Qurbani Mubarak Lyrics| Ghulam Mustafa Qadri 

Qurbani Mubarak Lyrics| Ghulam Mustafa Qadri

 

 

Eid Mubarak
Eid Mubarak
Eid Mubarak
Eid Mubarak

 

Mustafa Jane Rahmat Ka Farman Hai
Rab Ka Ehsaan Hai Eid-e-Qurban Hai
Aashiq-e-Mustafa Ki Ye Pahchan Hai
Rab Ka Ehsaan Hai Eid-e-Qurban Hai

 

Jo Baraheemi Sunnat Ada Karte Hain
Aur Qurbani Dil Se Kiya Karte Hain
Khuld Payenge Wo Mera Iman Hai
Rab Ka Ehsaan Hai Eid-e-Qurban Hai

 

Janwar Rab Se In’aam Dil Wayega
Roz-e-Mahshar Sawaari Ke Kaam Aayega
Wil Yaqiñ Maghfirat Ka Ye Saman Hai
Rab Ka Ehsaan Hai Eid e Qurban Hai

 

Haiñ Khalil-Ulla Rab Ki Raza Ke Liye
Apne Bete Ko Qurban Karne Chale
Dekh kar Aql-e-Insan Hairan Hai
Rab Ka Ehsaan Hai Eid e Qurban Hai

 

Jo Musalman Qurbani Kar Wayega
Neki Har Baal Ke Badle Wo Payega
Ye Hadees-e-Mubarak Ka Ailaan Hai
Rab Ka Ehsaan Hai Eid e Qurban Hai

 

Yaad Rakkhegi Wallah Duniya Sada
Wo Khaleeli Wafa, Wo Khaleeli Ada
Jiska Maddah Nabiyon Ka Sultan Hai
Rab Ka Ehsaan Hai Eid e Qurban Hai

 

Ya Khuda Ham Karen Shukr kaise Tera
Pyara Tehwaar Jo Tune Hamko Diya
Ham Gunahgaron Pe Tera Ehsan Hai
Rab Ka Ehsaan Hai Eid e Qurban Hai

 

Muflisoñ Aur Ghariboñ Ki Kije Madad
Raazi Ho Jayega Aap Se Bhi Samad
Sayyedul Ambiya Ka Ye Farman Hai
Rab Ka Ehsaan Hai Eid e Qurban Hai

 

Eid-e-Qurbañ Ke Sadqe Me Rabbul Ula
Bakhsh Dega Mere Sare Jurm-o-Khata
Mera Shauq-e-Faridi Ye iiqaan Hai
Rab Ka Ehsaan Hai Eid e Qurban Hai

 

Mustafa Jane Rahmat Ka Farman Hai
Rab Ka Ehsaan Hai Eid-e-Qurban Hai

 

Aashiq-e-Mustafa Ki Ye Pahchan Hai
Rab Ka Ehsaan Hai Eid-e-Qurban Hai

 

Naat Khwan: Ghulam Mustafa Qadri


Our Pages

Hamd-E-Baari-T’aala 

Naat-E-Paak         

Rabiul Awwal Mutalliq Kalam

Manqabat Ghaus e Azam

Manqabat Ghareeb Nawaaz

Shayar

Naat Khwan:

         Qawwali