Singer: Maqbool Sabri (Sabri Brothers)
Shayar: Ahmad Faraz
Kya kahuñ dostoñ ke baaare meiñ
Meri Qismat ke phool haiñ ye log,
Jab bhi dete hain Zakhm dete hain
Kitne ba usool hain ye log.
Teri baatein hi sunane aaye
Teri baatein hi sunane aaye
Dost bhi dil hi dukhane aaye ..
Ajnabi dost hame dekh, ke hum
Kuchh tujhe yaad dilane aaye
Dost bhi dil hi dukhane aaye..
Teri baatein..
Phool khilte haiñ to ham sochte haiñ
Tere aane ke zamane aaye.
Dost bhi dil hi dukhane aaye ..
Teri baatein hi sunane aaye
Kya kahiñ phir koi basti ujdi
Log kyuñ Jashn manane aaye?
Dost bhi dil hi dukhane aaye ..
Teri baatein hi sunane aaye
Ab To Rone Se Bhi Dil Dukhta Hai
Shayad Ab Hosh Thikane Aaye
Dost bhi dil hi dukhane aaye ..
Teri baatein hi sunane aaye
-Some More Verses-
Aisi kuch chup si lagi hain jaise
Ham tujhe haal sunanae aaye
Ishq tanha hain sar-e-manjil-e-gham
Kaun ye bojh uthane aaye
Wo khafaa karke khud rooth gaye
Ab hamen kaun manaane aaye
Aa na jaaye kahin fir laut ke jaañ
Meri maiyyat wo sajaane aaye
Ab to rone se bhi dil dukta hai
Shaayad ab hosh Thikaane aaye
So raho maut ke pehlu meiñ ‘Faraz’
Neeñd kis waqt na jaane aaye.
- Comment में राय दीजिए
- Share कीजिए
Hindi And English lyrics
| Qawwali |
| Sabri Brothers | Nusrat Fateh Ali Khan | Rahat Fateh Ali Khan | Iqbal Afzal Sabri | Aziz Miyañ | Ghous Muhammad Nasir
| Naat-E-Paak|
| Khalid Mahmud ‘Khalid’ | Ajmal Sultanpuri Naat | Ala Hazrat Naat | Akhtar Raza Khan| Raaz Ilaahabadi | Muhammad Ilyas Attari | Sayyad Nazmi Miyan