Zamana Bahot Khoobsurat Hai Lyrics | मदीने के बाज़ार जैसा नहीं

Zamana Bahot Khoobsurat Hai Lyrics

मदीने के बाज़ार जैसा नहीं

 

Zamana Bahot Khoobsurat Hai Lekin
Madine Ke Bazar Jaisa Nahi Hai
Sabab Iska Hai Ke Saari Zamiñ Par
Kahiñ Aur Aaqa Ka Rouza Nahi Hai

 

Azaneiñ Bhi Hoti Namazeiñ Bhi Hoti
Bahot Ilm Hota Magar Ye Bhi Hota
Nabi Ke Nawase Na Gardan Katate
To Sab Kehte Islam Zinda Nahi Hai

 

Koi Chadhte Suraj Se Kah De Kisi Din
Bhari Dopahar Me Tujhe Dekh Luñga
Abhi Meri Aankheiñ Muqammal Nahi Haiñ
Abhi Unka Dar Maine Dekha Nahi Hai

 

Wo Jab Chaheñ Mushkil Ko Aasan Kar Deñ
Wo Jab Chaheñ Mañgtoñ Ko Sultan Kar Deñ
Shahe Deeñ Ka Dast-e-Inayat Na Poochho
Samañdar Bhi Itna Kushada Nahi Hai

 

ज़माना बहुत खूबसूरत है लेकिन
मदीने के बाज़ार जैसा नहीं है
सबब इसका ये है के सारी ज़मीं पर
कहीं और आक़ा का रौज़ा नहीं है

 

अज़ानें भी होतीं नमाज़ें भी होतीं
बहुत इल्म होता मगर ये भी होता
नबी के नवासे ना गर्दन कटाते
तो सब कहते इस्लाम ज़िन्दा नहीं है

 

कोई चढ़ते सूरज से कह दे किसी दिन
भरी दोपहर में तुझे देख लूंगा
अभी मेरी आंखें मुक़म्मल नहीं है
अभी उनका दर मैंने देखा नहीं है

 

वो जब चाहे मुश्किल को आसान कर दें
वो जब चाहें मंगतों को सुल्तान कर दें
शहे दीं का दस्त-ए-इनायत न पूछो
समंदर भी इतना कुशादा नहीं है

 

Naat Khwan: Shakeel Arfi

Our Pages

Hamd-E-Baari-T’aala 

Naat-E-Paak         

Rabiul Awwal Mutalliq Kalam

Manqabat Ghaus e Azam

Manqabat Ghareeb Nawaaz

Shayar

Naat Khwan:

         Qawwali