेंगे ऐ हारुनी
तो उनके घर में होगा आना जाना ग़ौसे आज़म का
Jo Dil Se Ghouse Azam Ko Pukarenge Ae Harooni
To Unke Ghar Me Hoga Aana Jana Ghause Azam Ka
Hindi And English lyrics
| Naat-E-Paak|
Khalid Mahmud ‘Khalid’ | Allama Saim Chishti | Bedam Warsi | Ajmal Sultanpuri Naat | Ala Hazrat Naat | Akhtar Raza Khan| Raaz Ilaahabadi | Muhammad Ilyas Attari | Sayyad Nazmi Miyan
| Qawwali |
| Sabri Brothers | Nusrat Fateh Ali Khan | Rahat Fateh Ali Khan | Iqbal Afzal Sabri | Aziz Miyañ |Nazir Ejaz Faridi | Ghous Muhammad Nasir | Maulvi Ahmad Hasan |