Shikwa : Kyun Ziyankar Banu Lyrics
Qawwal: Sabri Brothers
Poet: Hazrat Allama Iqbal r.a.
| हिन्दी लिरिक्स |
Aye Khuda Shikwa-e-Arbab-e-Wafa bhi sun le
Khoo-gar-e-Hamd se Thoda sa Gila bhi sun le
Kyuñ Ziyañkaar banooñ, Sood faramosh rahooñ
Kyun Ziyankar banu, Sood faramosh rahooñ
Fiqr-e-Farda na karooñ, Mahw-e-Gham-e-Dosh rahooñ
Naale Bulbul ke sunooñ aur Hamatan-Gosh rahooñ
Humnawa maiñ bhi Koi Gul hooñ ke Khamosh rahooñ
Jurrat-aamoz meri Taab-e-Sukhan hai Mujh ko
Shikwa Allah se Khaakam-ba-Dahan hai mujhko
Hai baja, Shewa-e-Tasleem me Mash-hoor haiñ hum
Qissa-e-Dard sunate haiñ ke Majboor haiñ hum
Saaz-e-Khamosh hain, Faryad se Maamoor haiñ hum
Naala aata hai agar Lab pe to Maazur haiñ hum
Aye Khuda Shikwa e Arbab e Wafa bhi sun le
Khoo-gar-e-Hamd se Thoda sa Gila bhi sun le
Thi to Maujood Azal hi se, Teri Zaat-e-Qadeem
Phool tha zeb-e-Chaman, par na Pareeshañ thi Shameem
Shart-e-Insaaf hai aye Sahib-e-Altaaf-e-Ameem
Boo-e-Gul Phailti kis tarha jo hoti na Naseem
Hum ko Jam-eeyat-e-Khatir ye Pareshani thi
Warna Ummat Tere Mehboob ki Deewaani thi
Hum se Pehle tha Ajab tere Jahañ ka Manzar
Kahiñ Masjood the Patthar, Kahiñ Maabood Shajar
Khu-gar-e-Paikar-e-Mahsoos thi Insañ ki Nazar
Maanta phir Koi Andekhe Khuda ko kyuñkar
Tujh ko Maaloom hai, Leta tha koi Naam Tera
Quwwat-e-Bazu-e-Muslim ne kiya Kaam Tera
Bas Rahe the Yahiñ Saljooq bhi Tooraani bhi
Ahl-e-cheeñ, cheen meñ, Iran meñ saasaani bhi
Isi maamoore meñ Aabaad the Yunaani bhi
Isi Duniya meñ Yahudi bhi the Nasraani bhi
Par Tere naam pe Talwar Uthayi kis ne
Baat jo Bigdi hui thi wo Banayi kis ne
The hameeñ ek tere Masrka-aaraaoñ meñ
ḳhushkiyoñ meñ kabhi, ladte kabhi dariyaoñ meñ
Deeñ azaaneñ kabhi Europe ke Kaleesaoñ meñ
Kabhī Africa ke tapte hue Sahraaoñ meñ
Shaan āñkhoñ meñ na jachti thi jahañ-daaroñ ki
Kalima padhte the hameeñ chhaañw meñ talwaroñ ki …
Ham jo jeete the to jungoñ ki Museebat ke liye
Aur marte the tere Naam ki Azmat ke liye
Thi na kuchh Teghzani apni Hukoomat ke liye
Sar-ba-Kaf phirte the kya dahr meñ daulat ke liye
Qaum apni jo Zar-o-maal-e-Jahañ par marti
But-faroshī ke ewaz but-shikani kyuñ karti ..
Tal na sakte the agar jung meñ ad jaate the
Paañw sheroñ ke bhī maidañ se ukhad jaate the
Tujh se sarkash hua koi to bigad jaate the
Tegh kya cheez hai ham top se lad jaate the
Naqsh Hauheed ka har dil pe bithaya ham ne
Zer-e-ḳhanjar bhi ye paigham Sunaya ham ne ..
Tu hi kah de ki ukhaada dar-e-ḳhaibar kis ne
Shahr qaisar ka jo tha, usko kiya sar kis ne
Tode makhlooq khudawandoñ ke paikar kis ne
Kaat kar rakh diye kuffaar ke lashkar kis ne
Kis ne Thanda kiya Atish-kada-e-irañ ko
Kis ne phir Zinda kiya Tazkira-e-yazdañ ko ..
Kaun si Qaum Faqat teri Talabgaar hui
Aur tere liye zahmat-kash-e-paikaar hui
Kis ki Shamsheer jahañgeer, jahañ-dar hui
Kis ki takbeer se duniya teri bedaar hui
Kis ki haibat se sanam sahme hue rahte the
Muñh ke bal gir ke hu-allahu-ahad kahte the ..
Aa gaya ain ladaayi meñ agar waqt-e-namaz
Qibla-ru hoke zameeñ-bos hui qaum-e-hijaaz
Ek hi saf meñ khade ho gaye Mahmood-o-Ayaaz
Na koi banda raha aur na koi banda-nawaz
Banda-o-sahib-o-mohtaj-o-ghani ek hue
Teri sarkar meñ pahuñche to sabhi ek hue
Mahfil-e-kaun-o-makaañ meñ sahar-o-shaam phire
Mai-e-tauhid ko le kar sifat-e-jaam phire
Koh meñ dasht meñ le kar tera paigham phire
Aur maloom hai tujh ko, kabhi nakam phire
Dasht to dasht haiñ, Dariya bhi na chhode ham ne
Bahr-e-Zulmaat meñ dauda diye ghode ham ne ..
Saf’ha-e-dahr se batil ko mitaya ham ne
Nau-e-insañ ko ghulami se chhudaya ham ne
Tere ka’abe ko jabeenoñ se basaya ham ne
Tere qur’an ko seenoñ se lagaya ham ne
Phir bhi ham se ye gila hai ki wafa-dar nahiñ
Hum wafa-dar nahiñ, too bhi to dildar nahiñ ..
Ummateñ aur bhi haiñ un meñ gunahgar bhi haiñ
Ijz waale bhi haiñ, mast-e-mai-e-pindaar bhi haiñ
Un meñ kaahil bhi haiñ, ghaafil bhi haiñ, hushiyar bhi haiñ
Saikdoñ haiñ ki tere naam se be-zaar bhi haiñ
Rahmateñ haiñ teri Aghyar ke Kaashaanoñ par
Barq girti hai to bechaare Musalmaanoñ par ..
Büt sanam-khanoñ meñ kahte haiñ musalmān gaye
Hai khushi unko ki ka’abe ke nigahban gaye
Manzil-e-dahr se ooñtoñ ke hudi-ḳhwaan gaye
Apni baghloñ meñ dabaa-e hue qur’aan gaye
Khanda-zan kufr hai Ehsaas tujhe hai ki nahi
Apni Tauheed ka kuchh paas tujhe hai ki nahi
Ye shikayat nahiñ, haiñ un ke khazaane ma’moor
Nahi mahfil meñ jinheñ baat bhi karne ka shaoor
Qahr to ye hai ki kafir ko mileñ hoor-o-qusoor
Aur bechaare musalmañ ko faqat wada-e-hoor
Ab wo Altaf nahi ham pe Inayaat nahiñ
Baat ye kya hai ki pahli si Madaaraat nahi
Kyuñ musalmanoñ meñ hai daulat-e-duniya naayaab
Teri qudrat to hai wo jis ki na had hai na hisaab
Tü jo chaahe to uthe seena-e-sahra se habaab
Rah-raw-e-dasht ho sailee-zada-e-mauj-e-saraab
Taan-e-aghyaar hai, ruswayi hai, naadaari hai
Kya tere naam pe marne ka ewaz khwari hai
Bani aghyar ki ab chaahne waali duniya
Rah gayi apne liye ek khayali duniya
