Ya Nabi Salam Alaika Ya Rasool Salam Alaika

Ya Nabi Salam Alaika Ya Rasool Salam Alaika Lyrics

Shayar: Shoa’ra Hazraat Ke Naam Kalaam Ke Saath Diye Gaye Haiñ


اردو میں یا نبی سلام علیک پڑھنے کے لئے یہاں ٹچ کریں

हिन्दी में या नबी सलाम अलैका पढ़िए


1. Hazrat Akbar Ali Shah Warsi 1852- 1953 

Ya Nabi Salam Alaika Ya Rasool Salam Alaika
Ya Habib Salam Alaika salawatullah Alaika

 

Fakhre Aadam Fakhr-e Hawwa, Fakhr-e Nooh o Fakhr-e Yahya
Fakhr-e Ibrahim o Musa, Fakhr-e Ismail o Eesa,

Ya Nabi Salam Alaika Ya Rasool Salam Alaika
Ya Habib Salam Alaika salawatullah Alaika.

 

Rahmatoñ Ke Taaj Wale Do Jahañ Ke Raaj Wale
Arsh Ki Meraj Wale Aasiyoñ Ki Laaj Wale,

Ya Nabi Salam Alaika Ya Rasool Salam Alaika
Ya Habib Salam Alaika salawatullah Alaika.

 

Hai Yeh Hasrat Dar Pe Aayeñ Ashk Ke Dariya Bahayeñ
Daagh Seene Ke Dikhayeñ Samne Hokar Sunayeñ,

Ya Nabi Salam Alaika Ya Rasool Salam Alaika
Ya Habib Salam Alaika salawatullah Alaika.

 

Puri Ya Rab Ye Dua Kar Ham Dar-e Maula Pe Ja Kar
Pahle Kuchh Naateñ Suna kar Yuñ Padheñ Sar Ko Jhuka Kar,

Ya Nabi Salam Alaika Ya Rasool Salam Alaika
Ya Habib Salam Alaika salawatullah Alaika.

 

Baksh Do Jo Cheez Chaaho Kyuñke Mehboob-e Khuda Ho
Ab To Baab-e-Jood Waa Ho Haañ Jawab Iska Aata Ho,

Ya Nabi Salam Alaika Ya Rasool Salam Alaika
Ya Habib Salam Alaika salawatullah Alaika.

 

Ranj o Gham Khaaye Hue Hain Door Se Aaye Hue Hain
Tum Pe Itraaye Hue Hain Haath Phailaye Hue Hain,

Ya Nabi Salam Alaika Ya Rasool Salam Alaika
Ya Habib Salam Alaika salawatullah Alaika.

 

Jaan Kar Kaafi Sahara Le Liya Hai Dar Tumhara
Khalq Ke Waris Khudara Lo Salam Ab To Hamara,

Ya Nabi Salam Alaika Ya Rasool Salam Alaika
Ya Habib Salam Alaika salawatullah Alaika.

 

Haañ Yeh Pura Mudda’aa Ho Ham Hoñ Darbar-e Khuda Ho
Tum Udhar Jalwa-Numa Ho Is Taraf Se Ye Sada Ho,

Ya Nabi Salam Alaika Ya Rasool Salam Alaika
Ya Habib Salam Alaika salawatullah Alaika.

 

Akbar-e Shaida Tumhara, Phir Raha Hai Mara Mara
Ja-Ba-Ja Tum Ko Pukara, Sun Lo Ab Iski Khudara,

Ya Nabi Salam Alaika Ya Rasool Salam Alaika
Ya Habib Salam Alaika salawatullah Alaika

 

Aashiq-e Maayil Ki Suno, Bani-e Mehfil Ki Sun Lo
Saamayiñ Ke Dil Ki Sun Lo, Akbar e Bismil Ki Sun Lo,

Ya Nabi Salam Alaika Ya Rasool Salam Alaika
Ya Habeeb Salam Alaika salawatullah Alaika.

 

Aap Shaah-e Ins o Jaañ Haiñ, Waris e Kaun o Makaañ Haiñ
Rahnuma-e Do Jahañ Haiñ, Peshwa-e Mursalañ Haiñ

Ya Nabi Salam Alaika Ya Rasool Salam Alaika
Ya Habeeb Salam Alaika salawatullah Alaika.

