Tere tukdon pe palte hain khwaja piya lyrics
Mere junoon e shauk ki tajdeed ho gayi
Rajab ka chand dekha meri eid ho gayi
Manzoor agar unko ho bulbayein ge tumhen
Aur shan e mustafaie bhi dikhlaeinge tumhen
Ajmer jakar dil ki nazar se karo talaash
Khwaja kisi bhi roop me mil jayenge tumhen
Main ada pe to sadqe tere gharib nawaz
Koi sune na sune tu sune gharib nawaz
Tere karam ko bhala dooriyon se kya matlab
Tujhe jahan se pukarun sune gharib nawaz
Ham se apne bhi jalten hain khwaja piya
Aur bach ke nikalte hain khwaja piya
Fikr hamko nahin kyon ke ham hain tere
Shaan se ham nikalte hain khwaja piya
Tere tukdon pe palte hain khwaja piya
Tere tukdon pe palte hain khwaja piya
Tum to waliyon ke munkir ho kaise tumhare hain
Ham to thahre kattar sunni khwaja hamare hain
Sirf kaafi hai khwaja teri ik nazar
Chhor sakte nahin wo sakhawat ka dar
Hamko shahi niwale nahin chahiye
Ham to khaeinge langar tera umr bhar
Tere tukdon pe palte hain khwaja piya
Tere tukdon pe palte hain khwaja piya
Dushmano me bhi uska bharam ho gaya
Saari duniyan me woh mohtaram ho gaya
Naar e dozakh na usko jala payegi
Jispe khwaja piya ka karam ho gaya
Tere tukdon pe palte hain khwaja piya
Tere tukdon pe palte hain khwaja piya
Surj ki tez dhoop bhi, chhaon se kam nahin
Jannat ki khush gawaar fazaon se kam nahin
Dono ki shakhsiyat hai zamane me be misaal
Khwaja ka pyaar maa ki duaon se kam nahin
Ham hain aabad hamko ujadega kya
Fan ke maida.n me hamko pachhadega kya
Ham to khwaja ki choukhat ke darbaan hain
Koi dushman hamara bigaade ga kya
Tere tukdon pe palte hain khwaja piya
Tere tukdon pe palte hain khwaja piya
Zamane bhar me badi shaan beti se
Mahakta rahta hai dil ka jahan beti se
Zaroori ye nahin beton se naam roushan ho
Mere nabi ka chala khandaan beti se
Kahan rahmat barasti hai khuda ki jaan leti hai
Wazu kar ke tilawat ke liye qur’aan leti hai
Padosiyon se wo chhalni kabhi maanga nahi karti
Meri beti dupatte se bhi aanta chhaan leti hai
Bhale ghairat sahi par khud ko uncha rakkha karti hai
Meri ghairat mujhe auron se uncha rakkha karti hai
Meri masoom beti bhi haya se khoob waqif hai
Ke wo gudiyon ke sar pe bhi dupatta rakkha karti hai
Sab hindu musalama.n aapas me mil mil ke gale, yun kahte hain
Us desh ki kya taarif karun jis desh me khwaja rahte hain
Allah ke rasool ka paighaam laaye hain
Bakhshish ka aur nijaat ka samaan laaye hain
Ham jaise gunahgaron ki bakhshish ke waste
Khwaja piya madine se qur’aan laaye hain
Ye apna pan tera khwaja ajeeb lagta hai
Har ek shakhs bhi tere qareeb lagta hai
Ameer aisa khuda ne tujhe banaya hai
Tere aage shahanshah gharib lagta hai
Kaash aisi bhi raat ho jaye
Jis me meri nijaat ho jaye
Khwaab me hi sahi mere maula
Mere khwaja se baat ho jaye
Faqirana adaein magar sultan jaisa hai
Mere khwaja piya ka bolna qur’aan jaisa hai
Bekason ko bhi sultan tune kiya
Apne dushman ko mehman tune kiya
Ham to bujh dil the jaahil the nadaan the
Hamko khwaja musalman tune kiya
Tere tukdon pe palte hain khwaja piya
Tere tukdon pe palte hain khwaja piya
Qawwal: Murad Aatish
Murad Aatish qawwali 2022
Hindi qawwali lyrics
तेरे टुकडों पे पलते हैं ख्वाजा पिया
हम तो ठहरे कट्टर सुन्नी ख्वाजा हमारे हैं
Maqabat khwaja piya