Allah Re Kya Bargahe Ghous-e-Jali Hai Lyrics

Allah Re Kya Bargahe Ghous-e-Jali Hai Lyrics in Urdu and English | اللہ رے کیا بارگہِ غوثِ جلیؓ ہے

Kalam e Peer Naseer R.a


Allah Re Kya Bargahe Ghous-e-Jali Hai

اللہ رے کیا بارگہِ غوثِ جلیؓ ہے
گردن کو جُھکاۓ ہوۓ ایک ایک ولی ہے
Allah Re Kya Bargahe Ghous-e-Jali Hai
Gardan Ko Jhukaye Hue Ek Ek Wali Hai.

 

وہ ذات گُلستانِ رسالتؐ کی کلی ہے
نَورُستہ گُلِ گُلشنِ زہراؑ و علیؑ ہے
Woh Zaat Gulistan-e-Risalat Ki Kali Hai
Nau-Rusta Gul-e-Gulshan-e-Zahra-o-Ali Hai.

 

اولادِ حسنؑ ، آلِ حسینؑ ابنِ علیؑ ہے
بیشک شہِؓ بغداد ، ولی ابنِ ولی ہے
Aulad-e-Hasan, Aal-e-Hussain Ibn-e-Ali Hai
Beshak Shah-e-Baghdad, Wali Ibn-e-Wali Hai.

 

سب اُن کی عنایت ہے ، خفی ہے کہ جلی ہے
ہر رسمِ کرم اُن کے گھرانے سے چلی ہے
Sab Unki Inayat Hai, Khafi Hai Ke Jali Hai
Har Rasm-e-Karam Un Ke Gharane Se Chali Hai.

 

جس دل پہ نظر اُن کی ہو ، وہ روشن و بینا
اُن کو جو پسند آۓ ، وہی بات بَھلی ہے
Jis Dil Pe Nazar Un Ki Ho, Wo Raushan-o-Beena
Un Ko Jo Pasand Aaye, Wohi Baat Bhali Hai.

 

ہوں نقشِ قدم جس پہ نبیؐ اور علیؑ کے
اُس در پہ کسی کی نہ چلے گی ، نہ چلی ہے
Hoñ Naqsh-e-Qadam Jis Pe Nabi Aur Ali Ke
Us Dar Pe Kisi Ki Na Chalegi, Na Chali Hai.

 

اک سلسلۂ نُور ہے ہر سانس کا رشتہ
ایمان مِرا حُبِّ نبی ، مہرِ علیؑ ہے
Ik Silaila-e-Noor Hai Har Saañs Ka Rishta
Imaan Mera Hubb-e-Nabi, Mehr-e-Ali Hai.

 

اُس ذات سے شاہی کے قرینے کوئی سیکھے
وہ ذات کہ جو فقر کے سانچے میں ڈھلی ہے
Us Zaat Se Shaahi Ke Qarreene Koi Seekhe
Woh Zaat Ke Jo Faqr Ke Saañche Meiñ Dhali Hai.

 

مجھ کو بھی محبّت ہے بہت ، بادِ صبا سے
کیوں کر نہ ہو آخر ترے کُوچے سے چلی ہے
Mujh Ko Bhi Mohabbat Hai Bahot Baad-e-Saba Se
Kyuñ Kar Na Ho Aakhir Tere Kooche Se Chali Hai.

 

مُشکل ہوئی آسان ، لیا نام جو اُن کا
یُورش غم و آفت کی مِرے سَر سے ٹلی ہے
Mushkil Hui Aasaan Liya Naam Jo unka
Yourish Gham-o-Aafat Ki Mere Sar Se Tali Hai.

 

محشر میں وہی غازۂ انوار بنے گی
مٹّی تِرے کُوچے کی جو چہرے پہ مَلی ہے
Mahshar Mein Wohi Ghaaza-e-Anwaar Banegi
Mitti Tere Kooche Ki Jo Chehre Pe Mali Hai.

 

ہر گام پہ سجدے کی تمنّا ہے جبیں کو
یہ کس کا درِ ناز ہے ؟ یہ کس کی گلی ہے؟
Har Gaam Pe Sajde Ki Tamanna Hai Jabeeñ ko
Yeh Kis Ka Dar-e-Naaz Hai? Ye Kis Ki Gali Hai?

 

جو نُور ہے بغداد کی گلیوں کا اُجالا
ہر ایک کرن اُس کی مدنیے سے چلی ہے
Jo Noor Hai Baghdad Ki Galiyoñ Ka Ujala
Har Ek Kiran Us Ki Madine Se Chali Hai.

 

مَیں اُن کا ہُوں تا حشر نصیرؔ اُن کا رہوں گا
صد شُکر کہ اُن سے مِری نسبت اَزَلی ہے۔
Maiñ Un Ka Hooñ Taa Hashr ‘Naseer’ Un Ka Rahooñ Ga
Sad Shukr Ke Un Se Meri Nisbat Azali Hai.

کتاب: فیضِ نسبت


Our Pages

Naat-E-Paak         

Rabiul Awwal Mutalliq Kalam

Manqabat Ghaus e Azam

Manqabat Ghareeb Nawaaz

Shayar

Naat Khwan:

         Qawwali