 

Noor-e Rabb-ul-Aalami Ho, Jalwa-e Haqq-ul-Yaqeeñ Ho
Sarwar-e Duniya o Deeñ Ho, Dil Meiñ Aañkhoñ Mein Makeeñ Ho,

Ya Nabi Salam Alaika Ya Rasool Salam Alaika
Ya Habeeb Salam Alaika salawatullah Alaika.

 

Badshah-e Ambiya Ho, Noor-e Zaat-e Kibriya Ho
Haami-e Roz-e Jaza Ho, Khalq Ke Mushkil Kusha Ho

Ya Nabi Salam Alaika Ya Rasool Salam Alaika
Ya Habib Salam Alaika salawatullah Alaika

 

Arsh-e Azam Par Tum Hi Ho Khalq Ke Rahbar Tumhi Ho
Saaqi-e Kausar Tum Hi Ho Shaafa-e Mahshar Tum Hi Ho

Ya Nabi Salam Alaika Ya Rasool Salam Alaika
Ya Habib Salam Alaika salawatullah Alaika

 

Qaabil-e Mad’ho Sana Ho Jo Likhooñ Usse Siva Ho
Aapki Tausif Kya Ho Yaani Mahboob-e Khuda Ho

Ya Nabi Salam Alaika Ya Rasool Salam Alaika
Ya Habib Salam Alaika salawatullah Alaika

 

Door Hai Gham Ka Kinara Sarwar-e Aalam Khudara
Dijiye Jaldi Sahara Paar Ho Beda Hamara,

Ya Nabi Salam Alaika Ya Rasool Salam Alaika
Ya Habib Salam Alaika salawatullah Alaika.

 

Mere Maula Mere Sarwar Hai Yahi Armaan-e Akbar
Pahle Qadmoñ Par Rakhe Sar Phir Kahe Ye Sar Utha Kar,

Ya Nabi Salam Alaika Ya Rasool Salam Alaika
Ya Habib Salam Alaika salawatullah Alaika.
—–

2. Janab Mufti Ahmad Yaar Khan Nayimi Sahab 1904 – 1971 

Aaj Woh Tashreef Laya Jisne Rotoñ Ko Hañsaya
Jisne Jalto Ko Bujhaya Jisne Bigdoñ Ko Banaya

Ya Nabi Salam Alaika Ya Rasool Salam Alaika
Ya Habib Salam Alaika salawatullah Alaika

 

Arsh-e Azam ka Sitara Farsh Waaloñ Ka Sahara
Aamna Bi Ka Dulara Haq Taala Ka Pyaara

Ya Nabi Salam Alaika Ya Rasool Salam Alaika
Ya Habib Salam Alaika salawatullah Alaika

 

Do Jahan Ka Raj wala takht wala Taj wala
Bekasoñ ki Laaj wala sari Duniya Ka Ujala

Ya Nabi Salam Alaika Ya Rasool Salam Alaika
Ya Habib Salam Alaika salawatullah Alaika

 

Tum Bahar e Bagh e Aalam Tum Naveed e Ibn-e Mariyam
Tum Par Qurbañ Saara Alam, Aadam o Aulad-e Aadam

Ya Nabi Salam Alaika Ya Rasool Salam Alaika
Ya Habib Salam Alaika salawatullah Alaika

 

Tum Binaa-e Do Sara Ho Kaaba Wale Ki Dua Ho
Tum Hi sabke Mudda’aa Ho Jaañ Na Kyuñ Tum Par Fida Ho

Ya Nabi Salam Alaika Ya Rasool Salam Alaika
Ya Habib Salam Alaika salawatullah Alaika

 

Aap Hain Wahdat Ke Mazhar Aap Hain Kasrat ke Masdar
Aap Awwal Aap Aakhir Qibla-e Dil Aapka Dar

Ya Nabi Salam Alayka Ya Rasool Salam Alayka
Ya Habib Salam Alayka salawatullah Alayka

 

Aapke Hokar Jiyeñ Ham Naam-e Naami Par Mareñ Ham
Jab Qayamat Mein Utheñ Hain Ham Arz Is Tarha Kareñ Ham

Ya Nabi Salam Alayka Ya Rasool Salam Alayka
Ya Habib Salam Alayka salawatullah Alayka

 

Arz Hai Saalik Ki Aaqa JaañKani Ka Ho Yeh Naksha
Samne Ho Paak Rauza aur Laboñ Par Ho Yeh Kalma

