Sajdey – Part 2 Lyrics | Shaz Khan Sohel Moten
Allah… Allah…
Allah Allah-Allah
Allah Allah-Allah
Allah Allah-Allah
Allah Allah-Allah
Hawa Ki Azanoñ Pe Lahroñ Ke Sajde
Sahar Iqamat Pe Zarroñ Ke Sajde
Shajar Ki Tilawat Pe Pattoñ Ke Sajde
Nadi Ki Kira’at, Parindoñ Ke Sajde
Azal Se Falak Par Sitaroñ Ke Sajde
Ye Shamoñ Ke Sajde Nihaaroñ Ke Sajde
Chaman Ke Musalle Baharoñ Ke Sajde
Samandar Ki Chadar Pe Dharoñ Ke Sajde
Safeñ Dar-Safeñ Fasl-Poudoñ Ke Sajde
Wo Phooloñ Pe Shabnam Ke Qatroñ Ke Sajde
Ke Dariya Me Machhli Ke Ghotoñ Ke Sajde
Zamiñ Par Ye Barish Ki Booñdo Ke Sajde
Jo Jharne Utarte Haiñ Karte Haiñ Sajde
Jo Mausam Nikharte Hain Karte Haiñ Sajde
Nazare Sañwarte Haiñ Karte Hain Sajde
Ye Pal Jo Guzarte Hain, Karte Hain Sajde
Jo Momin Hain Hote Hain Sajdoñ Ke Ghazi
Falak Dekhta Hai Zamiñ Ke Namazi
Falak Dekhta Hai Zamiñ Ke Namazi.
Allah Allah-Allah
Allah Allah-Allah
Allah Allah-Allah
Allah Allah-Allah
Khudara ‘Ata Kar Mahekdar Sajde
Subah Wali Khushboo Ke Gulzar Sajde
Bahot Khubsurat Chamakdar Sajde
Tadapti Fughañ Ke Talabgar Sajde
Ke Dil Khud Kahe Chal Bulate Haiñ Sajde
Meri Rooh Me Muskurate Haiñ Sajde
Mohabbat Se Seena Sajate Haiñ Sajde
Khayaloñ Ko Roushan Banate Haiñ Sajde
Yaqinan Ujala Hai Millat Ke Sajde
Bahen Sar Jhukaye To Nemat Ke Sajde
Ke Beti Ke Sajde Hain Barkat Ke Sajde
Ke Maa Sar Jhukaye To Rahmat Ke Sajde
Ke Maathe Ki Taz’iin Hote Hain Sajde
Jawano Ke Shaheen Hote Hain Sajde
Buzurgoñ Ki Taskeen Hote Hain Sajde
Ke Bachchoñ Ki Talkeen Hote Hain Sajde
Jo Momin Hain Hote Hain Sajdon Ke Ghazi
Falak Dekhta Hai Zamiñ Ke Namazi
Falak Dekhta Hai Zamiñ Ke Namazi.
Allah Allah-Allah
Allah Allah-Allah
Allah Allah-Allah
Allah Allah-Allah
Khuda Mujhme Kar De Wo Bedar Sajde
Wo Ashkoñ Me Doobe Huye Chaar Sajde
Wazahdar Sajde, Razakar Sajde
Wo Andar Ke Taqwe Se sarshaar Sajde
Sahaba Ke Andaz Wale Wo Sajde
Sar e Arsh Parvaaz Wale Wo Sajde
Jo Raazi Kareñ Naaz Wale Wo Sajde
Tera Dhyan o Damsaaz Wale Wo Sajde
Jama’at Ke Sajde, Hidayat Ke Sajde
Andheroñ Me Tanha Faraghat Ke Sajde
Teri Chaah Me Dhun Ki Haalat ke Sajde
Faqat Teri Chahat Ke Hasrat Ke Sajde
Mohabbat Ke Sajde, Ita’at Ke Sajde
Tere Shukr Wale, Shahadat Ka Sajde
Teri Bandagi Ki Himayat Ke Sajde
‘Ata Kar Khudara Sadaqat Ke Sajde
Jo Momin Hain Hote Hain Sajdoñ Ke Ghazi
Falak Dekhta Hai Zamiñ Ke Namazi
Falak Dekhta Hai Zamiñ Ke Namazi.
Allah Allah-Allah
Allah Allah-Allah
Allah Allah-Allah
Allah Allah-Allah
Our Pages
Shayar
- Khalid Mahmud ‘Khalid’
- Peer Naseeruddin ‘Naseer’
- Allama Saim Chishti
- Bedam Warsi
- Muzaffar Warsi
- Ajmal Sultanpuri Naat
- Ala Hazrat Naat
- Akhtar Raza Khan
- Raaz Ilaahabadi
- Muhammad Ilyas Attari
- Sayyad Nazmi Miyan
- Shakeel Arfi
Naat Khwan:
- Owais Raza Qadri
- Habibullah Faizi
- Ghulam Mustafa Qadri
- Hafiz Tahir Qadri
- Laiba Fatima
- Asad Iqwal
- Sajjad Nizami
- Zulfiqar Ali Hussaini
- Mufti Abdullah Bin Abbas
- Junaid Jamshed Khan
- Muhammad Ali Faizi
- Ghulam Noore Mujassam
- Sabri Brothers
- Nusrat Fateh Ali Khan
- Rahat Fateh Ali Khan
- Iqbal Afzal Sabri
- Aziz Miyañ
- Nazir Ejaz Faridi
- Ghous Muhammad Nasir
- Maulvi Ahmad Hasan Akhtar