Ham to rukhsat hue, auroñ ne sambhaali duniya
Phir na kahna hui tauheed se khaali duniya
Ham to jeete haiñ ki duniya meñ tera naam rahe
Kahiñ mumkin hai ki Saaqi na rahe jaam rahe
Teri mahfil bhi gayi chaahne waale bhi gaye
Shab ki aaheñ bhī gayiñ sub-h ke naale bhi gaye
Dil tujhe de bhi gaye apna sila le bhi gaye
Aa ke baithe bhi na the aur nikaale bhi gaye
Aa-e Ushshaaq gaye wada-e-farda le kar
Ab unheñ Dhooñdh, charagh-e-rukh-e-zeba le kar
Dard-e-laila bhi wahi, qais ka pahlu bhi wohi
Najd ke dasht-o-jabal meñ ram-e-aahu bhi wahi
Ishq ka dil bhi wahi, husn ka jaadu bhi wahi
Ummat-e-ahmad-e-mursil bhi wahi, Tü bhi wahi
Phir ye aazurdagi-e-ghair-e-sabab kya maani
Apne shaidaaoñ pe ye chashm-e-ghazab kya maani
Tujhko chhoda ke Rasool-e-arabi ko chhoda
But-gari pesha kiya, but-shikani ko chhoda
Ishq ko, ishq ki aashufta-sari ko chhoda
Rasm-e-Salmaan-o-Uwais-e-qarani ko chhoda
Aag Takbeer ki Seenoñ meñ dabi rakhte haiñ
Zindagi misl-e-Bilaal-e-Jabashi rakhte haiñ
Ishq ki khair wo pahli si Ada bhi na sahi
Ishq ki khair.. khair
Be-khatar kood-pada Aatish-e-Namrood meiñ Ishq
Aql hai Mahw-e-Tamaasha-e-Lab-e-Baam abhi
Ishq ki khair.. khair
Aql-o-Dil-o-Nagaah ka Murshid-e-Awwaliñ hai, Ishq
Sidq-e-Khaleel bhi hai ishq, Sabr-e-Husain bhi hai, ishq
Maarqa-e-Wujood me, Badr-o-Hunain bhi hai, ishq
Ishq ki khair.. khair
Ishq ki ḳhair wo pahli si ada bhi na sahi
Jaada-paimaayi-e-tasleem-o-raza bhi na sahi
Muztarib dil sifat-e-qibla-numa bhi na sahi
Aur paabandi-e-aaeen-e-wafa bhi na sahi
Kabhi ham se, kabhi ghairoñ se shanasaayi hai
Baat kahne ki nahiñ tü bhi to harjaayi hai
Sar-e-faaraañ pe kiya deen ko kamil tü ne
Ik ishaare meñ hazaaroñ ke liye dil tü ne
Atish-andoz kiya ishq ka haasil toone
Phooñk di garmi-e-ruḳhsaar se mahfil tü ne
Aaj kyuñ seene hamāre sharar-aabaad nahiñ
Ham wahi sokhta-saamaañ haiñ tujhe yaad nahīñ ..
Chaak is bulbul-e-tanha ki nawaa se dil hoñ
Jaagne waale isi Baañg-e-dara se dil hoñ
Yaani phir Zinda Mai-e-Ahd-e-wafa se dil hoñ
Phir is baada-e-daireena ke pyase dil hoñ
Ajami khum hai to kya, Mai to Hijaazi hai meri
Naghma Hindi hai to kya Lai to hijaazī hai meri
Kyuñ Ziyankar banuñ…….
See Translation in English of Shikwa: Kyun Ziyankar banu
More Qawwalis From:
|Sabri Brothers | | Rahat Fateh Ali Khan | | Nusrat Fateh Ali Khan | | Aziz Miyan | |Naat-e-Paak |
Shikwa Kyun Ziyankar Banu, Shikwa Kyun Ziyankar Banu, Shikwa Kyun Ziyankar Banu, Shikwa Kyun Ziyankar Banu, Shikwa Kyun Ziyankar Banu, Shikwa Kyun Ziyankar Banu, Shikwa Kyun Ziyankar Banu