Ya Nabi Salam Alayka Ya Rasool Salam Alayka
Ya Habib Salam Alayka salawatullah Alayka
——

3. Meraj Qadeer Warsi

Aapki Zaat-e Mukarram Baais-e Takhleeq-e Aalam
Aap Par Ay Fakhr-e Aadam Ho Salman-e-Paak Paiham

Ya Nabi Salam Alaika Ya Rasool Salam Alaika
Ya Habeeb Salam Alaika Salatullah Alaika

 

Sub’ho Sadiq Ka Woh Manzar aur Wo Milad-e Payambar
Bulbul-e Sidra Ke Lab Par Tha Ye Naghma Rooh-Parwar

Ya Nabi Salam Alaika Ya Rasool Salam Alaika
Ya Habeeb Salam Alaika Salatullah Alaika

 

Rukhh Bahar-e Sub’h-e Qudrat Zulfe Shabgooñ Shaam-e Jannat
Dil Sara’sar Raaz-e Wahdat Aayina’daar-e Haqiqat

Ya Nabi Salam Alaika Ya Rasool Salam Alaika
Ya Habeeb Salam Alaika Salatullah Alaika

 

Awwal o Aakhir Tumhi Ho Baatin o Zaahir Tumhi Ho
Haziro Nazir Tumhi Ho Deen Ke Naasir Tumhi Ho

Ya Nabi Salam Alaika Ya Rasool Salam Alaika
Ya Habeeb Salam Alaika Salatullah Alaika

 

Barish-e Lutf o Karam Hai Khandazan har Ahl-e Gham Hai
Aamade Shaah-e Umam Hai Ab Jo Kuchh Mil Jaaye Kam Hai

Ya Nabi Salam Alaika Ya Rasool Salam Alaika
Ya Habeeb Salam Alaika Salatullah Alaika

 

Har Taraf Jalwe Numaayañ Har Taraf Sham-e Farozaañ
Arsh Se Taa Bazm-e Imkaañ Hai Charaghañ hi Charaghañ

Ya Nabi Salam Alaika Ya Rasool Salam Alaika
Ya Habeeb Salam Alaika Salatullah Alaika

 

Salsabeel-e Hauz-e Kausar Khuld Ka Har Ik Gul-e-Tar
Arsh o Kursi Maah o Akhter Sab Ke Sab Tum Par Nichhawar

Ya Nabi Salam Alaika Ya Rasool Salam Alaika
Ya Habeeb Salam Alaika Salatullah Alaika

 

Har Sahar Khursheed-e Khaawar Aur Har Shab Maah o Akhtar
Soo-e Rauza Sar Jhuka Kar Arz Karte Haiñ Barabar

Ya Nabi Salam Alaika Ya Rasool Salam Alaika
Ya Habeeb Salam Alaika Salatullah Alaika

 

Kaash Jaag UtThe Muqaddar Kaash Ho Woh Din Mayassar
Sar Jhuka Kar Aastaañ Par Yuñ Kahuñ Ba-Deeda-e-Tar

Ya Nabi Salam Alaika Ya Rasool Salam Alaika
Ya Habeeb Salam Alaika Salatullah Alaika

 

Ba Khuloos o Ba Aqeedat Sab Hain Hazir Pesh-e Khidmat
Ho Qubool Ay Shaah-e Ummat Hadiya-e Ahl-e Mohabbat

Ya Nabi Salam Alaika Ya Rasool Salam Alaika
Ya Habeeb Salam Alaika Salatullah Alaika

 

Ab To Rahmat Ki Nazar Ho Ab To Qismat Ko Bana do
Apne Meraj e Hazeeñ Ko Ab To Rauze Pe Bula Lo

Ya Nabi Salam Alaika Ya Rasool Salam Alaika
Ya Habeeb Salam Alaika Salatullah Alaika


4. Janab Maulana Jamil ur Rahman Qadri  

 

UtTho, Aaya Taj Wala Arsh Ki Aañkhoñ Ka Tara
Sab Kaho Ai Maah-e Taiba Salawatullah Alaika

Ya Nabi Salam Alayka Ya Rasool Salam Alayka
Ya Habib Salam Alayka salawatullah Alayka

 

Aamna Bibi ka Jaya Barahvi tarikh Aaya
Sub’ho Sadiq ne sunaya Salawatullah Alaika

Ya Nabi Salam Alayka Ya Rasool Salam Alayka
Ya Habib Salam Alayka salawatullah Alayka

 

Assalam Ai Jaan-e Aalam Assalam Eeman-e Alam
Shaah-e Deeñ Sultan-e Aalam Salawatullah Alaika

Ya Nabi Salam Alayka Ya Rasool Salam Alayka
Ya Habib Salam Alayka salawatullah Alayka

 

Khatim e Daur e risalat Akhtar e Burj e Hidayat
Faatah-e Baab-e-Shafa’at Salawatullah Alaika

Ya Nabi Salam Alayka Ya Rasool Salam Alayka
Ya Habib Salam Alayka salawatullah Alayka

 

Assalam Ai Shaah-e Aali Assalam Ummat Ke Waali
Arz Karte Haiñ Sawali Salawatullah Alaika

Ya Nabi Salam Alayka Ya Rasool Salam Alayka
Ya Habib Salam Alayka salawatullah Alayka

 

Nooh Ke Tum NaKhuda Ho Khalq Ke Mushkil Kusha Ho
Sab Ke Tum Haajaat Rawa Ho Salawatullah Alaika

Ya Nabi Salam Alayka Ya Rasool Salam Alayka
Ya Habib Salam Alayka salawatullah Alayka

 

Bakhsh Do Meri Khatayeñ Door Hoñ Gham Ki Ghatayeñ
Bhej Do Apni Ataayeñ Salawatullah Alaika

Ya Nabi Salam Alayka Ya Rasool Salam Alayka
Ya Habib Salam Alayka salawatullah Alayka

 

Hooñ Phañsa Afkaar-e Gham Mein Ghir Gaya Ranj o Aalam Meiñ
Deir Kya Ab Hai Karam Meiñ Salawatullah Alaika

Ya Nabi Salam Alayka Ya Rasool Salam Alayka
Ya Habib Salam Alayka salawatullah Alayka

 

Kufr Ko Tumne Mitaya Khaak Meiñ Usko Milaya
Deen Ka Danka Bajaya Salawatullah Alaika

Ya Nabi Salam Alayka Ya Rasool Salam Alayka
Ya Habib Salam Alayka salawatullah Alayka

 

Ab To Taiba Mein Bulalo Hasrateiñ Dil Ki Nikaalo
Apne Badd Ko Bhi Nibha Lo Salawatullah Alaika

Ya Nabi Salam Alayka Ya Rasool Salam Alayka
Ya Habib Salam Alayka salawatullah Alayka

 

Dil Mein Rang Apna Jama Do Parda-e Ghaflat Utha Do
Bhakt-e Khwaveeda Jaga Do Salawatullah Alaika

Ya Nabi Salam Alayka Ya Rasool Salam Alayka
Ya Habib Salam Alayka salawatullah Alayka

 

Jaan Nikle Is Tarah Par Aap Ka Dar Ho Mera Sar
Samne Ho Qabr-e Anwar Salawatullah Alaika

Ya Nabi Salam Alayka Ya Rasool Salam Alayka
Ya Habib Salam Alayka salawatullah Alayka

 

JaañKani Ke Waqt Aana Kalma-e Tayyab Padhana
Chehra-e Anwar Dikhana Salawatullah Alaika

Ya Nabi Salam Alayka Ya Rasool Salam Alayka
Ya Habib Salam Alayka salawatullah Alayka

 

Ai Shafi-e Roz-e Mahshar Haiñ Siyah Isiyaan Se Daftar
Ghaus Ka Sadqa Karam Kar Salawaatullah Alaika

Ya Nabi Salam Alayka Ya Rasool Salam Alayka
Ya Habib Salam Alayka salawatullah Alayka

 

Kuch na ki humne kamayi umr sab Yuñ Hi Gañwaayi
Ai Arab wale duhaai Salawaatullah Alaika

Ya Nabi Salam Alayka Ya Rasool Salam Alayka
Ya Habib Salam Alayka salawatullah Alayka

 

Hashar Mein Tum bakhshwana Apne Daman Mein chhupana
Har musibat Se bachana Salawaatullah Alaika

Ya Nabi Salam Alayka Ya Rasool Salam Alayka
Ya Habib Salam Alayka salawatullah Alayka

 

Aye Shahenshah risalat Hain Yahañ Jo Ahl-e Sunnat
Taa-Abad Sab par Ho Rahmat Salawaatullah Alaika

Ya Nabi Salam Alayka Ya Rasool Salam Alayka
Ya Habib Salam Alayka salawatullah Alayka

 

Deen Ka Ho Bol-Bala Sunniyon ka Rakh Ujala
Dushmanoñ Ka Munh Ho Kala Salawaatullah Alaika

Ya Nabi Salam Alayka Ya Rasool Salam Alayka
Ya Habib Salam Alayka salawatullah Alayka

 

Baani-e Mahfil Ki Aaqa iltija Maqbool Farma
Puri Ho Har Ik Tamanna Salawaatullah Alaika

Ya Nabi Salam Alayka Ya Rasool Salam Alayka
Ya Habib Salam Alayka salawatullah Alayka

 

Is Jamil-e Qadri Par Ho Karam Mahboob-e Daavar
Chashm o Dil Kar Do Munavvar Salawaatullah Alaika

Ya Nabi Salam Alayka Ya Rasool Salam Alayka
Ya Habib Salam Alayka salawatullah Alayka
—–

5. Janab Burhaan ul Haq Jabalpuri Sahab 1892-1985 

Assalam Ai Noor-e Rahmat Assalam Ai Shaan-e Rif’at
Assalam Ai Jaan-e Millat Assalam Eeman-e Ummat

Ya Nabi Salaam Alayka Ya Rasool Salaam Alayka
Ya Habib Salaam Alayka salawatullah Alayka

 

Jibraeel Aaye Hain Dar par Rab Ka Kuchh paigham lekar
Aaye Hain Mahboob-e Daawar Haq Ka Ab Mehman Ban Kar

Ya Nabi Salaam Alayka Ya Rasool Salaam Alayka
Ya Habib Salaam Alayka salawatullah Alayka

 

Khwaab Shah Farma Rahe Hain Aur Malaayak Aa Rahe Hain
Talwe Woh Sahla Rahe Hain Aur Kahte Jaa Rahe Hain

Ya Nabi Salaam Alayka Ya Rasool Salaam Alayka
Ya Habib Salaam Alayka salawatullah Alayka

 

Barq Tha Buraaq Kya Tha ik Qadam Aqsa Meiñ Pahuñcha
Har Nabi Tha Dast-Basta Aur Zubaañ Par Tha Ye Naara

Ya Nabi Salaam Alayka Ya Rasool Salaam Alayka
Ya Habib Salaam Alayka salawatullah Alayka

 

Maalik-e Mulk-e Shafa’at Sayyad-e Yaum-e Qayamat
Nayyar-e Burj-e Sa’aadat Gauhar-e Darj-e Sayaadat

Ya Nabi Salaam Alayka Ya Rasool Salaam Alayka
Ya Habib Salaam Alayka salawatullah Alayka

 

Rahmatoñ ka Taj Unka Do Jahan Pe Raj Unka
Saaj Tha Meraj Unka Rabb-e Sallim Baaj Unka

Ya Nabi Salaam Alayka Ya Rasool Salaam Alayka
Ya Habib Salaam Alayka salawatullah Alayka

 

Mazhar-e Awwal wa Aakhir Rahmat-e Baatin wa Zaahir
Pesh o Pas Nigran o Naazir Ham Salaami Ko Hain Hazir

Ya Nabi Salaam Alayka Ya Rasool Salaam Alayka
Ya Habib Salaam Alayka salawatullah Alayka

 

Apne Girtoñ Ko Sañbhalo Nafs o Shaitañ Se Chhuda Lo
Apna hi Banda Bana Lo Naar-e Dozakh Se Bacha Lo

Ya Nabi Salaam Alayka Ya Rasool Salaam Alayka
Ya Habib Salaam Alayka salawatullah Alayka

 

Kufr Ke Pahle The Phere Shirq Tha Alam Ko Ghere
Phaile Jab Anwaar Tere Mit Gaye Saare Andhere

Ya Nabi Salaam Alayka Ya Rasool Salaam Alayka
Ya Habib Salaam Alayka salawatullah Alayka

 

Aap Se Sara Jahañ Hai Apka Kaun o Makañ Hai
Jo Ayañ Hai Aur Nihañ Hai Unki Rahmat ka Nishañ hai

