Usman Ke Laal Aapka Darbar Hai Aali Ajmer Ke Waali Lyrics
Qawwal : Nusrat Fateh Ali Khan
हिन्दी लिरिक्स
Usmañ Ke Laal Aapka Darbar Hai Aali
Usmañ Ke Laal Aapka Darbar Hai Aali
Ajmer Ke Waali
Saayil Tere Darbaar Se Jaata Nahi Khaali
Ajmer Ke Waali.
Tum Ibn-e Ali Fatima Zahra Ke Dulaare
Hasnain Ke Pyaare
Waliyoñ Se Tu Ne Paayi Hai Kya Shaan Niraali
Ajmer Ke Waali.
Tum Naayib-e Rasool Ho Ai Hind Ke Raja
Ajmer Ke Khwaja
Khush Waqt Hai Wo Jispe Nazar Tu Ne Hai Daali
Ajmer Ke Waali.
Dede Mujhe Kuch Waali-e Baghdad Ka Sadqa
Ajdaad Ka Sadqa
Bhar Dijiye Yeh Daaman-e Ummeed Hai Khaali
Ajmer Ke Waali.
Jaisa Bhi Huñ Tera Huñ, Bura Hooñ Ya Bhala Hooñ
Tukdoñ Pe Pala Huñ
Jaisa Bhi Huñ Tera Hooñ ..
Jaisa Bhi Huñ Tera Hooñ ..
Ya Khwaja Maharaja …
Jaisa Bhi Huñ Tera Hooñ ..
Huñ Gunahgaar Beshak Maiñ Hooñ To Tera Banda
Tu Agar Mujhe Nibha Le Teri Banda Parwari Hai
Ya Khwaja Maharaja …
Jaisa Bhi Huñ Tera Hooñ ..
Tera Gham Meri Masarrat Tera Dard Zindagi Hai
Tu Karam Se Jo Bhi Dede Teri Banda-Parwari Hai
Ya Khwaja Maharaja …
Jaisa Bhi Huñ Tera Hooñ ..
Acha Nahi Khota Hooñ Maiñ Khote Ko Nibhaa Le
Gar Tum Na Sambhaalo To Mujhe Kaun Sambhaale.
More, Khwaja Maharaja …
Jaisa Bhi Huñ Tera Hooñ ..
Ye Maan Liya Laayiq-e Darbaar Nahi Maiñ
Ye Bhi Na Sahi Qaabil-e Deedar Nahi Maiñ
Har Chand Agar Aapke Darkaar Nahi Maiñ
Kya Banda Bhi Tera Meri Sarkaar Nahi Maiñ
Ya Khwaja Maharaja …
Jaisa Bhi Huñ Tera Hooñ ..
Jaisa Bhi Huñ Tera Huñ Bura Hooñ Ya Bhala Hooñ
Tukdoñ Pe Pala Huñ
Kyuñ Jaaye Kisi Dar Pe Tere Dar Ka Sawaali
Ajmer Ke Waali.
Darshan Ko Tarasti Huñ More Bhaag Jagaao
Ajmer Bulaao
Choomuñ Maiñ Tere Roza-e Anwaar Ki Jaali
Ajmer Ke Waali.
Dhun Hai Ke ‘Naseer’ Aapke Darbaar Meiñ Pahuñche
Sarkar Meiñ Pahuñche
Lekar Dar-e Aqdas Pe Woh Ikhlaas Ki Daali
Ajmer Ke Waali.
Dede Mujhe Kuch Waali-e Baghdad Ka Sadqa
Ajdaad Ka Sadqa
Bhar Dijiye Yeh Daaman-e Ummeed Hai Khaali
Ajmer Ke Waali.
Usmañ Ke Laal Aapka Darbar Hai Aali
Ajmer Ke Waali…
- Comment में राय दीजिए
- Share कीजिए
Hindi And English lyrics
| Qawwali |
| Sabri Brothers | Nusrat Fateh Ali Khan | Rahat Fateh Ali Khan | Iqbal Afzal Sabri | Aziz Miyañ | Ghous Muhammad Nasir
| Naat-E-Paak|
| Khalid Mahmud ‘Khalid’ | Ajmal Sultanpuri Naat | Ala Hazrat Naat | Akhtar Raza Khan| Raaz Ilaahabadi | Muhammad Ilyas Attari | Sayyad Nazmi Miyan