Nazar Mein Rahti Hai Har Dam Wo Shakle Noorani Lyrics in Urdu and English | نظر میں رہتی ہے ہر دَم وہ شکلِ نُُورانی | Manqabat Ghause Azam
Kalam e Peer Naseer R.a
نظر میں رہتی ہے ہر دَم وہ شکلِ نُُورانی
مِرے نصیب میں ہے عشقِ شاہِ جیلانیؓ
Nazar Mein Rahti Hai Har Dam Wo Shakl-e-Noorani
Mere Naseeb Mein Hai Ishq-e-Shaah-e-Jilani.
نظر نظر میں توجّہ سے اُن کی، تابانی
ہمارے دل میں ہے روشن چراغِ عرفانی
Nazar Nazar Meiñ Tawajja Se Unki, Taabaani
Hamare Dil Meiñ Hai Raushan Charaagh-e-Irfani.
دُعا یہ ہے کہ طفیلِ نگاہِ غوثِؒ ورٰی
اُٹھے نا سجدۂ ربُّ العُلٰی سے پیشانی
Du’a Ye Hai Ke Tufail-e-Nigah-e-Ghous-e-Wara
Uthe Na Sajda-e-Rabb-ul-‘Ula Se Peshaani.
بالاتّفاق ہیں سردار آپ ولیوں کے
جواب رکھتی نہیں آپ کی جہانبانی
Bil-ittifaaq Haiñ Sardar Aap Waliyoñ Ke
Jawab Rakhti Nahi Aap Ki Jahañ-Baani.
یہ اُن کے لُطف و نگاہِ کرم کا صدقہ ہے
مسرّتوں کی مِرے حق میں ہے فراوانی
Ye Unke Lutf-o-Nigah-e-Karam Ka Sadqa Hai
Masarratoñ Ki Mere Haq Mein Hai Faraabaani.
قدم بڑھاؤ! یہ پیرانِ پیرؒ کا در ہے
بِچھا ہُوا ہے پئے خَلق، خوانِ رُوحانی
Qadam Badhaao! Ye Peeraan-e-Peer Ka Dar Hai
Bichha Hua Hai Paye-Khalq, Khwane Roohaani.
وہ ہیں خدا کے، خدا اُن کا ہے، خدا کی قسم
مِٹے گی اُن کے اشارے سے ہر پریشانی
Wo Haiñ Khuda Ke, Khuda Unka Hai, Khuda Ki Qasam
Mitegi Unke Ishaare Se Har Pareshani.
وہ ذات ایسی، قدم اولیا کی گردن پر
صفات ایسی، فرشتوں کو جس پہ حیرانی
Wo Zaat Aisi, Qadam Auliya Ki Gardan Par
Sifaat Aisi, Farishtoñ Ko Jis Pe Hairaani.
وہ رہنما ہیں، وہ ہیں دستگیرِ خلقِ خدا
کرامتوں میں وہ یکتا، کرم میں لاثانی
Wo Rahnuma Haiñ, Wo Haiñ Dastgeer-e-Khalq-e-Khuda
Karaamatoñ Meiñ Wo Yakta, Karam Mein Laa-Saani.
خدا کا شکر کے ہیں مہربان شہِؒ جیلاں
نصؔیرؒ! فکر کوئی ہے، نہ اب پریشانی ـ
Khuda Ka Shukr Hai, Haiñ Mehrbaañ Shahe Jilañ.
Naseer! Filr Koi Hai, Na Ab Pareshani.
نظر میں رہتی ہے ہر دَم وہ شکلِ نُُورانی
مِرے نصیب میں ہے عشقِ شاہِ جیلانیؓ
Nazar Mein Rahti Hai Har Dam Wo Shakle Noorani
Mere Naseeb Mein Hai Ishqe Shaahe Jilani.
کتاب: فیضِ نسبت
Our Pages
Shayar
- Khalid Mahmud ‘Khalid’
- Peer Naseeruddin ‘Naseer’
- Allama Saim Chishti
- Bedam Warsi
- Muzaffar Warsi
- Ajmal Sultanpuri Naat
- Ala Hazrat Naat
- Akhtar Raza Khan
- Raaz Ilaahabadi
- Muhammad Ilyas Attari
- Sayyad Nazmi Miyan
- Shakeel Arfi
Naat Khwan:
- Owais Raza Qadri
- Habibullah Faizi
- Ghulam Mustafa Qadri
- Hafiz Tahir Qadri
- Laiba Fatima
- Asad Iqwal
- Sajjad Nizami
- Zulfiqar Ali Hussaini
- Mufti Abdullah Bin Abbas
- Junaid Jamshed Khan
- Muhammad Ali Faizi
- Ghulam Noore Mujassam
- Sabri Brothers
- Nusrat Fateh Ali Khan
- Rahat Fateh Ali Khan
- Iqbal Afzal Sabri
- Aziz Miyañ
- Nazir Ejaz Faridi
- Ghous Muhammad Nasir
- Maulvi Ahmad Hasan Akhtar