Tu Faiz Ka Dariya Hai Tu Rehmat Rahmat Hai Qawwali Lyrics
हिंदी में पढ़िए
Tu faiz ka dariya hai tu rehmat rahmat hai
Jo kuchh bhi mila mujhko sab Teri badaulat hai
Ye sach hai ke main kya hoon, kya meri Haqeeqat hai
Qatra hi sahi lekin darya se to nistbat hai.
Maiñ khoob samajhta hoon, kya meri Haqeeqat hai
Qatra hi sahi lekin darya se to nistbat hai.
Ye jitni bhi Daulat hai sab teri badaulat hai
Ye jitni bhi shohrat hai sab teri badaulat hai
Is dil ke bahilne ke ki ab ek hi surat hai
Tum hañs ke zara kahdo haañ tujh se muhabbat hai
Dedi hai sanad mujhko Khwaja ki ghulami ki
Murshid ka karam hai ye, murshid ki inayat hai.
Azad ye jaan-o-Dil eemaan-o-yaqeeñ mohkam
Jo kuchh hai mere murshid sab teri badaulat hai.
Ye sara jahan teri nik’hat ka hai shaidayi
Main khaar sahi lekin ik phool se Nisbat hai.
Main ek qyamat ka paaband rahooñ kaise
Jis din na tumheñ dekhooñ us din hi Qayamat hai.
Uth kar tere kooche se jaayen to Kahañ jaayeñ
Aaqa tera aangan to deewanoñ ki jannat hai.
Chaaha hai tujhe maine tujhse hi mohabbat hai
Aye yaar mujhe teri har waqt zaroorat hai.
Us husn e mukammal se maanoos tabiyat hai,
Surat bhi nahi dekhi aur phir bhi mohabbat hai.