Ya Ilahi Badnigahi Ki Lyrics | Umar Farooq Nakshbandi

Ya Ilahi Badnigahi Ki Nahusat Se Bacha Lyrics By Umar Farooq Nakshbandi 

 

 

Ya Mola…….

Ya Ilahi Ya Ilahi
Ya Ilahi Ya Ilahi

 

Ya Ilahi Badnigahi Ki Nahusat Se Bacha
Be qarari, Be Sukooni Ki Aziyat Se Bacha.

 

Mutaqqi Ban-ne Haa’il Ye Mobile Ki Lagan
Ma’asiyat Ko Khair Samjhuñ Aisi Khalwat Se Bacha.

 

Ya Ilahi Badnigahi Ki Nahusat Se Bacha
Be qarari, Be Sukooni Ki Aziyat Se Bacha

 

Mubtla-e-Gham Na Ho Dil Husn-e-Faani Ke Liye
Ghair Mahram Se Ta’alluq Ki Hamaqat Se Bacha.

 

Ya Ilahi Badnigahi Ki Nahusat Se Bacha
Be qarari, Be Sukooni Ki Aziyat Se Bacha

 

Shauq-e-Taqba, Khauf-e-Uqba, Ishq-e-Aaqa Chahiye
Door Kar De Mujhko Tujhse, Aisi Nemat Se Bacha.

 

Ya Ilahi Badnigahi Ki Nahusat Se Bacha
Be qarari, Be Sukooni Ki Aziyat Se Bacha

 

Na Muballigh, Na Musannif, Na Mujahid Ban Saka
Mere Palle Kuchh nahi Hai Apni Rahmat Se Bacha.

 

Ya Ilahi Badnigahi Ki Nahusat Se Bacha
Be qarari, Be Sukooni Ki Aziyat Se Bacha

 

Nafs-o-Shaitañ Ke Taqaaze Mustarid Karta Rahuñ
(رَبِّ إِنِّي أَعُوذُ بِكَ مِنْ هَمَزَاتِ الشَّيَاطِينِ •
“Raabi inni aoozu bika min hamazaatish-shayateen”)

 

Nafs-o-Shaitañ Ke Taqaaze Mustarid Karta Rahuñ
Roze Mahshar Ki Sharamsari o Zillat Se Bacha.

 

Ya Ilahi Badnigahi Ki Nahusat Se Bacha
Be qarari, Be Sukooni Ki Aziyat Se Bacha

 

Recited by: Umar Farooq Nakshbabdi
Poet: Hudhud Ilahbadi

 

Our Pages

Hamd-E-Baari-T’aala 

Naat-E-Paak         

Rabiul Awwal Mutalliq Kalam

Manqabat Ghaus e Azam

Manqabat Ghareeb Nawaaz

Shayar

Naat Khwan:

         Qawwali