Unki Aankhon Se Masti Barasti Rahe lyrics
Qawwal : Aziz Miyan
Maza Barsat Ka Chaho Meri Aankhon Mein Aa Baitho
Safedi Hai, Seyahi Hai, Shafaq Hai, Abr-e Baarañ Hai
Maza Barsat Ka Chaho Meri Aankhon Mein Aa Baitho
Wo Barsoñ Mein Kahin Barse Ye Barson Se Barasti Hai
Unki Aankhon Se Masti Barsati Rahe
Unki Aankhon Se Masti Barsati Rahe
Hosh Udte Raheñ Daur Chalta Rahe
Unki Aankhoñ .. Aankhon Se..
unki aankhoñ mein pinhaañ ishq ka anjaam hai
Unki Aankhoñ .. Aankhon Se..
Unki Aankhon Se Masti Barsati Rahe
Hosh Udte Raheñ Daur Chalta Rahe
Raqs-e Tauba Kare Jaam-e Billaur Mein
Rind Peete Raheñ Shaikh Jalta Rahe
Ishq Mein Zindagi Ka Maza Hai Yahi
Aashiq-e Zaar Pahlu Badalta Rahe
Yun Hi Ghadiyaañ Shab-e Gham Ki KaTti Raheñ
Yaad Aate Raho Dil Bahilta Rahe
Yun Hi Ghadiyaañ Shab-e Gham Ki KaTti Raheñ ..
mahine vasl ke guzar jaate hain ghadiyon meiñ
magar ghadiyañ judaai ki guzarti hain mahinoñ mein
Yun Hi Ghadiyaañ Shab-e Gham Ki KaTti Raheñ
Yaad Aate Raho Dil Bahilta Rahe..
royenge dekh kar wo bistar ki har shikan ko
woh baab likh chala huñ karvat badal badal kar
Yun Hi Ghadiyaañ Shab-e Gham Ki KaTti Raheñ
Yaad Aate Raho Dil Bahilta Rahe ..
tadapte mujhe raat bhar ho gayi
chale aao ab to sahar ho gayi
Yuñ Hi Ghadiyaañ Shab-e Gham Ki KaTti Raheñ
Yaad Aate Raho Dil Bahilta Rahe ..
bus ab chhupne ko hain taare agar aate to aa jaate
agar woh darmiyaañ waale na bahkaate to aa jaate
Yun Hi Ghadiyaañ Shab-e Gham Ki KaTti Raheñ
Yaad Aate Raho Dil Bahilta Rahe ..
bus ab chhupne ko hain taare agar aate to aa jaate
agar woh darmiyaan waale na bahkaate to aa jaate
basar hoti hain unki aish mein raten woh kyon aayeñ
agar furkat ke sannatoñ se ghabrahat to aa jaate
kaha jab maine unse woh kahan hain aapki qasmeñ
to farmaya agar sacchi kasam khate to aa jaate
Yun Hi Ghadiyaañ Shab-e Gham Ki KaTti Raheñ
Yaad Aate Raho Dil Bahilta Rahe
Zindagi Hai Hamari Tumhara Karam ..
Zindagi Hai Hamari Tumhara Karam ..
tere karam se meri salamat hai zindagi
tera karam na ho to qayamat hai zindagi
Zindagi Hai Hamari Tumhara Karam ..
Zindagi Hai Hamari Tumhara Karam ..
le le ke tera naam jiye ja raha hun main
sach poochhiye to teri badaulat hai zindagi
Zindagi Hai Hamari Tumhara Karam ..
Zindagi Hai Hamari Tumhara Karam ..
badal ke rakh diya unvaan-e zindagi maine
pahan liya hai libas-e qalandari maine
Zindagi Hai Hamari Tumhara Karam ..
Zindagi Hai Hamari Tumhara Karam ..
Zindagi Hai Hamari Tumhara Karam
Tum Raho Meharbañ To Nahin Koi Gham
Hum Se Badlo Na Tum Tumse Badleñ Na Hum
Roz, Chaaheñ Zamana Badalta Rahe
Tum Mere Samne Aao To Is Tarah ..
Tum Mere Samne Aao To Is Tarah ..
ashiq ko dekhte hain dupatte ko taan kar
dete hain humko sharbat deedar chhaan kar
Tum Mere Samne Aao To Is Tarah ..
Tum Mere Samne Aao To Is Tarah ..
Tum Mere Samne Aao To Is Tarah
Tera Parda Rahe Mujhko Deedar Ho
Aap Ban Ban Ke Chilman Mein Baitha Kareñ
Husn Chhan Chhan Ke Baahar Nikaltaa Rahe
Baad Muddat Ke Uthi Hai Kaali Ghata ..
Baad Muddat Ke Uthi Hai Kaali Ghata ..
woh na aayeñge kabhi dekh ke kale badal
do ghadi ke liye allah hata le badal
Baad Muddat Ke Uthi Hai Kaali Ghata ..
Baad Muddat Ke Uthi Hai Kaali Ghata ..
aye abr-e karam zara tham ke baras
itna na na baras ke woh aana sakeñ
woh a jaaye to jam ke baras
aur itna baras ke woh ja na sakeñ
Baad Muddat Ke Uthi Hai Kaali Ghata ..
Baad Muddat Ke Uthi Hai Kaali Ghata ..
yeh kali ghataen ye kafir hawayeñ
chali aayiñ tanha unhen bhi to layeñ
Baad Muddat Ke Uthi Hai Kaali Ghata ..
Baad Muddat Ke Uthi Hai Kaali Ghata ..
ghataaeñ jhoom kar aayi to haiñ sahn-e gulistañ mein
kahin pani na pad jaaye tumhare ahd o paima par
Baad Muddat Ke Uthi Hai Kaali Ghata ..
Baad Muddat Ke Uthi Hai Kaali Ghata ..
Baad Muddat Ke Uthi Hai Kaali Ghata
Maikashoñ Ko Pila Aur Paiham Pila
Maikada Tera Saaqi Salamat Rahe
Aaj To Jaam Per Jaam Chalta Rahe
- Comment में राय दीजिए
- Share कीजिए
Hindi And English lyrics
| Naat-E-Paak|
| Khalid Mahmud ‘Khalid’ | Ajmal Sultanpuri Naat | Ala Hazrat Naat | Akhtar Raza Khan| Raaz Ilaahabadi | Muhammad Ilyas Attari | Sayyad Nazmi Miyan
| Qawwali |
| Sabri Brothers | Nusrat Fateh Ali Khan | Rahat Fateh Ali Khan | Iqbal Afzal Sabri | Aziz Miyañ |Nazir Ejaz Faridi | Ghous Muhammad Nasir | Maulvi Ahmad Hasan |