Sar Se Ranj-o-Alam Utarti Hai Ghazal Lyrics
सर से रंज-ओ-अलम उतारती है
ज़िंदगानी वह मुझ पे वारती है
Sar Se Ranj-o-Alam Utarti Hai
Zindagi Woh Mujhpe Waarti Hai
हम खुदा को ही भूल जाते हैं
जब अमीरी क़दम पसारती है
Ham Khuda Ko Hi Bhool Jaate Hain
Jab Amiri Qadam Pasaarti Hai
आप के पाए नाज़ रखने से
हर खुशी घर मेरा निहारती है
Aap Ke Paaye Naaz Rakhne Se
Har Khushi Ghar Mera Nihaarti Hai
छोड़ दे जीने की तमन्ना अब
मौत तुझको तेरी पुकारती है
Chhor De Jeene Ki Tamanna Ab
Maut Tujhko Teri Pukaarti Hai
बात ऐसी अमल में पैदा कर
दिल की दुनिया को जो सँवारती है
Baat Aisi Amal Me Paida Kar
Dil Ki Duniya Ko Jo Sawaarti Hai
ज़िंदा रहना हुआ है अब मुश्किल
बे-रूखी आप की यूँ मारती है
Zinda Rahna Hua Hai Ab Mushkil
Be-rukhi Aap Ki Yuñ Maarti Hai

दूर हूँ अपने घर से मैं नाज़ाँ !
माँ की ममता मुझे पुकारती है
Door Huñ Apne Ghar Se Maiñ Naazañ
Maañ Ki Mamta Mujhe Pukaarti Hai
शायर: सद्दाम हुसैन नाज़ाँ
(( ग़ज़ल ))
A Beautiful Ghazal Written By Saddam Hussain Naazañ
Our Pages
Shayar
- Khalid Mahmud ‘Khalid’
- Peer Naseeruddin ‘Naseer’
- Allama Saim Chishti
- Bedam Warsi
- Muzaffar Warsi
- Ajmal Sultanpuri Naat
- Ala Hazrat Naat
- Akhtar Raza Khan
- Raaz Ilaahabadi
- Muhammad Ilyas Attari
- Sayyad Nazmi Miyan
- Shakeel Arfi
Naat Khwan: