Phir ke gali gali tabaah thokare sab ki khayen Lyrics

Phir ke gali gali tabaah thokare sab ki khayen kyo
Phir ke gali gali tabaah thokare sab ki khayen kyo Lyrics

Phir ke gali gali tabaah thokare sab ki khayen kyo naat lyrics

फिर के गली गली तबाह ठोकरें सब की खाए क्यूं

Shayar :  Ala Hazrat  | Naat e Paak

Naat Khwan: Owais Raza Qadri, Hasmat Khan, Sayyad Abdul Wasi Qadri, Javed Raza Qadri, Mahmood Attari, Asif Attari Sahab, Sajid Qadir

Hadaaiqe bakhshish part 1

 

फिर के गली गली तबाह ठोकरें सब की खाए क्यूं
दिल को जो अ़क़्ल दे ख़ुदा तेरी गली से जाए क्यूं
Phir ke gali gali tabaah thokare sab ki khaye kyo
Dil ko jo aql de khuda teri gali se jaye kyo

 

रुख़्सते क़ाफ़िला का शोर ग़श से हमें उठाएं क्यूं
सोते हैं उन के साए में कोई हमें जगाए क्यूं
Rukhsat-a-qaafila ka shore gush se hame uthaye kyo
Sote hain unke saaye me koe hame jagae kyo

 

बार न थे ह़बीब को पालते ही ग़रीब को
रोएं जो अब नसीब को चैन कहो गंवाए क्यूं
Baar na the habeeb ko paaltay hi garib ko
Roe jo naseeb ko chain kaho gawae kyo

 

यादे हुज़ूर की क़सम ग़फ़्लते ऐ़श है सितम
ख़ूब हैं क़ैदे ग़म में हम कोई हमें छुड़ाए क्यूं
Yaade huzoor ki qasam gaflatey aish hai sitam
Khoob hain qaiday gum me hum koe hame chhudae kyo

 

देख के ह़ज़रते ग़नी फैल पड़े फ़क़ीर भी
छाई है अब तो छाउनी ह़श्र ही आ न जाए क्यूं
Dekh ke hazrate gani fail paday faqeer bhi
Chhaai hai ab to chhauni hashr he aa na jaye kyo

 

जान है इ़श्क़े मुस्त़फ़ा रोज़ फ़ुज़ू करे ख़ुदा
जिस को हो दर्द का मज़ा नाज़े दवा उठाएं क्यूं
Jaan hai ishq-a-mustafa roz fuzu kare khuda
Jis ko ho dard ka maza naazy dawa uthaye kyo

 

हम तो हैं आप दिल-फ़िगार ग़म में हंसी है ना गवार
छेड़ के गुल को नौ बहार ख़ून हमें रुलाए क्यूं
Hum to hain aap dil-figaar gum me hasi hai na gawaar
Chhed ke gul ko nou bahaar khoon hame rolaaye kyo

 

या तो यूं ही तड़प के जाएं या वोही दाम से छुड़ाएं
मिन्नते ग़ैर क्यूं उठाएं कोई तरस जताए क्यूं
Ya to yun he tadap ke jaye ya wo he daam se chhud-a
Min-nataye gair kyo uthaye koe taras jata-a kyo

 

उन के जलाल का असर दिल से लगाए है क़मर
जो कि हो लोट ज़ख़्म पर दाग़े जिगर मिटाए क्यूं
Unke jalaal ka asar dil se laga-a hai qamar
Jo ki ho lot zakhm par daag-a jigar mita-a kyo

 

ख़ुश रहे गुल से अ़न्दलीब ख़ारे ह़रम मुझे नसीब
मेरी बला भी ज़िक्र पर फूल के ख़ार खाए क्यूं
Khush rah gul se andleeb khaare haram mujhe naseeb
Meri bala bhi zikr par phool ke khaar khaye kyo

 

गर्दे मलाल अगर धुले दिल की कली अगर खिले
बर्क़ से आंख क्यूं जले रोने पे मुस्कुराए क्यूं
Garde malaal agar dhule dil ki kali agar khile
Barq se aankh kyo jale rone pe muskura-a kyo

 

जाने सफ़र नसीब को किस ने कहा मज़े से सो
खटका अगर सह़र का हो शाम से मौत आए क्यूं
Jaane safar naseeb ko kis ne kaha maze se so
Khatka agar sahar ka ho shaam se mout aa-a kyo

 

अब तो न रोक ऐ ग़नी अ़ादते सग बिगड़ गई
मेरे करीम पहले ही लुक़्मे तर खिलाए क्यूं
Ab to na rok ae gani aadte sug bigad ga-e
Mere kareem pahle he luqme tar khila-a kyo

 

राहे नबी में क्या कमी फ़र्शे बयाज़ दीदा की
चादरे ज़िल है मल्गजी ज़ेरे क़दम बिछाए क्यूं
Raahe nabi me kya kami farshe bayaaz deeda ki
Chaad-re zil hai malgaji zere qadam bichha-a kyo

 

संगे दरे हुज़ूर से हम को ख़ुदा न सब्र दे
जाना है सर को जा चुके दिल को क़रार आए क्यूं
Sange dare huzoor se hamko khuda na sabr de
Jana hai sar ko jaa chuke dil ko qaraar aa-a kyo

 

है तो रज़ा निरा सितम जुर्म पे गर लजाएं हम
कोई बजाए सोज़े ग़म साज़े त़रब बजाएं क्यूं
Hai to raza nira sitam zurm pe gar lajaien hum
Koe bajaa-a soze gum saaze tarab bajaien kyo

 

Hindi english Naat  lyrics

Hindi english Naat  lyrics


| Naat-E-Paak |  Ajmal Sultanpuri |  | Ala Hazrat NaatAkhtar Raza Khan| Raaz Ilaahabadi | Muhammad Ilyas Attari | Sayyad Nazmi Miyan | Khalid Mahmud Khalid |

| Qawwali | Sabri Brothers || Rahat Fateh Ali Khan | 

| Sufi Song  | Khailash Kher |     

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *