Sahara Tum Ho To Kis Liye Phir

Sahara Tum Ho To Kis Liye Phir Lyrics in Hindi and English

Qawwali of Nusrat Fateh Ali Khan


हिंदी में पढ़िए


Samne jab bhi yaar hota hai
Dil pe kab ikhtiyar hota hai
Roo e jaana hi Ahl-e dil ke liye
Zikr e Parwardigar hota hai.

 

Mareez e ishq ka aksar ye Haal hota hai
Kisi ki yaad se chehra bahaal hota hai

Main isko kufr kahoon ya kamaal e ishq kahoon
Namaaz mein bhi tumhara khayal hota hai.

 

Na butkade se, na kaabe se lau lagi meri
Tumhare Naqsh-e Qadam se hai zindagi meri
Bahut udaas thi duniya mein zindagi meri
Karam jo tera hua baat ban gayi meri

 

Sahara Tum Ho To Kis Liye Phir

 

Sahara Tum Ho To Kis Liye Phir
Main Sar Pe Ehsan Loon Kisi Ka,
Rahe Salaamat Ye Gham Tumhara
Yahi Asaasa Hai Zindagi Ka.

 

Tera Ishq jo na hota to ye bandgi na hoti
Jo tera karam na hota to ye zindagi na hoti

Rahe Salaamat Ye Gham Tumhara
Yahi Asaasa Hai Zindagi Ka…

 

Wo badnaseeb hai jise gham naa gawaar hai
Gham to daleed e rahmat e parvardigar hai

 

Rahe Salaamat Ye Gham Tumhara
Yahi Asaasa Hai Zindagi Ka…

 

Mujhe dekhta hai jo bhi kahta tera diwana
nisbat na tujhse hoti meri zaat hi na hoti

Rahe Salaamat Ye Gham Tumhara
Yahi Asaasa Hai Zindagi Ka…

 

Main neyazmand tera Banda Nawaz tu hai
Tere karam se meri duniya mein aabru hai

Rahe Salaamat Ye Gham Tumhara
Yahi Asaasa Hai Zindagi Ka…

 

Main Qurbatoñ Mein Bhi Shaadmañ Tha
Main Furqatoñ Mein Hi Mutmayin Hoon

Tha Wo Bhi In’aam Aap Hi Ka
Hai Ye Bhi Tohfa Janab Hi Ka.

 

Gharoor e Shahi Hamesha Maine
Rakha Hai Paaoñ Ki Thokaroñ Pe

Maqam Sabse Juda Hai Mera
Ke Main Hoon Mangta Teri Gali Ka.

 

Aahe, Bas Main Hoon Mangta Teri Gali Ka.
Bas Main Hoon Mangta Teri Gali Ka.

maangna maine dar dar se seekha nahi

Bas Main Hoon Mangta Teri Gali Ka.

Dair o haram mein jaauñ kyun
Toor ki khaak udaauñ kyun

Bas main hoon mangta teri gali ka.

 

Duniya e butkada na faza e haram pasand
Mujh ko teri gali hai khuda ki qasam pasand

Bas main hoon mangta teri gali ka.

 

Main yahin karunga sajda, yehi mera mudda’aa hai
Jo mila nahi haram se, tere dar se mila hai

Bas main hoon mangta teri gali ka.

 

Haath phailane se mohtaj ko ghairat ye hai
Sharm itni hai ke Banda tera kahlaata hooñ

 

Tera Maiñ Hooñ Mangta..

 

Ye Maan Liya laayiq e Darbar nahi main
Ye bhi na sahi qabil e deedar nahin main

Har Chand agar aap ke darkaar nahin maiñ
Banda bhi tera kya meri sarkar nahin main

 

Tera Maiñ Hooñ Mangta..

 

Tere Tukdoñ Pe pala Ghair ki thokar pe na daal
Jhidkiyañ khaauñ kahan chhod ke sadqa tera

Tera Maiñ Hooñ Mangta..
Ke Maiñ Hooñ Mangta Teri Gali Ka

 

Maqam sabse juda hai mera
Ke Main Hoon Mangta Teri Gali Ka.

 

Wo Khush Muqaddar Ke Jisne Sar Ko
Jhukaya Murshid Ke Paak Dar Par

Usi Ne Paayi Hai Sarfarazi
Maqam Ooñcha Raha Usi Ka.

 

Agar Hai Jaana To Jayeñ Lekin
Huzur Itna Khayal Rakkheñ

Ke Hijr e Jaanañ Mein Ek Ik Pal
Gumaan Hota Hai Ik Sadi Ka.

 

Rawaañ Ho Gardan Pe Gar Che KHanjar
Khalal Na Sajde Mein Aaye Phir Bhi

Yahi Ibadat Ka Hai Kareena
Yahi Saliqa Hai Bandagi Ka.

 

Tumhari Mad’ha Saraayi Karke
Main naaz karta hoon apne fann par

Tumhare Zikr e Jameel Se hi
Waqar Qayam Hai Shayari Ka.

 

Sahara Tum Ho To Kis Liye Phir
Maiñ Sar Pe Ahsaan Looñ Kisi Ka.

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *