Woh suye lalazaar phirte hain

Woh suye lalazaar phirte hain

Woh suye lalazaar phirte hain

Shayar: Ala Hazrat  | Naat e Paak

Naat Khwan:  Owais Raza Qadri, Junaid Shaikh Attari, Tasleem Raza Bareilly, Dr Nisar Ahmad Marfani, Ehsan Shakir, Hafiz Ahmad Raza Qadri, Nadeem Raza Faizi,

Hadaaiqe Bakhshish part 1

 

Woh suye lalazaar phirte hain
Tere din aye bahaar firte hain
वो सुए लाला ज़ार फिरते हैं
तेरे दिन ऐ बहार फिरते हैं

Jo tere dar se yaar phirte hain
Dar ba dar yun hi khwaar firte hain
जो तेरे दर से यार फिरते हैं
दर बा दर यूं ही ख्वार फिरते हैं

Aah kal aish to kiye hum ne
Aaj woh be karaar firte hain
आह कल ऐश तो किया हमनें
आज वह बेकरार फिरते हैं

Unke imaan se dono(n) baagho(n) par
Khaile lailo nahaar firte hain
उनके ईमां से दोनो बाघों पर
खेले लैलौ नहार फिरते हैं

Har charagey mazaar par qudsi
Kaise parwana waar firte hain
हर चराग़े मजा़र पर क़ुदसी
कैसे परवाना वार फ़िरते हैं

Us gali ka gada hoon main jisme
Maangte tajdaar firte hain
उस गली का गदा हूं मैं जिसमें
माँगते ताजदार फिरते हैं

Jaan hain jaan kya nazar aaye
Kyun adu girde gaar firte hain
जान है जान क्या नज़र आये
क्यों अदू ग़िर्दे ग़ार फिरते हैं

Phool kya dekhu meri aankhon mein
Dashte Taiba ke khaar firte hain
फ़ूल क्या देखूँ मेरी आँखों में
दश्ते तैबा के खार फ़िरते हैं

Laakhon qudsi hain kaame khidmat par
Laakhon girde mazaar firte hain
लाखों क़ुदसी हैं कामें ख़िदमत पर
लाखों गिर्दे मज़ार फिरते हैं

Wardiyaa(n) bolte hain harkaare
Pehra dete sa-waar firte hai
वर्दीयां बोलते हैं हरकारे
पहरा देते सवार फिरते हैं

Rakhiye jaise hain khanazaad hain hum
Mol ke aibdaar firte hain
रखिये जैसे हैं खानज़ादे हैं हम
मोल के ऐब दार फिरते हैं

Haaye gaafil woh kya jagah hai jaha(n)
Paanch jaate hain chaar firte hain
हाय ग़ाफिल वह क्या जगह है जहाँ
पाँच जाते हैं चार फिरते हैं

Baaye raste na ja musaafir sun
Maal hai raah-maar firte hain
बायें रस्ते ना जा मुसाफिर सुन
माल है राह मार फिरते हैं

Jaag sunsaan ban hai raat aayi
Gurg bahre shikaar firte hain
जाग सूनसान वन है रात आई
ग़र्ज बहरे शिकार फिरते हैं

Nafs ye koi chaal hai zaalim
Jaise khaase bijaar firte hain
नफ़्स ये कोई चाल है ज़ालिम
जैसे खासे बिजार फ़िरते हैं

Koi kyun pooche teri baat Raza
Tujhse kutte hazaar firte hain
कोई क्यों पूछें तेरी बात रज़ा
तुझसे कुत्ते हज़ार फिरते हैं

Hindi and english lyrics
Hindi and english lyrics


| Naat-E-Paak |  Ajmal Sultanpuri Naat  | Ala Hazrat Naat

| Qawwali | Sabri Brothers || Rahat Fateh Ali Khan | 

| Sufi Song  | Khailash Kher |

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *