Ya Fatima Nauha Lyrics 2024 | Mesum Abbas

Ya Fatima Nauha Lyrics | Mesum Abbas

 

Ya Fatima …….

Ya…………. Fatima Zehra

 

Assalam Alaika Ya Fatima Az Zehra

Ya Fatima Salam Ullah Alaiha

 

Tumne Hamko Na Bhulaya

Hamne Tumko Na Bhulaya

 

Ya Fatima Salam Ullah Alaiha

Ya Fatima Salam Ullah Alaiha

Ya Fatima Salam Ullah Alaiha

 

Tujhpe Shahzadi-e-Kaunain Meri Jaan Fida

Kya Mila Tujhko Zamane Se Masa’ib Ke Siwa

Baad Paighamber-e-Islam Hui Aur Jafa

Chhini Jaati Hai Fidaq Kaabe Ka Wirsa Na Diya

Tujhko Jhuthlaya Gaya Kitna Tadpaaya Gaya

Haye Afsos Muhammad Ka Chaman Loot Liya

 

Ya Fatima Salam Ullah Alaiha

Ya Fatima Salam Ullah Alaiha

Ya Fatima Salam Ullah Alaiha

 

Wo Jo Rahte The Shifa’at Ke Talawgar Sabhi

Aa Gaye Ghar Ko Jalane Wo Sitamgar Sabhi

Tune Aayat Suna Diñ Sar-e-Darbar Sabhi

Fir Bhi Jhutlate Rahe Tujhko Gunahgar Sabhi

Tune Jab Nahua Kiya Hasti-e-Ahle Jafa

Aur Quraan Ki Aayat Ne Ye Bain Kiya

 

Ya Fatima Salam Ullah Alaiha

Ya Fatima Salam Ullah Alaiha

Ya Fatima Salam Ullah Alaiha

 

Pasliyañ Toot Gayi Jalta Hua Dar Jo Gira

Aur Mohsin Ki Shahadat Ka Tujhe Dard Mila

Roye Is Baat Pe Haider Jo Tujhe Gusl Diya

Ta Dam-e-Margh Tera Haath Na Pahlu Se Hata

Kyun Chhupaya Tha Bhala Tune Ye Zakhm-e- Jafa

Tere Baad Isi Baat Pe Hun Mahav-e-Buqa

 

Ya Fatima Salam Ullah Alaiha

Ya Fatima Salam Ullah Alaiha

Ya Fatima Salam Ullah Alaiha

 

Wo Chali Jaye To Lagta Hai Khuda Rooth Gaya

Sayebañ Koi Nahi Duniya Me Madar Ke Bada

Meri Bibi Teri Mayyat Pe Ye Betoñ Ne Kaha

Neend Raaton Ki Gayi Aapka Saya Jo Utha

Hamko Tadpao Nahi Chhor Ke Jao Nahi

Ab Kahan Payenge Ham Aapke Aanchal Ki Hawa

 

Ya Fatima Salam Ullah Alaiha

Ya Fatima Salam Ullah Alaiha

Ya Fatima Salam Ullah Alaiha

 

Main Tere Naam Ki Tasveeh Jo Padhta Hun Kabhi

Khooñ Rulaati Hai Mujhe Teri Musibat Bibi

Ho Ibadat Ho Musalle Pe Teri Nauha Gari

Haath Ik Pahlu Pe Ek Se Tasveeh Padhi

Ho Ruku Aur Suzu Teri Ghurwat Pe Duru

Is Aziyat Pe Namazen Na Huyi Teri Qaza

 

Ya Fatima Salam Ullah Alaiha

Ya Fatima Salam Ullah Alaiha

Ya Fatima Salam Ullah Alaiha

 

Ek Pal Ko Bhi Tere Gham Ko Na Main Bhool Saka

Teri Marqad Ka Suna Phir Main Waqiya Pahuncha

Wo Udaasi Wo Andhera Wo Sitamgar Fiza

Haye Marqad Ki Alamat Ko Bhi Rahne Na Diya

Rauza Ban Jaye Tera Ye Hai Arman Mera

Phir Wahan Jayen Ziyarat Ko Sabhi Ahle Aza

 

Ya Fatima Salam Ullah Alaiha

Ya Fatima Salam Ullah Alaiha

Ya Fatima Salam Ullah Alaiha

 

Reciter: Mesum Abbas

Poet: Mazhar Abidi

 

Our Pages


Manqabat Shahidan e Karbala Nohey Lyrics 

Manqabat Mola Ali As Lyrics 

Manqabat Imam Hussain As Lyrics

Manqabat Bibi Sakina Sa Lyrics 

Manqabat Bibi Fatima Sa Lyrics 

Manqabat Mola Abbas As Lyrics 

 

Noha Khwan

Farhan Ali Waris

Mesum Abbas

Mir Hasan Mir 

Nadeem Sarwar