Wo Jali Hai Ya Khafi Hai Kya Bayan Ho Zabañ Se Lyrics | Muhammad Samie
Wo Jali Hai Ya Khafi Hai
Wo Jali Hai Ya Khafi Hai Kya Bayan Ho Zabañ Se
Usey Sochne Samjhne Ki Bisaat Ho Kahañ Se.
Teri Aarzoo Se Khaali Hai Jo Dil Wo Be Sukooñ Hai
Teri Aarzoo Hai Jisko Usey Bhi Sukooñ Kahañ Se.
Wohi Jab Tera Hai Humdum Yahi Teri Bandagi Hai
Beniyaz Rah Zameeñ Se, Begharaz Ho Aasmañ Se.
Sirr-e-Niha Hai Lekin Aa Raaz Faash Kar Duñ
Jo Na Paa Saka Hai Khud Ko, Usey Payega Kahañ Se.
Har Had Ke Paar Hai Wo Wo Hadoñ Meiñ Bhi Ayaañ Hai
Jo Samaañ Gaya Nazar Meiñ Wo Khuda Hua Kahañ Se?
Wo na aa saka samajh meiñ
Na sama saka nazar meiñ,
Hai parda-nasheeñ lekin
Jalwa-numa hai sab meiñ.
Saqi ki nigahoñ meiñ
Murshid ki panahoñ meiñ
Mulla ki kitaboñ meiñ
Pardoñ meiñ hijaboñ meiñ
Har dukh ki dawa meiñ bhi
Har chup ki sada meiñ bhi
Is aab-o-hawa mein bhi
Is arz-o-sama meiñ bhi.
Majzoob ki sohbat meiñ
Aashiq ki mohabbat meiñ
Maañ-Baap ki soorat meiñ
Is mitti ki moorat meiñ.
Musa ke asaa meiñ bhi
Eesa ki shifa meiñ bhi
Yahya ki haya meiñ bhi
Yusuf ki ada meiñ bhi.
Younus ke wazife meiñ
Nabiyoñ ke sahife meiñ,
Qur.aañ ke khazeene meiñ
Makke meiñ Madine meiñ.
Zainab ki zabañ meiñ bhi
Akbar ki azañ meiñ bhi,
Haider ki wilaa meiñ bhi
Zahra ki dua meiñ bhi.
Abbas ke jazbe meiñ
Shabbir ke sajde meiñ,
Naara-e-Haideri meiñ
Noor-e-Muhammadi meiñ.
Jo Samaañ Gaya Hai Nazar Meiñ Wo Khuda Hua Kahañ Se,
Wo Jali Hai Ya Khafi Hai Kya Bayan Ho Zabañ Se.
Our Pages
Shayar
- Khalid Mahmud ‘Khalid’
- Peer Naseeruddin ‘Naseer’
- Allama Saim Chishti
- Bedam Warsi
- Muzaffar Warsi
- Ajmal Sultanpuri Naat
- Ala Hazrat Naat
- Akhtar Raza Khan
- Raaz Ilaahabadi
- Muhammad Ilyas Attari
- Sayyad Nazmi Miyan
- Shakeel Arfi
Naat Khwan:
- Owais Raza Qadri
- Habibullah Faizi
- Ghulam Mustafa Qadri
- Hafiz Tahir Qadri
- Laiba Fatima
- Asad Iqwal
- Sajjad Nizami
- Zulfiqar Ali Hussaini
- Mufti Abdullah Bin Abbas
- Junaid Jamshed Khan
- Muhammad Ali Faizi
- Ghulam Noore Mujassam
- Sabri Brothers
- Nusrat Fateh Ali Khan
- Rahat Fateh Ali Khan
- Iqbal Afzal Sabri
- Aziz Miyañ
- Nazir Ejaz Faridi
- Ghous Muhammad Nasir
- Maulvi Ahmad Hasan Akhtar