Aaftab e Risalat Madine Meiñ Hai Lyrics
Qawwal: Sabri Brothers
Lyricist: Naseem Ajmeri
Movie: Sultan e Hind
हिंदी लिरिक्स के लिए यहां टच कीजिए
Dehli to dul-han bani doolha Nizamudddin
Saare hind ke baadshaah khwaja Moinuddin
Sabz Gumbad ka manzar hai peshe nazar
Ho..
Aaa…
Sabz Gumbad ka manzar hai peshe nazar
Yaad taiba ki aati hai Ajmer maiñ
Aaftab e Risaalat Madine meiñ hai
Aaftab e risalat Madine meiñ hai
Aur kiran jagmagaati hai Ajmer meiñ
Aur kiran jagmagaati hai Ajmer meiñ
Aaftab e risaalat Madine mein hai
Aaftab e risaalat
Mere khwaja ka noorani gumbad
Chandni main nahaaya hua hai
Saada saada sa rauze ka manzar
Har nazar mein samaya hua hai
Naam e Khwaja main aisi kashish hai
Ek zamane pe chhaya hua hai
Bhar-li usne muraadoñ se jholi
Jis pe daaman ka saya hua hai
Aap ke samt uth-ti hai jo bhi nazar
Aaa…
Aap ke samt uth-ti hai jo bhi nazar
Aap ke samt uth-ti hai jo bhi nazar
Muddu’aa apna paati hai Ajmer mein
Aaftab e risaalat Madine mein hai
Aaftab e risalat Madine mein hai
Aur kiran jagmagaati hai Ajmer meiñ
Aur kiran jhagmagati hai Ajmer meiñ
Aaftab e risalat Madine mein hai
Aaftab e risaalat
Aap sultan e Hind, Khwaja e khwajgan
Aap beshak haiñ sab ke liye meherbañ
Roz bante haiñ bigde muqaddar yahañ
Chashma e faiz hai aapka aastañ
Dar pe aayeñ na deewane..
Dar pe aayeñ na deewane kyuñ sar ke bal
Dar pe aayen..
Aaa…
Dar pe aayeñ na deewane kyuñ sar ke bal
Dar pe aayeñ na deewane kyuñ sar ke bal
Jab aqeedat bulati hai Ajmer mein
Aaftab e risaalat Madine meiñ hai
Aaftab e risaalat Madine meiñ hai
Aur kiran jagmagaati hai Ajmer meiñ
Aur kiran jagmagaati hai Ajmer meiñ
Aaftab e risaalat Madine meiñ hai
Aaftab e risaalat ..
Dar pe Ek baañjh aaurat ne ki il-tija
Meri aulaad ho jaye to baa khuda
Khwaja bache ko chaukhat pe lauñgi maiñ
Deig Ajmer aakar chadhauñgi maiñ
Rab se khwaja ne uske liye ki duaà
Hogaya uska poora jo ye mudda’aå
Leke bache ko aayi wo Ajmer meiñ
Haadsa uspe guzra ye kuch Der meiñ
Sath uske saheli thi aayi hui
Jab chadhi Deig to paas thi wo khadi
God meiñ uske bacha tha hañsta hua
Deg meiñ wo goid se wo uchhal kar gira
Ro padi kehke wo haaye bachchaa meraa….
Rakh lo…. phir laaj
Rakh lo phir laaj dukhiya ki khwaja piya
Rakhlo phir laaj dukhiya ki khwaja piya
Rakhlo phir laaj dukhiya ki khwaja piya
Rakhlo phir laaj dukhiya ki khwaja piya
Hoo..
Rakhlo phir laaj dukhiya ki khwaja piya
Rakhlo phir laaj dukhiya ki khwaja piya
Saahab ji, sultan ji, tum bade ghareeb nawaaz
Apni karke rakhiyo so baañh-pakde ki laaj
Rakhlo phir laaj dukhiya ki khwaja piya
Rakhlo phir laaj dukhiya ki khwaja piya
Saahab ji, sultan ji, tum bade ghareeb nawaaz
Apni karke rakhiyo so baañh-gahe ki laaj
Rakhlo phir laaj dukhiya ki khwaja piya
Rakhlo phir laaj dukhiya ki khwaja piya
Saahab ji, sultan ji, tum bade gareeb nawaaz
Apni karke raakhiyo so baañh-gahe ki laaj
Shabbir o shabbar ke liye
Maasoom asghar ke liye
Shabbir o shabbar ke liye
Maasoom asghar ke liye
Sajde meiñ jo sar kat gaya
Lillah us sar ke liye
Rakhlo phir laaj dukhiya ki khwaja piya
Rakhlo phir laaj dukhiya ki khwaja piya
Aaa
Rakhlo phir laaj dukhiya ki khwaja piya
Muhammad ﷺ par jo utra hai usi Qur’aan ka sadqa
Muhammad ﷺ par jo utra hai usi Qur’aan ka sadqa
Tume Apne peer o murshid khwaja e usman ka sadqa
Rakhlo phir laaj dukhiya ki khwaja piya
Rakhlo phir laaj dukhiya ki khwaja piya
Khwaja piya…
Khwaja ji
Khwaja piya aa aa aaaaa re he hañ hañ
Khwaja piya
Oooo
More khwaja
More Khwaja ji
Khwaja ji
In churiyoñ ki laaj piya rakhna
In churiyoñ ki laaj piya rakhna
Ye to pahen layiñ ab utrat na
Ye to pahen layiñ ab utrat na
Mera bhaag suhaag tumai se hai
Mera bhaag suhaag tumai se hai
Maiñ to tumhi jubna luta baithi
Rakhlo phir laaj dukhiya ki khwaja piya
Rakhlo phir laaj dukhiya ki khwaja piya
Aaa
Rakh lo phir laaj dukhiya
Dukhiya dukhiya dukhiya
Dukhiya ki khwaja piya
Jo duaon se khwaja ki paida hua
Deg kaise jalati use phir bhala
Aañch uspar na aayi khuda ki qasam
Aañch uspar na aayi khuda ki qasam
Rakh liya mere khwaja ne uska bharam
Hañ Rakh liya mere khwaja ne uska bharam
Mere Khwaja ki adna karamat hai ye
Mere Khwaja ki adna karamat hai ye
Jo nazar roz aati hai Ajmer meiñ
Aaftab e risaalat Madine meiñ hai
Aaftab e risaalat Madine meiñ hai
Aur kiran jagmagaati hai Ajmer meiñ
Aur kiran jagmagaati hai Ajmer meiñ
Aaftab e risaalat Madine meiñ hai
Aaftab e risaalat
Chasm e rehmat se jis dam.. ishaara hua…
Doobti kashtiyon ko kinara mila…
Aapne bekasoñ ko sahara diya…..
Chasm e be noor ko bhi nazara diya..
Bhooke pyasoñ pe aisi…. nigah e karam…
Allah..
Roz jaari hai langar khuda ki qasam..
Kyun na mehke bhala faiz ka gulsitaañ
Kyun na mehke bhala
Aaa
Kyun na mehke bhala faiz ka gulsitaañ
Kyun na mehke bhala faiz ka gulsitaañ
Khushbu taiba se aati hai Ajmer meiñ
Aaftab e risalat Madine meiñ hai
Aftab e risalat Madine meiñ hai
Aur kiran jagmagaati hai Ajmer meiñ
Aur kiran jagmagaati hai Ajmer meiñ
Aaftab e risaalat
Madine mein, madine meiñ hai
Madine mein, madine meiñ hai
Madine mein, madine meiñ hai
Madine mein, madine meiñ hai
Madine mein, madine meiñ hai
Madine mein, madine meiñ hai
Madine mein, madine meiñ hai
Madine mein, madine meiñ hai
Madine mein, madine meiñ hai
Aaa..
Madine mein, madine meiñ hai
Madine mein, madine meiñ hai
Madine mein, madine meiñ hai
- Comment में राय दीजिए
- Share कीजिए
Hindi And English lyrics
| Qawwali |
| Sabri Brothers | Nusrat Fateh Ali Khan | Rahat Fateh Ali Khan | Iqbal Afzal Sabri | Aziz Miyañ | Ghous Muhammad Nasir
| Naat-E-Paak|
| Khalid Mahmud ‘Khalid’ | Ajmal Sultanpuri Naat | Ala Hazrat Naat | Akhtar Raza Khan| Raaz Ilaahabadi | Muhammad Ilyas Attari | Sayyad Nazmi Miyan