Ya Nabi Salaam Alayka Ya Rasool Salaam Alayka
Ya Habib Salaam Alayka salawatullah Alayka

 

Daavar-e Mahshar Ke Aage Parda Mera Khul Na Jaaye
Apne Daaman Mein Chhupa Le Main Teri Rahmat Ke Sadqe

Ya Nabi Salaam Alayka Ya Rasool Salaam Alayka
Ya Habib Salaam Alayka salawatullah Alayka

 

Makhzan-e Jood o Sakhawat Mamba-e Rushd o Hidayat
Marja-e Sidq o Adaalat Maalik-e Shar ‘o Sayaadat

Ya Nabi Salaam Alayka Ya Rasool Salaam Alayka
Ya Habib Salaam Alayka salawatullah Alayka

 

Banda-e Be-Daam Burhaañ Tham Kar Murshid ka Daamañ
Sharm Se Nalaañ o Giriyañ Apni Bakshish Ka Hai Khwahaañ

Ya Nabi Salaam Alayka Ya Rasool Salaam Alayka
Ya Habib Salaam Alayka salawatullah Alayka

—–

6. Verses From Various Poets

Aap Ka Tashreef Lana Waqt Bhi Kitna Suhana
Jagmaga UtTha Zamana Hooreñ Gaati Theeñ Tarana

Ya Nabi Salaam Alaika Ya Rasool Salaam Alaika
Ya Habib Salaam Alaika Salawatullah Alaika

 

Aap Sultan-e Madina Rahmatilullil Aalameena
Ya Shafi’al Muznabeena Thamiye Mera Safeena

Ya Nabi Salaam Alaika Ya Rasool Salaam Alaika
Ya Habib Salaam Alaika Salawatullah Alaika

 

Kaash Haasil Ho Huzuri Door Ho Jaye Ye Doori
Dekh Looñ Woh Shakl-e Noori Dil Ki Hasrat Ho Ye Poori

Ya Nabi Salaam Alaika Ya Rasool Salaam Alaika
Ya Habib Salaam Alaika Salawatullah Alaika

 

Aakhri Lamhe Jab Aayeñ Kaash Woh Tashrif Laayeñ
Apne Jalwoñ Meiñ Gumayeñ Jhoom Kar Ham Gungunayeñ

Ya Nabi Salaam Alaika Ya Rasool Salaam Alaika
Ya Habib Salaam Alaika Salawatullah Alaika

 

Tum Habib-e Kibriya Ho Aur Imaam ul Ambiya Ho
Do Jahan Ke Peshwa Ho Shaafa-‘e Roz-e Jaza Ho

Ya Nabi Salaam Alaika Ya Rasool Salaam Alaika
Ya Habib Salaam Alaika Salawatullah Alaika

 

Marz-e Isiyañ Ko Mitaana Nek Mujhko Tum Banana
Raah-e Sunnat Par Chalaana Apni Ulfat Meiñ Gumaana

Ya Nabi Salaam Alaika Ya Rasool Salaam Alaika
Ya Habib Salaam Alaika Salawatullah Alaika

 

Karbala Waaloñ Ka Sadqa Naaz Se Paaloñ Ka Sadqa
Dukh Bhare Naaloñ Ka Sadqa Bheek Do Laaloñ Ka Sadqa

Ya Nabi Salaam Alaika Ya Rasool Salaam Alaika
Ya Habib Salaam Alaika Salawatullah Alaika

 

Tum Shafi-‘ul Muznabeeñ Ho Sarwar-e Duniya o Deeñ Ho
Saadiq-ul Wa’ado Ameeñ Ho Rahmatilullil Aalameeñ Ho

Ya Nabi Salaam Alaika Ya Rasool Salaam Alaika
Ya Habib Salaam Alaika Salawatullah Alaika

 

Mustufa Khair-ul-Wara Ho Sarwar-e Har Do Sara Ho
Apne Achchhoñ Ka Tasadduq Hum Badoñ Ko Bhi Nibhaao

Ya Nabi Salaam Alaika Ya Rasool Salaam Alaika
Ya Habib Salaam Alaika Salawatullah Alaika

 

Az Tufail-e Ghaus-e Aazam Ganj Bakhsh-e Faiz-e Aalam
Sadqa-e Imaam-e Aazam Door Hoñ Sabhi Ke Ranj o Gham

Ya Nabi Salaam Alaika Ya Rasool Salaam Alaika
Ya Habib Salaam Alaika Salawatullah Alaika

 

Vaasta Gaus-ul Varaa Kaa, Vaasta Khwaja Piya Ka,
Vaasta Kul Auliya Ka, Gham Na Ho Roz-e Jaza Kaa

Ya Nabi Salaam Alaika Ya Rasool Salaam Alaika
Ya Habib Salaam Alaika Salawatullah Alaika

 

Rahmatal Lil Aalameena, Ho Ataa Aisa Qareena
Dekh Kar Meetha Madina, Ishq Meiñ Pad Jaaye Seena

Ya Nabi Salaam Alaika Ya Rasool Salaam Alaika
Ya Habib Salaam Alaika Salawatullah Alaika

 

Jashn-e-Milad un Nabi Hai, Noor Ki Chaadar Tani Hai
Raushni Hi Raushni Hai, Har Taraf Ye Doom Machi Hai

Ya Nabi Salaam Alayka Ya Rasool Salaam Alayka
Ya Habib Salaam Alayka salawatullah Alayka

 

Rooh Jab Tan Se Juda Ho, Maah-e Ramzañ Din Juma Ho
Dopahar Se Din Dhala Ho, Lab Pe Jaari Yeh Sada Ho

Ya Nabi Salaam Alayka Ya Rasool Salaam Alayka
Ya Habib Salaam Alayka salawatullah Alayka

 

Aye Shahenshah-e Zamaana, Apka Yeh Aastana
Rahmatoñ Ka Hai Khazana, Ho Nigaah-e Mehrbana

Ya Nabi Salaam Alayka Ya Rasool Salaam Alayka
Ya Habib Salaam Alayka salawatullah Alayka

 

Ye Karam Shaah-e Zaman Ho, Khaali Rooh Se Jab Badan Ho
Aap Ke Shaher Ka Kafan Ho, Aur Madine Mein Dafan Ho

Ya Nabi Salaam Alayka Ya Rasool Salaam Alayka
Ya Habib Salaam Alayka salawatullah Alayka

 

Aye Mere Maula Ke Pyare, Noor Ki Aañkhoñ Ke Taare
Ab Kise Sayyad Pukaare, Hum Tumhare Tum Hamare

Ya Nabi Salaam Alayka Ya Rasool Salaam Alayka
Ya Habib Salaam Alayka salawatullah Alayka

 

Waasta Aal o Aba Ka, Sadqa Hazrat Fatima Ka
Aur Shaheed-e Karbala Ka, Gham Na Ho Roz-e Jaza Ka

Ya Nabi Salaam Alayka Ya Rasool Salaam Alayka
Ya Habib Salaam Alayka salawatullah Alayka

 

Ashrafi Shaida Tumhara, Ashrafi Aaqa Hamara
Karke Duniya Se Kinaara, Rakhta Hai Tumse Sahara

Ya Nabi Salaam Alayka Ya Rasool Salaam Alayka
Ya Habib Salaam Alayka salawatullah Alayka

 

Hashar Meiñ Sarkar Aana, Mere Aiboñ Ko Chhupaana
Apne Rab Se Bakhshwaana, Saath Jannat Meiñ Basaana

Ya Nabi Salaam Alayka Ya Rasool Salaam Alayka
Ya Habib Salaam Alayka salawatullah Alayka

 

Ai Habib-e Rabb-e Daawar Az-Paye Siddiq-e Akbar
Az Paye Usman o Haidar Chashm-e Tar Do Qalb-e Muztar

Ya Nabi Salaam Alayka Ya Rasool Salaam Alayka
Ya Habib Salaam Alayka salawatullah Alayka

  • Comment में राय दीजिए
  • Share कीजिए

Hindi And English lyrics

Naat-E-Paak|

Khalid Mahmud ‘Khalid’ Ajmal Sultanpuri Naat  | Ala Hazrat Naat | Akhtar Raza Khan| Raaz Ilaahabadi | Muhammad Ilyas Attari | Sayyad Nazmi Miyan

 

Qawwali |

Sabri Brothers | Nusrat Fateh Ali Khan | Rahat Fateh Ali Khan | Iqbal Afzal Sabri | Aziz Miyañ |Nazir Ejaz Faridi |  Ghous Muhammad Nasir | Maulvi Ahmad Hasan |

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *