Khwaja Tore Dware Baje Shahnayi Lyrics

Khwaja Tore Dware Baje Shahnayi Qawwali by Sabri Brothers Lyrics

Qawwal: Sabri Brothers

Lyricist: Ishrat qadri and Bedam Warsi


Khwahja Tore Dware Baje Shehnai Qawwali By Sabri Brogherx Lyrics
KHwaja Tore Dwaare Baje Shehnayi

हिंदी लिरिक्स के लिए यहां टच कीजिए

Aaa..

Wo ki hai jispe karam ki nazar ghareebnawaz
Basaa hai uske muqaddar ka ghar ghareeb nawaaz

Hame wo din bhi dikha dijiye..
Hame wo din bhi dikha dijiye mere Khwaja
Idhar ghareeb khade hoñ udhar ghareeb nawaaz.

 

Sajeeñ Tori ga galiyan, saji angnaayi
Sajeeñ Tori ga galiyan, saji angnaayi

Aaa
Sajeeñ Tori ga galiyan, saji angnaayi

Khwaja tore dware baje shehnaayi

Khwaja tore dware baje shehnaayi
Khwaja tore dware baje shehnaayi

 

Karuñ kya bayañ maiñ teri shan khwaja
Karuñ kya bayañ maiñ teri shan khwaja
Haiñ kauno makaañ tum pe qurbaan khwaja
Haiñ kauno makaañ tum pe qurbaan khwaja.

 

Madeene ka hai noor rauze pe tere
Madeene ka hai noor rauze pe tere

Karam ke lage haiñ tere dar pe dere
Karam ke lage haiñ tere dar pe dere

Moàttar hai pur-noor mehraabo mimbar
Moàttar hai pur-noor mehraabo mimbar

Salaami malaayak bhi dete haiñ dar par
Salaami malaayak bhi dete haiñ dar par

 

Khazaane tere dar pe haiñ rahmatoñ ke
Khazaane tere dar pe haiñ rahmatoñ ke

Khile haiñ har ik soo chaman barkatoñ ke
Khile haiñ har ik soo chaman barkatoñ ke

 

Kiye sar ko kham hai khuda ki khudaayi
Kiye sar ko kham hai khuda ki khudaayi

Aaa…
Kiye sar ko kham hai khuda ki khudaayi

Khwaja tohre dware baje shehnaayi
Khwaja tore dware baje shehnaayi
Khwaja tohre dware baje shehnaayi

 

Tere Dhauñle gumbad pe sab ki nazar hai
Tere Dhauñle gumbad pe sab ki nazar hai

Nazar sab ki khwaja dare paak par hai
Nazar sab ki khwaja dare paak par hai

Adab aur aqeedat se koi khada hai
Adab aur aqeedat se koi khada hai

Koyi apna daaman pasaare pada hai
Koyi apna daaman pasaare pada hai

 

Chadhaate haiñ rauze deewaane pe chaadar
Chadhaate haiñ rauze deewaane pe chaadar

 

Noore nazare Ahmade mukhtaar ki chaadar
Noore nazare Ahmade mukhtaar ki chaadar

Noore nazare Ahmade mukhtaar ki chaadar
Noore nazare Ahmade mukhtaar ki chaadar

Lakhte jigare Haidare qarrar ki chaadar
Lakhte jigare Haidare qarrar ki chaadar

 

Khushi se kyuñkar na rakheñ apne saroñ par
Khushi se kyuñkar na rakheñ apne saroñ par

Hai Panjetane paak ke dildaar ki chaadar
Hai Panjetane paak ke dildaar ki chaadar

 

Sarkaar nawaazeñ to nawaazish e karam hai
Sarkaar nawaazeñ to nawaazish e karam hai

Sarkaar nawaazeñ
Mere sarkaar nawaazeñ
Mere sarkaar nawaazeñ

Sarkaar nawaazeñ to nawaazish e karam hai
Hum Laaye haiñ sarkaar mein sarkaar ki chaadar

Hum Laaye haiñ sarkaar mein sarkaar ki chaadar
Hum Laaye haiñ sarkaar mein sarkaar ki chaadar

 

Jab jab dare khwaja pe rasaayi huyi BEDAM
Jab jab dare khwaja pe rasaayi huyi BEDAM

Gulhaaye sukhan gooñdh ke tayyaar ki chaadar
Gulhaaye sukhan gooñdh ke tayyaar ki chaadar

 

Chadhaate haiñ rauze deewaane pe chaadar
Chadhaate haiñ rauze deewaane pe chaadar

Sabhi khaa rahe haiñ tere dar ka lañgar
Sabhi khaa rahe haiñ tere dar ka lañgar

Har ik aane waala hai detaa Salaami
Har ik aane waala hai detaa Salaami

Hai darkaar har ik ko teri ghulaami
Hai darkaar har ik ko teri ghulaami

Munawwar Fazaa dar ki hai jagmagaayee
Munawwar Fiza dar ki hai jagmagaayee

Aaa….
Munawwar Fazaa dar ki hai jagmagaayee

Khwaja tohre dware baje shehnaayi
Khwaja tore dware baje shehnaayi
Khwaja tohre dware baje shehnaayi

 

Tasawwur meiñ har pal hai darbaar tera
Tasawwur meiñ har pal hai darbaar tera

Har ik dil ko hai shauke deedaar tera
Har ik dil ko hai shauke deedaar tera

Khuda aur Nabi ke ho tum hi dulaare
Khuda aur Nabi ke ho tum hi dulaare

Tumhi jaane Zahra ho Haidar ke pyare
Tumhi jaane Zahra ho Haidar ke pyare

 

Fida tum pe haiñ sab wali o qalandar
Fida tum pe haiñ sab wali o qalandar

Khuda ke wali tum ho Usmaañ ke dilwar
Khuda ke wali tum ho Usmaañ ke dilwar

 

