Tum faiz o karam ke sagar ho khwaja lyrics

Tum faiz o karam ke sagar ho khwaja lyrics

 

Apni khidmat ka tum is tarha sila dete ho
Khud bhi dete ho khuda se bhi dila dete ho

 

Aur jise chaho use haq se mila dete ho
Apne khadim ko tum makhdoom bana dete ho

 

Aisa daani koi nahin hai jaise tum ho khwaja
Kar liya tumne apne dhan me sab mangton ka saaja

 

Maangte hain sab tum se aa kar parja ho ya chahen raja
Tum faiz o karam ke sagar ho khwaja

 

Ibne gani ho, ibne sakhi ho tum duniya ke data
Tumre dware jo bhi aata wo khaali nahin jaata

 

Waliyan ke tum wali ho khwaja, Raajan ke maharaja
Tum faiz o karam ke sagar ho khwaja

 

Laqab ata e rasool hein khwaja ye hai shaan tumhari
Ik pal me ban jaaye Raja aapke dar ka bhikari

 

Tumre faiz ka hind me khwaja dhol langara baaja
Tum faiz o karam ke sagar ho khwaja

 

Itne lago tum sundar khwaja tumari karun mai pooja
Jaise dyaloo tum ho khwaja aisa nahin koi dooja

 

Tumre dwaar pe aake khwaja dil kahe na ja na ja
Tum faiz o karam ke sagar ho khwaja

 

Aa khwaja se maang le mangte jo maange wo milega
Inki daya inki kirpa se Khaali palla bharega

 

Khwaja dware binti kar le ye kahta hua aa ja
Tum faiz o karam ke sagar ho khwaja

 

Tum karam ke sagar ho khwaja
Tum faiz ke sagar ho khwaja

Gham ke maaron ki laaj rakhte ho
Be nawaon pe karam karte ho

Tum karam ke sagar ho khwaja
Tum faiz ke sagar ho khwaja

 

Tum karam hi karam ho khuda ki qasam
Apne mangton ka rakhte ho khwaja bharam

Tum karam ke sagar ho khwaja
Tum faiz ke sagar ho khwaja

 

Apni khaali jholiyan bharke le jaati hai duniya bharke
Khwaja tumri shaan niraali tumra karam hai aisa misaali
Ahle talab jo bhi aa jaye tumre dware sheesh jhukaye
Ibne sakhi ho mere khwaja karte ho tum uspe kirpa
Jisne bhi mushkil me pukara usko tumne diya sahara

Tum karam ke sagar ho khwaja
Tum faiz ke sagar ho khwaja

 

Khuda ke wali ho ali ke dilwar sakhawat ka khwaja piya ho samandar

Tum karam ke sagar ho khwaja
Tum faiz ke sagar ho khwaja

 

Tumri bheek pe sab palte hein mangta ho ya shah o gada
Dar se koi khaali na louta aap ki hai ye shaan e ata
Tum karam hi karam ho khuda ki qasam
Apne mangton ka rakhte ho khwaja bharam

Tum karam ke sagar ho khwaja
Tum faiz ke sagar ho khwaja

 

Nigahe karam jab uthate ho khwaja
gada ko tawangar banate ho khwaja
Ik pal me khuda se dilate ho khwaja
Yun sagar karam ka bahate ho khwaja

Tum karam ke sagar ho khwaja
Tum faiz ke sagar ho khwaja

 

Khuddaron ko aapke dar pe hamne jhukte dekha
Aapke qadmon me sar unko hamne rakhte dekha
Rajaon ke raja khwaja dataon ke data
Mangton ko kya shahon ko bhi hamne kahte dekha

Tum karam ke sagar ho khwaja
Tum faiz ke sagar ho khwaja

 

Qawwal: Chand Afzal Qadri Chishti

Related Post Lyrics:
  1. Nabi ki sabse unchi shaan 
  2. Tera hi jalwa tha moula 
  3. Aao Balam Khwaja

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *