Dekhte Rahe Lyrics-Muhammad Samie Hindi Urdu English | ہر چند اہلِ ظرف و نظر دیکھتے رہے | हर चंद अहले जर्फ ओ नज़र देखते रहे
Singer: Muhammad Samie
Poet : Muhammad Samie
Har Chand Ahl-e-Zarf-o-Nazar Dekhte Rahe
Sab Unko Hasb-e-Taab-e-Nazar Dekhte Rahe
Jinki Tajalliyañ Theeñ Ayaañ Jism-o-Jaan Meiñ
Kya Zulm Kiya! Unko Kidhar Dekhte Rahe!
Sab Unko Hasb-e-Taab-e-Nazar Dekhte Rahe!
Aaye Na Jab Nazar Wo Nigahoñ Ke Noor Se
Dil Meiñ Phir Unko Shaam-o-Sahar Dekhte Rahe !
Keeñ band jab aankheñ to meri khul gayi aankheñ
Kya tumse kahuñ phir mujhe kya kya Nazar aaya
Dil Meiñ Phir Unko Shaam-o-Sahar Dekhte Rahe !
Sab Unko Hasb-e-Taab-e-Nazar Dekhte Rahe!
Humko Raha Na Saqiya Kuchh Hosh-e Maikashi
Hum to Teri Nazar Ka Asar Dekhte Rahe!
Sab Unko Hasb-e-Taab-e-Nazar Dekhte Rahe!
Aa ..
Teer-e-Nazar Se Unke To Koi Na Bacha Saka
Ghayal Hue Sabhi ! Wo Jidhar Dekhte Rahe!
Har Chand Ahl-e-Zarf-o-Nazar Dekhte Rahe
Sab Unko Hasb-e-Taab-e-Nazar Dekhte Rahe!
Haañ Dekhte Rahe .. Haañ Dekhte Rahe
Haañ Dekhte Rahe .. Haañ Dekhte Rahe
Dekhte Rahe Lyrics in Urdu
ہر چند اہلِ ظرف و نظر دیکھتے رہے
سب اُن کو حسبِ تابِ نظر دیکھتے رہے
جن کی تجلیاں تھیں عیاں جسم و جان میں
کیا ظلم کیا، اُن کو کدھر دیکھتے رہے !
آئے نہ جب نظر وہ نِگاہوں کے نور سے
دل میں پھر اُن کو شام و سحر دیکھتے رہے
ہم کو رہا نہ ساقیا کچھ ہوشِ مے کشی
ہم تو تِری نظر کا اثر دیکھتے رہے
تیرِ نظر سے اُن کے تو کوئی نہ بچا سکا
گھائل ہوئے سبھی وہ جدھر دیکھتے رہے
کلام: محمد سمیع
Dekhte Rahe Lyrics in Hindi
हर चंद अहले ज़र्फ़-ओ-नज़र देखते रहे
सब उनको हस्बे-ताबे-नज़र देखते रहे!
जिनकी तजल्लियां थीं अयाॉं जिस्मो-जान में
क्या ज़ुल्म किया! उनको किधर देखते रहे!
आए न जब नज़र वो निगाहों के नूर से
दिल में फिर उनको शामो-सहर देखते रहे!
हमको रहा ना साक़िया कुछ होशे-मयकशी
हम तो तेरी नज़र का असर देखते रहे!
तीरे नज़र से उनको कोई ना बचा सका
घायल हुए सभी, वो जिधर देखते रहे!
गायक: मुहम्मद समी’
गीत, संगीत: मुहम्मद समी’
Our Pages
Shayar
- Khalid Mahmud ‘Khalid’
- Peer Naseeruddin ‘Naseer’
- Allama Saim Chishti
- Bedam Warsi
- Muzaffar Warsi
- Ajmal Sultanpuri Naat
- Ala Hazrat Naat
- Akhtar Raza Khan
- Raaz Ilaahabadi
- Muhammad Ilyas Attari
- Sayyad Nazmi Miyan
- Shakeel Arfi
Naat Khwan:
- Owais Raza Qadri
- Habibullah Faizi
- Ghulam Mustafa Qadri
- Hafiz Tahir Qadri
- Laiba Fatima
- Asad Iqwal
- Sajjad Nizami
- Zulfiqar Ali Hussaini
- Mufti Abdullah Bin Abbas
- Junaid Jamshed Khan
- Muhammad Ali Faizi
- Ghulam Noore Mujassam
- Sabri Brothers
- Nusrat Fateh Ali Khan
- Rahat Fateh Ali Khan
- Iqbal Afzal Sabri
- Aziz Miyañ
- Nazir Ejaz Faridi
- Ghous Muhammad Nasir
- Maulvi Ahmad Hasan Akhtar