Tere dar ki naubat pe sab jhoomte haiñ …
Tere dar ki naubat pe sab jhoomte haiñ
Tere dar ki naubat pe sab jhoomte haiñ

Aqeedat se rauze Ko sab choomte haiñ
Aqeedat se rauze Ko sab choomte haiñ

 

Muraadeñ tere dar se sabne haiñ paayiñ
Muraadeñ tere dar se sabne haiñ paayiñ

Aaa…
Muraadeñ tere dar se sabne haiñ paayiñ

Khwaja tohre dware baje shehnaayi
Khwaja tore dware baje shehnaayi
Khwaja tohre dware baje shehnaayi

 

Ajab hai tere urs ka khwaja manzar
Ajab hai tere urs ka khwaja manzar

Malaayak Wali ghusl dete haiñ milkar
Malaayak Wali ghusl dete haiñ milkar

Qutab aur qalandar haiñ sandal lagaate
Qutab aur qalandar haiñ sandal lagaate

Shahenshah o khuddam chaadar chadhaate
Shahenshah o khuddam chaadar chadhaate

 

Odho na chaadariya maiñ laayi tumre kaarna
Odho na chaadariya maiñ laayi tumre kaarna

Odho na chaadariya hum laaye tumre kaarna
Odho na chaadariya hum laaye tumre kaarna

Prem ke rañg meñ rañgkar laaye nehaa itar basaay ke
Prem ke rañg meñ rañgkar laaye nehaa itar basaay ke

Prem ke rang meñ khwaja ji
Prem ke rañg meñ khwaaja
Dekho ji

Prem ke rañg meñ rañgkar laaye nehaa itar basaay ke
Prem ke rañg meñ rañgkar laaye nehaa itar basaay ke

Chandr badan gore badna par
Chandr badan gore badna par
Chandr badan gore badna par odhau more saajna

 

Odho na chaadariya hum laaye tumre kaarna
Odho na chaadariya hum laaye tumre kaarna

Odho na chaadariya hum laaye tumre kaarna
Odho na chaadariya hum laaye tumre kaarna

 

Shahenshah o khuddam chaadar chadhaate
Shahenshah o khuddam chaadar chadhaate

Tera sehra sab Auliya ne sajaaya
Tera sehra sab Auliya ne sajaaya

Tumhe Hind ka khwaja doolha banaayaa
Tumhe Hind ka khwaja doolha banaayaa

 

Iss doolha ki aayi sawaari
Iss doolha ki aayi sawaari

Iss doolha pe duniya waari
Iss doolha pe duniya waari

Saabri Chishti jaayeñ balihaari
Saabri Chishti jaayeñ balihaari

Is doolha ke Nabi baraati
Is doolha ke Nabi baraati

Is doolha ke Ali baraati
Is doolha ke Ali baraati

Ali baraati wali baraati
Ali baraati wali baraati

Khwaja Usmaañ meñhdi laaye
Khwaja Usmaañ meñhdi laaye

Khwaja Qutab haiñ jhanda udhaaye
Khwaja Qutab haiñ jhanda udhaaye

Baaba Fareed bhi bajd meñ aaye
Baaba Fareed bhi bajd meñ aaye

Nizaamuddin aur Saabir gaayeñ

 

Doolha bane aaj ki raat haiñ
Khwaja, Doolha bane aaj ki raat haiñ

Oho
Khwaja, Doolha bane aaj ki raat haiñ
Aj khwaaja doolha bane … Aaj
Aaj ki Raat haiñ

Khwaja, Doolha bane aaj ki raat haiñ
Khwaja, Doolha bane aaj ki raat haiñ

 

Aaa…
Tujhe Hind ka khwaja doolha banaayaa
Tujhe Hind ka khwaja doolha banaayaa

E.. haañ….
Tere Urs kee …
Tere Urs ki hai Khushi Laa-Makaañ tak
Tere Urs ki hai Khushi Laa-Makaañ tak

Ho Ishrat bayaañ shaane Khwaaja kahaañ tak
Ho Ishrat bayaañ shaane Khwaaja kahaañ tak

Khuda aur Nabi tak hai inki rasaayee
Khuda aur Nabi tak hai inki rasaayee
Aaaa ..
Khuda aur Nabi tak hai inki rasaayee

Khwaaja tore dware baje shehnaayi
Khwaaja tore dware baje shehnaayi
Khwaaja tore dware baje shehnaayi

 

Saji Tori galiyañ saji añgnaayi
Saji Tori galiyañ saji añgnaayi

Khwaaja tore dware baje shehnaayi
Khwaaja tore dware baje shehnaayi

Khwaaja tore dware baje shehnaayi
Khwaaja tore dware baje shehnaayi

Khwaaja tore dware baje shehnaayi

Baje shehnaayi, Baje shehnaayi, Baje shehnaayi,

Khwaaja tore dware baje shehnaayi
Khwaaja tore dware baje shehnaayi
Khwaaja tore dware baje shehnaayi
Khwaaja tore dware baje shehnaayi
Khwaaja tore dware baje shehnaayi

More Manqabat Ghareeb Nawaz

 

  • Comment में राय दीजिए
  • Share कीजिए

Hindi And English lyrics

Qawwali |

Sabri Brothers | Nusrat Fateh Ali Khan | Rahat Fateh Ali Khan | Iqbal Afzal Sabri | Aziz Miyañ Ghous Muhammad Nasir

Naat-E-Paak|

Khalid Mahmud ‘Khalid’ Ajmal Sultanpuri Naat  | Ala Hazrat Naat | Akhtar Raza Khan| Raaz Ilaahabadi | Muhammad Ilyas Attari | Sayyad Nazmi Miyan

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *