Sara Bharat Khwaja Ka Ghulam Hai Lyrics
Muyeenuddeen wali e shahe Iraq o hijaaz
Teri janab meiñ Mahmood se hazaroñ Ayaz
Har ek simt se bas aa rahi hai ye aawaz
Man am Ghareeb dayaaro tui Ghareeb Nawaz.
Hind Me jo Khwaja tere dam se Islam hai
Hind Me jo Khwaja tere dam se Islam hai
Isi liye saara bharat aap ka Ghulam hai
Hind Me jo Khwaja tere dam se Islam hai
Isi liye saara bharat aap ka Ghulam hai
Har mazhab ke log tere Aastaañ pe aate Haiñ
Man ki Muraadeñ tere dar se hi paate haiñ
Tera sadqa mere Khwaja ghar ghar mein aam hai
Isi liye saara bharat aap ka Ghulam hai
Sara Bharat aapaka Ghulam hai, Ghulam hai
Sara Bharat aapaka Ghulam hai, Ghulam hai
Wali e hind Bane hind ke raja aaye
Nabi ka rang liye Hazrat e Khwaja aaye
Sara Bharat aapaka Ghulam hai, Ghulam hai
Sara Bharat aapaka Ghulam hai, Ghulam hai
Duniya khilaf ho ye shiqaayat nahi mujhe
Tere siwa kisi ki zarurat nahi mujhe
Sara Bharat aapaka Ghulam hai Ghulam hai
Sara Bharat aapaka Ghulam hai Ghulam hai
Qutaabudeeñ, Fareejuddeeñ, Nizamuddiñ
Har ek in mein se Khwaja ban gaya Khwaja parasti meiñ
Sara Bharat aapaka Ghulam hai Ghulam hai
Sara Bharat aapaka Ghulam hai Ghulam hai
Tumhari chashme karam ho to kaam ho jaaye
Adaa se dekh lo qissa tamam ho jaaye
Tumhare dar pe maiñ karta hun is liye Sajde
Na jaane kaun se Sajde meiñ kaam ho jaaye
Sara Bharat aapaka Ghulam hai Ghulam hai
Sara Bharat aapaka Ghulam hai Ghulam hai
Duniya salaam karti hai hairat ki baat hai
Maiñ kucch nahi hun ye teri Nisbat ki baat hai
Sara Bharat aapaka Ghulam hai Ghulam hai
Sara Bharat aapaka Ghulam hai Ghulam hai
Jab tak bika na tha to koi poochhta na tha
Tumne khareed kar mujhe anmol kar diya
Niraali Shaan ya khwaja tere darbar ki dekhi
Bigad jaaye jo Qismat wo tere dar par bani dekhi
Gali teri rasoolallah ki jaisi gali dekhi
Sakhawat meiñ mere Khwaja teri darya dili dekhi, bas
Sara Bharat aapaka Ghulam hai Ghulam hai
Sara Bharat aapaka Ghulam hai Ghulam hai
Sahab ji Sultan ji Tum bade Ghareeb Nawaz
Apna karke raakhiyo so baañh gahe ki laaj
Sara Bharat aapaka Ghulam hai Ghulam hai
Sara Bharat aapaka Ghulam hai Ghulam hai
Cho sag am kameena sagaane tou
Wa ze Jumla be qadr am wale
Wa dar ab ke juz dar-e Paak-e tou
Wa dar-e digar guzare na shud
Har kas waseela Daarad o ma BeWaseela ei
Ma ra Waseela Neist BaJuz Aastane Tou
Ya Ghareeb Nawaz
Kuchh ye to kaha jaay ke sab kuchh to yahiñ hai
Bahar tere kooche ke na duniya hai na deeñ hai
tumhare dar pe pada rahunga
Pade hi rahne se kaam hoga
Kabhi to Qismat khulegi
Kabhi to mera salaam hoga
Hind Me jo Khwaja tere dam se Islam
Isi liye saara bharat aap ka Ghulam hai
Har mazhab ke log tere Aastaañ pe aate hain
Man ki Muraadeñ tere dar se hi paate hain
Tera sadqa mere Khwaja ghar ghar mein aam hai
Tere khayal ko seene mei paal rakha
Yahi nijaat ka rasta nikaal rakha hai
Yahañ ki fikr wahan ka khayal rakha hai
Akele dono Jahañ ko sambhal rakha hai
Tera sadqa mere Khwaja ghar ghar mein aam hai
Isi liye saara Bharat aapka Ghulam hai
Sara Bharat aapaka Ghulam hai Ghulam hai
Sara Bharat aapaka Ghulam hai Ghulam hai
Ai waaliye Ajmer teri kya Shaan lage hai
Khaadim tere dar ka mujhe Sultan lage hai
Sara Bharat aapaka Ghulam hai Ghulam hai
Sara Bharat aapaka Ghulam hai Ghulam hai
Tum se achcha Kaun hai dil lo jigar lo Jaan lo
Hum tere Iqbal se chalte hai seena taan kar
Naaz ho jaata hai paida, tera kahlane ke baad
Hazar majmaa e khoobaane maahe ru hoga
Nigaah jis pe thahar jaayegi wo tu hoga
Sara Bharat aapaka Ghulam hai Ghulam hai
Sara Bharat aapaka Ghulam hai Ghulam hai.
- Comment में राय दीजिए
- Share कीजिए
Hindi And English lyrics
| Qawwali |
| Sabri Brothers | Nusrat Fateh Ali Khan | Rahat Fateh Ali Khan | Iqbal Afzal Sabri | Aziz Miyañ | Ghous Muhammad Nasir
| Naat-E-Paak|
| Khalid Mahmud ‘Khalid’ | Ajmal Sultanpuri Naat | Ala Hazrat Naat | Akhtar Raza Khan| Raaz Ilaahabadi | Muhammad Ilyas Attari | Sayyad Nazmi Miyan